Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-15 : ﴾Aadaab Aur Mu’amalaat﴿

Majlis Me Baithne Ke Aadaab Ka Bayan

Fasl-06 :

Majlis Me Baithne Ke Aadaab Ka Bayan

75/1009.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Is Baat Se Mana Farmaya Hai Ki Kisi Shakhs Ko Us Kee Majlis Se Uthaaya Jaa’e Aur Koi Our Us Kee Jagah Par Bayth Jaa’e Balki Khul Jaaya Karo Aur Apni Majaalis Me Kushadagi Payda Kiya Karo Aur Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Is Baat Ko Napasand Farmate They Ki Koi Aadami Apni Jagah Se Uthe Aur Woh Us Kee Jagah Baythey.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2313, Raqm-5910, 5914,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/309, Raqm-869,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1714, Raqm-2177,

Tirmidhi Fi As-Sunan,05/88, Raqm-2749 2750,

وقال أبو عيسى :هذا حديث حسن صحيح،

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/389, Raqan-1140,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/349, Raqm-587,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-850, Raqm-1009.]

76/1010.            “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Me Se Koi (Apni Nashist Se) Utha (Ya Farmaya: ) Jo Koi Apni Jagah Se Uth Kar Gaya Phir Laut Kar Aaya To Woh Us Jagah Par Baythne Ka Ziyaada Haqq Daar Hai (Jaha’n Woh Pehle Baythe Hua Tha).”

رواه مسلم والترمذي.

وقال أبو عيسى :هذا حديث حسن صحيح.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1715, Raqm-2179,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/89, Raqm-2751, Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/264, Raqm-4853,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/388, Raqm-1138,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/349, Raqm-588,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/263, Raqm-7558,

Tahawi Fi Sharh Mushkil-il-Athar, 02/110,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-850, 851, Raqm-1010.]

77/1011.            “Hazrat Muawiya RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Jise Yeh Baat Pasand Ho Ki Log Us Ke Liye But Kee Tarah (Ehtaraaman) Khade Ho To Woh Apna Thikaana Jahannum Me Tayyar Rakkhe.”

رواه الترمذي وأبوداود.

وقال أبو عيسى :هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/90, Raqm-2755,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/358, Raqm-5229,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad,04/93, 100,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/282, Raqm-4208,

Tabarani FiAl-Mu’jam-ul-Kabir, 19/351, Raqm-819,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/339, Raqm-977,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-851, Raqm-1011.]

78/1012.            “Hazrat ‘Amr Bin Shu’ayb Ba-Wasta Apne Waalid Apne Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Do² Aadmiyo’n Ke Darmiyan Kee Ijazat Ke Baghair Na Baytho.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/262, Raqm-4844,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/26, Raqm-4649,

Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/173, Raqm-4704,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-851, 852, Raqm-1012.]

79/1013.            “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Masjid Me Hamaare Saath Guftagu Farmane Ke Liye Tashrif Farma Hua Karte They Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Tashrif Le Jaane Ke Liye) Qiyam Farma Hote To Hum Bhi (Ta’ziman) Khade Ho Jaate (Aur Us Waqt Tak Khade Rehte) Yaha’n Tak Ki Hum Dekhte Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Apni Kisi Zawja Mutah’hara Ke Ghar Me Daakhil Ho Ga’e Hain.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/247, Raqm-4775,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/467, Raqm-8930,

Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/173, Raqm-4705,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-852, Raqm-1013.]

80/1014.            “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna :  Behtareen Majlis Woh Hai Jis Me Baythne Kee Ziyaada Se Ziyaada Gunnja’ish Ho.”

رواه وأبوداود وأحمد والحاكم.

وقال :هذا حديث صحيح.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/257, Raqm-4820,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/69, Raqm-1681, 11153,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/300, Raqm-7705, 7704,

Tabarani An Anas RadiyAllahiu Ta’ala Anhu Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/255, Raqm-836,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/300, Raqm-8250,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-852, Raqm-1014.]