Fasl-07 :
Aadaabe Safar Ka Bayan
81/1015. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Teen³ Aadami Safar Par Rawaana Ho To Apne Me Se Ek Shakhs Ko Amir Bana Le Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Un Kee Imamat Woh Kare Jo Un Me Sab Se Ziyaada Padha Hua Ho.”
رواه أبوداود وابن حبان والبزار.
إسناده حسن.
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/36, Raqm-2608,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/504, Raqm-2132,
Bazzar Fi Al-Musnad, 01/462, Raqm-329,
‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/390, Raqm-3812, 9256,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 03/119, Raqm-5071,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/99, Raqm-8093,
Tabarani FiAl-Mu’jam-ul-Kabir, 09/185, Raqm-8915,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/319, Raqm-1054,
Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/286, Raqm-2152,
Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/78, Raqm-430,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-853, Raqm-1015.]
82/1016. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ke Ha’n Behtareen Saathi Woh Hai Jo Apne Saathiyon Ke Haqq Me Behtar Hai Aur Allah Ta’ala Ke Ha’n Behtareen Humsaaya Woh Hai Jo Apne Humsaaye Ke Haqq Me Behtar Hai.”
رواه الترمذي وأحمد والدارمي والحاكم.
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/333, Raqm-1944,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/167, Raqm-6566,
Darami Fi As-Sunan, 02/284, Raqm-2437,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/610, Raqm-1620,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/140, Raqm-2539,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/53, Raqm-115,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-853, 854, Raqm-1016.]
83/1017. “Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Me Se Koi Safar Ka Iraada Kare To Use Chaahiye Ki Apne Bhaaiyo Ko Alwida Kahe, (Aur Un Se Khairo Aafiyat Kee Du’aa Karaaye) Be Shak Allah Ta’ala Un Kee Duaao’n Se Use Khairon Barkat Se Nawaz Ne Waala Hai.”
–
[Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/299, Raqm-1181,
Khatib Al-Baghdadi Fi Al-Jaame’ Li-Akhlaq-ir-Rawi Wa Adab-is-Sami’, 02/238, Raqm-1720,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-854, Raqm-1017.]
84/1018. “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kisi Muqam Par Qiyaam Farmate They Na Kisi Manzil Se Rukhsat Hote They Jab Tak Waha’n Do² Rak’at Namaz Ada Na Farma Lete.”
رواه ابن خزيمة والحاكم.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.
–
[Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/248, Raqm-1260, 2568,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/460, Raqm-1188, 1635, 2492,
Suyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/259, Raqm-454,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-854, Raqm-1018.]
85/1019. “Hazrat Ka’b Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ghazwa-e Tabook Ke Liye Jumerat Ke Din Rawaana Hu’e Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jumeraat Ke Din Safar Ke Liye Rawaana Hona Pasand Farmate They.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1078, Raqm-2789, 2790,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/35, Raqm-2605,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/155, Raqm-3370,
‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 05/169, 170, Raqm-9270,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/74, Raqm-1291 : 08/181, Raqm-8335,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/42, Raqm-90,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-855, Raqm-1019.]
86/1020. “Aur Imam Bukhari Ki Bayan Karda Ek Riwayat Me Hai Ki : “Bohat Kam Aisa Hua Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jumerat Ke Alawa Kisi Aur Din (Safar Ke Liye) Rawana Hu’e Ho.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1078, Raqm-2789, 2790,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/35, Raqm-2605,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/155, Raqm-3370,
‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 05/169, 170, Raqm-9270,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/74, Raqm-1291 : 08/181, Raqm-8335,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/42, Raqm-90,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-855, Raqm-1020.]
87/1021. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Teen³ (Qism Ke Logo’n Kee) Du’aa Me Bila Shak Wa Shub’ha Maqbool Hain : Mazloom Kee Du’aa, Musaafir Kee Du’aa Aur Waalid Kee Apni Aulaad Ke Haqq Me Bad Du’aa (So Waaledain Kee Bad Du’aa Se Bacho).”
رواه الترمذي وأبوداود وأحمد.
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/314, Raqm-1905,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/502, Raqm-3448,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/89, Raqm-1536,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/258, Raqm-7501, 7864, 10199, 10719, 10781,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 06/416, Raqm-2699,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/105, Raqm-29830,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/25, Raqm-32,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/12, Raqm-24,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/300, Raqm-3594,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/43, Raqm-4735,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-855, 856, Raqm-1021.]