Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-15 : ﴾Aadaab Aur Mu’amalaat﴿

Aadaabe Libaas Ka Bayan

Fasl-05 :

Aadaabe Libaas Ka Bayan

46/980.    “Hazrat Huzayfa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu  Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Resham Aur Deebaaj Ke Kapade Na Pahno, Sone Chaandi Ke Bartanon Me Na Piyon Aur Na Hee Sone Chaandi Ke Paleton Me Khaao Kyoo’n Ki Yeh Un (Kuffar) Ke Liye Dunya Me Hain Aur Hamare Liye Aakhirat Me Hain.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2069, Raqm-5110, 5309, 5310,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2194, Raqm-5493, 5499,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1638, Raqm-2067, 2069,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/155, Raqm-5339,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/149, Raqm-6631,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/390, Raqm-23362,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-836, Raqm-980.]

47/981.    “Hazrat ‘Ali KarrmAllahu Ta’ala Waj’hahul Karim Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apne Daayein Daste Mubarak Me Reshami Kapada Pakada Aur Baayein Daste Mubarak Me Sona Thaama Phir Farmaya : Yeh Dono’n Chize Meri Ummat Ke Mardon Par Haraam Hain.”

رواه أبوداود بِإسناد جيد.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/50, Raqm-4057,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/160, Raqm-5144,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1189, Raqm-3595, 3597,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/96, Raqm-750 : 04/394,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/235, Raqm-272, 325,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/15, Raqm-10889, 234,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/133, Raqm-6082,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-836, 837, Raqm-981.]

48/982.    “Aur Ek Riwayat Me Hazrat Aboo Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Resham Ka Libaas Aur Sona Meri Ummat Ke Mardon Par Haraam Kar Diya Gaya Hai Aur Un Kee Aurto’n Par Halaal Hai.”

رواه الترمذي.

وقال : أبو عيسى : حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/217, Raqm-1720,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/50, Raqm-4057,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/160, Raqm-5144,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1189, Raqm-3595, 3597,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/96, Raqm-750 : 04/394,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/235, Raqm-272, 325,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/15, Raqm-10889, 234,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/133, Raqm-6082,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-837, Raqm-982.]

49/983.    “Imame Azam Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ba Wasta Hazrat ‘Ata’ Bin Abi Ribaah Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Unhone Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Ek Safed Shaami Topi Mubarak Thi.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/198,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-837, Raqm-983.]

50/984.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Safed Topi Mubarak Pehna Karte They.”

[Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/175, Raqm-7259,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 05/121,

وقال : رواه الظبراني ورواته ثقات.

Suyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/366, Raqm-697,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-837, 838, Raqm-984.]

51/985.    “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Riwayat Karti Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Safed Thi Jise Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Pehna Karte They Jo Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sare Aqdas Par Jami Rehti Thi.”

[Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 04/193,

Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 07/121, Raqm-18285,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-838, Raqm-985.]

52/986.    “Hazrat Sa’iyd Bin ‘Abd Allah Bin Daraar Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Dekha Ki Woh Bayt-ul-Khala’ Me Daakhil Hu’e Phir Nilke Aur Un Ke Sar Par Batan Lagee Hu’i Safed Topi Thi To Unhone Apni Topi Par Masah Kiya. Imam Sufyan Sauri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya Ki Topi Bamanzile Imaama Hai.”

[‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 01/190, Raqm-745,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-838, Raqm-986.]

53/987.    “Hazrat Ash’ash Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Aboo Moosa (Al-Ash’ari) RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayt-ul-Khala’ Se Baahar Tashrif Laa’e Aur Unhone Topi Pahni Hu’i Thi, Phir Unhone Us Topi Par Masah Kiya.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/170, Raqm-24859,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-838, Raqm-987.]

54/988.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Sa’iyd RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Imam Ali Bin Hiusain RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma (Ya’ni Imam Zayn-ul-’Abidin) Ko Safed Misri Topi Pahne Hu’e Dekha.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/169, Raqm-24855,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-839, Raqm-988.]

55/989.    “Hazrat Hisham Bayan Karte Hain Ki Mein Ne ‘Abd Allah Bin Zubayr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Ek Chhazze Daar Topi Pahne Hu’e Dekha, Basa Awqaat Woh Baytullah Ka Tawaaf Karte Waqt (Aankho’n Ke Saamne) Us Ka Saaya Kar Lete They.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/169, Raqm-24856,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-839, Raqm-989.]

