Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-15 : ﴾Aadaab Aur Mu’amalaat﴿

Momin Ke Momin Ke Saath Mu’amalaat Ka Bayan

Fasl-04 :

Momin Ke Momin Ke Saath Mu’amalaat Ka Bayan

40/974.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Momin Ek¹ Suraakh Do² Baar Nahin Dasa Jata (Ya’ni Ek¹ Hee Maamale Me Use Dobaara Dhokha Nahin Diya Jaa Sakta).”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2271, Raqm-5756,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2295, Raqm-2998,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/266, Raqm-4862,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1318, Raqm-3982, 3983,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/437, Raqm-663,

Darami Fi As-Sunan, 02/411, Raqm-2781,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/115, Raqm-5964,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-832, Raqm-974.]

41/975.    “Hazrat Ammar (Bin Yasir) RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Dunya Me Do² Moo’nh Rakkhe (Ya’ni Jis Me Doglapan Ho) To Qiyaamat Ke Din Us Ke Moo’nh Me Do² Aag Kee Zubaane Hogi.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/268, Raqm-4873,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 13/68, Raqm-5756,

Darami Fi As-Sunan, 02/405, Raqm-2764,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/223, Raqm-25463,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/246,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 03/204, Raqm-1637,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-832, 833, Raqm-975.]

42/976.    “Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya. : Do² Moo’nh Rakhne Waala Shakhs Intihaa’i Bure Logo’n Me Se Hai Jo Ek Ke Moo’nh Par Kuchh Kehta Hai Aur Doosre Ke Moo’nh Par Kuchh.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2626, Raqm-6757,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1288, Raqm-3304,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2011, Raqm-2526,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/374, Raqm-2025,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/268, Raqm-4872,

Malik Fi Al-Muwatta’, 02/991, Raqm-1797,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-833, Raqm-976.]

43/977.    “Hazrat Iyaz Bin Himar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Meri Taraf Wahyi Kee Hai Ki Tawaazoa (Be Inkisaari) Ikhtiyaar Karo Aur Koi Shakhs (Apne Aap Ko Behtar Samajhte Hu’e) Kisi Doosre Par Fakhr Na Kare Aur Na Koi Kisi Par Zulm Kare.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2198, Raqm-2865,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1399, Raqm-4179,

Bazar Al-Musnad, 08/424, Raqm-3495,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/234,

 Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/364, Raqm-1000,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-833, 834, Raqm-977.]

44/978.    “Hazrat Aboo Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhari Kisi Shay Se Mahabbat Tumhein Andha Aur Behra Kar Deti Hai (Ya’ni Apne Mehboob Ke Khilaaf Insaaf Kuchh Dekhna, Sun’na Gawaara Nahin Karta).”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/334, Raqm-5130,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/334, Raqm-4359,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/340, Raqm-1454,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/368, Raqm-411,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/143, Raqm-2728,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-834, Raqm-978.]

45/979.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Apne Bhai Ka Khat Us Kee Ijaazat Ke Baghair (Khol Kar) Dekha To Be Shak Us Ne (Dozakh Kee) Aag Me Dekha.”

“Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Ek Aur Riwayat Me Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Apne (Musalman) Bhai Ke Khat Me Us Kee Ijaazat Ke Baghair Ghauro Fikr Karta Hai (Ya’ni Use Padhta Hai Ya Us Kee Justajoo Karta Hai To) Woh To Bas (Dozakh Ki) Aag Me Jhaank Raha Hai.”

رواه أبو داود والطبراني والحاكم.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/78, Raqm-1485,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/300, 301, Raqm-7706, 7707,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/328, Raqm-1432,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/320, Raqm-10781,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/284, Raqm-464,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad,01/225, Raqm-675,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-834, 835, Raqm-979.]