Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-14 : ﴾Neki, Sila Rehmi Aur Huqooq﴿

Bado’n Aur Chhoto’n Ke Huqooq Ka Bayan

Fasl-04 :

Bado’n Aur Chhoto’n Ke Huqooq Ka Bayan

25/899.    “Umm-ul-Mu’minin Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Farmati Hain Ki Mein Ne Chaal Dhaal, Shaklo Shabaahat Aur Baatcheet Me Sayyida Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Badh Kar Kisi Ko Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mushaabeh Nahin Dekha Aur Jab Sayyida Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Hoti To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Un Ke Istiqbaal Ke Liye Khade Ho Jaate, Un Ka Haath Pakad Kar Bosa Dete Aur Unhe’n Apni Jageh Par Baithaate Aur Jab Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Un Ke Paas Tashreef Le Jaate To Woh Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Liye Khadi Ho Jaati, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Daste Aqdas Ko Pakad Kar Bosa Deti Aur Apni Jageh Bithaati.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/355, Raqm-5217,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/337, Raqm-971,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/96, Raqm-8369,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-786, Raqm-899.]

26/900.    “Hazrat Sha’abi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hazrat Ja’far Bin Aboo Taalib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se (Hijrat Ke Baa’d) Mile To Un Se Mu’anqa Farmaya Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Kee Dono’n Aankho’n Ke Darmiyan Bosa Diya.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan,04/356, Raqm-5220,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/541, Raqm-33682,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/351, Raqm-36643,

Maqri Fi Taqbil-ul-Yad, 01/81, Raqm-21,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-787, 788, Raqm-900.]

27/901.    “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin Razeen RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Ek Baar Hum Rabza (Jageh Ka Naam) Ga’e To Hamein Bataya Gaya Ki Yaha’n (Sahabi-e Rasool) Hazrat Salamah Bin Akwa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Rehte Hain. Hum Un Kee Khidmat Me (Ziyaarat Ke Liye) Ga’e Aur Unhe’n Salam Kiya. Unhone Apne Dono’n Haath Kapdo’n Se Baahar Ki’e Aur Farmaya : Mein Ne In Haatho’n Se Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bay’at Kee Hai Un Ka Haath Bada Aur Zakheem Tha Jaise Oont Ke Haath Ho’n, Hum Log Un Ke Ehtiram Me Khade Ho Ga’e Aur Hum Ne Un Ke Haatho’n Ka Bosa Liya.”

[Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/338, Raqm-973,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-788, Raqm-901.]

28/902.    “Hazrat Ibn Jud’an RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat Saabit Ne Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Arz Kiya : Kya Aapne Apne In Haatho’n Se Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Mas Kiya Tha? Unhone Farmaya : Ha’n, To Is Par Unhone Un (Ya’ni Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu) Ke Haatho’n Ko Chum Liya.”

[Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/338, Raqm-974,

Maqri Fi Taqbil-ul-Yad, 01/79, Raqm-19,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-788, 789, Raqm-902.]

29/903.    “Hazrat Suhaib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jo Ki Hazrat Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Ghulam They, Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Hazrat Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Haath Aur Paanw Choomte Hu’e Dekha Aur Saath-Saath Kehte Jaate They : Aye Chacha! Mujh Se Raazi Ho Jaa’e.”

[Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad,01/339, Raqm-976,

Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubala’, 02/94,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 13/240, Raqm-2905,

Maqri Fi Taqbil-ul-Yad, 01/76, Raqm-15,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-789, Raqm-903.]

30/904.    “Hazrat Iyas Bin Daghfal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Aboo Nazra Ko Dekha Ki Unhone Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Rukhsar Mubarak Par Bosa Diya.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/356, Raqm-5221,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/247, Raqm-25733,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-789, Raqm-904.]

31/905.    “Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Woh Jab Bhi Shaam Aate To Hazrat Aboo Ubaida Bin Jarrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Un Ka Istiqbaal Karte Aur Un Kee Dast Bosee Karte.”

[Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/476, Raqm-8965,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 07/101, Raqm-13361,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-789, Raqm-905.]

32/906.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Chuma To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Us Waqt Aqara Bin Haabis Tameemi Bhi Baitha Tha Woh Bola : Mere Das-10 Bete Hain Mein Ne To Unhe’n Kabhi Nahin Chuma. Is Par Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Kee Taraf Dekh Farmaya : Jo Raham Nahin Karta Us Par Raham Nahin Kiya Jaata.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2235, Raqm-5651,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1808, Raqm-2315,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/202, Raqm-457,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/241, Raqm-7287,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/46, Raqm-91, 99,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/100, Raqm-13354,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhib, 03/142, Raqm-3419,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-789, 790, Raqm-906.]

33/907.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Aqara Bin Haabis Tameemi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Hazrat Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Bosa Dete Hu’e Dekha, To Arz Kiya : Mere Das-10 Bete Hai Lekin Mein Ne Aaj Tak Un Me Kisi Ke Saath Bhi Aisa (Pyar Bhara Bartaaw) Nahin Kiya. Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Raham Nahin Karta Us Par Raham Nahin Kiya Jaata.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2235, Raqm-5651,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/355, Raqm-5218,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/202, Raqm-457,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/241, Raqm-7287,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/100, Raqm-13354,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/46, Raqm-91,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-790, 791, Raqm-907.]

34/908.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Jab Hazrat Sa’d Bin Mu’az RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Hukm Par Quraija (Qil’e Se) Neeche Utar Aa’e To Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhe’n Bulaane Ke Liye Ek Aadami Bheja Aur Woh Qareeb Hee They. So Woh Gadhe Par Sawaar Ho Kar Aa’e, Nazdeek Pahonche To Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Logo’n Se Farmaya : Apne Sardar Ke Liye (Taazeeman) Khade Ho Jaao.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1107, Raqm-2878,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1511, Raqm-3895,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/231, Raqm-5907,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1388, Raqm-1768,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/355, Raqm-5215,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/62, Raqm-8222,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/498, 500, Raqm-7028,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/22, Raqm-11181,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/57, Raqm-11096,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/06, Raqm-5323,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-791, Raqm-908.]