56/990.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Din Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ne Apne Rabb Se Kalam Kiya Us Din Unhone Ek Oon Kee Chaadar, Oon Ka Jubbah, Oon Kee Topi Aur Oon Kee Shalwaar Pahne Hu’i Thi Aur Ek Murda Daraaz Gosh (Ya’ni Gadhe) Kee Khaal Se Bane Joote Pahne Hu’e They.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/224, Raqm-1734,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/78, Raqm-3154,

 وقال : رواه الحاكم وقال الحاكم : صحيح على شرط البخاري.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-839, Raqm-990.]

57/991.    “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Shuhada Kee Chhar⁴ Iqsaam Hain : Woh Momin Shakhs Jis Ka Iman Mazboot Ho, Woh Dushman Se Muqabala Kare Aur Allah Ta’ala Kee Tasdiq Kare Yaha’n Tak Ki Shaheed Ho Jaa’e. Yahi Woh Shakhs Hai Ki Qiyaamat Ke Din Log Us Kee Taraf Aankh Utha-Utha Kar Dekhenge, Aap Ne Sar Mubarak Oopar Uthaya, Yaha’n Tak Ki Aap Kee Topi Geer Ga’i. Raawi Kehte Hain Ki Mujhe Ma’loom Nahin Us Se Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Topi Muraad Hai Ya Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee.”

“Imam Ahmad Bin Hanbal Kee Riwayat Ke Alfaz Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Sare Anwar Itna Oopar Uthaaya Hatta Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Topi Geer Ga’i Ya Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/177, Raqm-1644,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/23, Raqm-150,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/216, Raqm-252,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/10, 20, Raqm-45, 133,

Bazzar Fi Al-Musnad, 01/366, Raqm-246,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/39, Raqm-27,

Ibn Mubarak Aj-Jihad, 01/105, Raqm-126,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/212, Raqm-2138,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-840, Raqm-991.]

58/992.    “Hazrat Hilaal Bin Yasaaf RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein (Shaam Ke Ek Shahar) Ruqqa Gaya, Mere Kisi Saathi Ne Kaha :  Tumhaara Kya Khayaal Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Kisi Sahabi Se Mulaqat Kare? Mein Ne Kaha :  Yeh To Badi Ghanimat Hai. Phir Hum Hazrat Waabisa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Paas Ga’e, Mein Ne Apne Saathi Se Kaha : Dekho Pehle Hum Un Ke Taur Tareeqe Dekhte Hain.  Phir Hum Kya Dekhte Hain Ki Un Ke Sar Se Ek Do² Kaano’n Waali Topi Chimti Hu’i Hai Aur Ek Ooni Ghubaar Aalood Lambi Topi (Us Ke Oopar) Pahni Hu’i Hai Aur Woh Apne Asa Ke Sahaare Namaz Padh Rahe Hain.”

رواه أبوداود والحاكم والبيحقي.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/249, Raqm-948,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/397, Raqm-975,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/288, Raqm-3386,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-841, Raqm-992.]

59/993.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Imaame Ke Neeche Topi Pahnte They Aur Imaame Ke Baghair Bhi Topi Pahnte They Aur Aap Yamani Topi Pahnte They Aur Jang Me Kaano’n Waali Topi Pahnte They Aur Baa’z Awqaat Apni Topi Utaar Kar Us Ko Sutara Bana Kar Namaz Ada Karte They.”

[Suyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/367,

Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 07/121, Raqm-18286,

Azim Abadi Fi ‘Awn-ul-Ma’boodi Sharh Sunan Abi Dawud, 11/88,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 05/393,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 05/247,

Abd-ul-Haqq Muhaddith Dahelwi Sharh Safar-ul-Sa’adah, 01/436,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-841, 842, Raqm-993.]

60/994.    “Hazrat Nafi’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu (Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar Ke Aazaad Karda Gulaam) Bayan Karte Hain Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Mujhe Ek¹ Kapade Me Namaz Padhte Hu’e Dekha To Unhone Farmaya :  Kya Mein Ne Tumhein Aur Kapade Nahin Pehnaa’e? Mein Ne Arz Kiya Kyoon Nahin.  Unhone Farmaya : Agar Mein Tumhein Kisi (Khaas) Jagah Bheju To Kya Tum Isi Haalat Me Chale Jaa’oge? Mein Ne Arz Kiya : Nahin, To Farmaya : Phir Allah Ta’ala Us Ka Ziyaada Haqq Daar Hai Ki Us Ke Liey Mazayyan (Wa Tayyar) Hua Jaa’e.”

[Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 01/376, Raqm-766,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/236, Raqm-3089,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 01/309, Raqm-200,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/377,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 06/271,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-842, Raqm-994.]

61/995.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Koi Naya Kapada Pahnte To (بِسْمِ اللَّهِ)  Padhte Khwaah Qamij Ho Ya Imaama, Phir Arz Karte : (الَّهُمَّ! لَكَ الْحَمْدُ، أَنْتَ كَسَوْتَنِيْهِ، أَسْأَلُكَ مِنْ خَيْرِهِ وَ خَيْرِ مَا صُنِعَ لَهُ، وَأَعُوْذُبِكَ مِنْ شَرِّهِ وَشَرِّ مَا صُنِعَ لَهُ) “Aye Allah!  Tera Shukr Hai Ki Too Ne Mujhe Yeh Kapada Pehnaya, Mein Tujh Se Is Kee Khair Aur Jis Liye Yeh Banaaya Gaya Hai Us Kee Khair Ka Sawaal Karta Hoo’n Aur Is Ke Shar Aur Jis Ke Liye Yeh Banaya Gaya Us Ke Shar Se Teri Panaah Maangta Hoo’n.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/41, Raqm-4020,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/239, Raqm-1767,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/180, Raqm-6284,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,10/267,

Suyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/78, Raqm-93,

Azim Abadi Fi ‘Awn-ul-Ma’boodi Sharh Sunan Abi Dawud, 11/43,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 05/98,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 05/375,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-842, 843, Raqm-995.]

62/996.    “Hazrat Mughira Bin Shoaba RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Be Shak Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Tang Aastino’n Waala Roomi Jubbah Zebetan Farmaya.”

وقال أبو عيسى :هذا حديث حسن صحيح.

[Aboo Nu’aym Fi Musnad Al-Imam Abi Hanifah, 01/76, 77,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/239, Raqm-1768,

Nasa’i Fi As-Sunan, 01/83, Raqm-125,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/87, Raqm-110,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/255,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 05/391,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-843, Raqm-996.]

63/997.    “Hazrat Bara’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Qad Mubaarak Mutawasst (Darmiyaani) Tha, Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Surkh Rang Ke Hulla Ya’ni Do² Chaadaron Me Lipata Hua Dekha , Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Ziyaada Kisi Shai Ko Hasin Nahin Dekha.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2198, Raqm-5510,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1818, Raqm-2337,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/54, Raqm-4072,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/183, Raqm-5232, 5233,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/412, Raqm-9328,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/281,

Aboo Ya’la Musnad, 03/262, Raqm-1714,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-843, 844, Raqm-997.]

64/998.    “Hazrat Aamir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karet Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Mina Ke Muqam Par Ek Khachchar Par Khutba Dete Hu’e Dekha Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Oopar Ek Surkh Chaadar Thi Aur Hazrat ‘Ali KarrmAllahu Ta’ala Waj’hahul Karim Aap Ke Aage Khade Hu’e Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Alfaz (Logo’n Tak) Pahoncha Rahe They.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/54, Raqm-4073,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 03/247, Raqm-5777,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-844, Raqm-998.]

65/999.    “Hazrat Ubayd Bin Jurayj Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Poochha :  Aye Aboo ‘Abd-ir-Rahman!  Mien Ne Aap Ki Dekha Hai Ki Aap Kapdo’n Ko Zard Rang Se Rangte Hain? Unhone Farmaya :  Zard Rang Se Rangne Kee Wajah Yeh Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Zard Rang Se Rangte Dekha Hai. So Mein Bhi Unhe’n Zard Rang Me Rangna Pasnad Karta Hoo’n.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/73, Raqm-164,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2199, Raqm-5513,

Muslim Fi As-Sahih, 02/844, Raqm-1187,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/333, Raqm-733,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/66, Raqm-5338,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 09/78, Raqm-2763,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-844, 845, Raqm-999.]

66/1000.            “Hazrat Amr Bin Maymoon RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Jis Din Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Shaheed Hu’e Unhone Zard Rang Ke Kapade Pahne Hu’e They.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/160, Raqm-24751, 24752,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-845, Raqm-1000.]

67/1001.            “Ek Riwayat Mein Aboo Tibayan Bayan Karte  Hain Ki Mein Ne Hazrat ‘Ali KarrmAllahu Ta’ala Waj’hahul Karim Ko Zard Rang Kee Qamiz Aur  Izaar (Tehband) Pahne Hu’e Dekha.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/160, Raqm-24751, 24752,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-845, Raqm-1001.]

68/1002.            “Hazrat Aboo Rimsha RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Do² Sabz Chaadare Zaybetan Farmaa’e Hu’e Dekha.”

وقال أبو عيسى :هذا حديث حسن صحيح.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/119, Raqm-2812,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/86, Raqm-4206,

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/185, Raqm-1572,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/664, Raqm-4203,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/228, Raqm-7117,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-845, 846, Raqm-1002.]

69/1003.            “Hazrat Sulayman Bin Abi ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Muhaajirin Awwallin Ko Dekha Hai Ki Woh Siyaah, Safed, Surkh, Sabz Ya Zard Rang Ke Khurdure Kapdo’n Ke Imaame Baandhte They, Un Me Se Koi Imaama Apne Sar Par Rakhta Aur Us Ke Oopar Topi Rakhta Phir Topi Ke Gird Is Tarah Imame Ko Lapet Dete They.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/181, Raqm-24987,

Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 03/882, Raqm-1556,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-846, Raqm-1003.]

70/1004.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin Zubayr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaaze Istisqa’ Padhaa’i Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Apni Siyaah Chaadar Mubarak Zebetan Ki’e Hu’e They.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/302, Raqm-1163,

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/156, Raqm-1507,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/04,

‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 01/201, Raqm-786,

Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/80,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 09/360, Raqm-225,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-846, 847, Raqm-1004.]

71/1005.            “Hazrat Ummi Khaalid Binte Khaalid RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Riwayat Karti Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas (MAale Ghanimat Me) Kapade Laa’e Ga’e Jin Me Chhoti Siyaah Chaadar Bhi Thi, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhare Khaayal Me Hum Kis Ko Yeh Pehnaa’e?  Sahaba Khaamos Rahe, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Ummi Khaalid Ko Mere Paas Laawo, (Farmati Hai) Phir Unhone Sawaar Kar Ke Laaya Gaya, Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mujhe Apne Haatho’n Se Woh Chaadar Pahnaa’i Aur Farmaya (Use Iste’maal Kar Kar Ke) Puraana Aur Bosida Kar Do. Us Par Sabz Aur Zard Rang Ke Nuqoosh Bane Hu’e They, Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Ummi Khaalid! Yeh “سَنَاهُ” Hai. “Sanaah” Habshi Zabaan Me Nihaayat Khubsurat Ko Kehte Hain.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2191, Raqm-5485,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2198, Raqm-5507,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/182,  Raqm-6289,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/72, Raqm-2367,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-847, Raqm-1005.]

72/1006.            “Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Haazir Hua To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Safed Kapada Odhe Hu’e Istaraahat Farma Rahe They.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2193, Raqm-5489,

Ibn Mandah Fi Al-Iman, 01/224, Raqm-87,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/464, Raqm-957,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-847, 848, Raqm-1006.]

73/1007 .           “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Sufayd Kapde Pehna Karo Kyoo’n Ki Yeh Tumhara Behtareen Libaas Hai Aur Inhi Kapdo’n Me Apne Murdo’n Ko Bhi Kafan Diya Karo.”

رواه الترمذي وأبوداود والنساءي وابن ماجه.

وقال أبو عيسى :هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/319, Raqm-994,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/08, Raqm-3878,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/51, Raqm-4061,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/205, Raqm-5323,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/473, Raqm-1472,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1181, Raqm-3566,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/247, Raqm-2219,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/206, Raqm-1308,

وقال : هذا حديث صحيح.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-848, Raqm-1007.]

74/1008 .           “Hazrat Samurah Bin Jundub RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Safed Libaas Pehna Karo Kyon Ki Yeh Ziyaada Saaf Aur Paakiza Hai Aur Usi Me Apne Murdo’n Ko Kafan Diya Karo.”

رواه الترمذي والنساءي.

وقال أبو عيسى :هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/117, Raqm-2810,

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/34, Raqm-1896,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/205, Raqm-5322, 5323,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/621, Raqm-2023,

‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 03/429, Raqm-6199,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/182, Raqm-3919,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-848, 849, Raqm-1008.]