Fasl-03 :
Waaledain Ke Saath Nek Sulook Aur Sila Rehmi Ka Bayan
16/890. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Daryaaft Kiya : Allah Ta’ala Ko Kounsa Amal Sab Se Ziyaada Pasand Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Waqt Par Namaz Padhna. Mein Ne Arz Kiya : Phir Kounsa? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Waaledain Se Husne Sulook Karna. Mein Ne Arz Kiya : Phir Kounsa? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Kee Raah Me Jihaad Karna.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/227, Raqm-5625,
Bukhari Fi As-Sahih, 01/197, Raqm-504,
Muslim Fi As-Sahih, 01/89, Raqm-85,
Nasa’i Fi As-Sunan, 01/292, Raqm-610,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/409, Raqm-3890,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/215, Raqm-2984,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 10/19, Raqm-9805,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-782, Raqm-890.]
17/891. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Ek Aadami Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baargaahe Aqdas Me Hazir Hua Aur Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Logo’n Me Se Mere Husne Sulook Ka Sab Se Ziyadahh Haqudar Koun Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhaari Waalida. Unhone Arz Kiya : Phir Koun Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhari Waalida Hai. Unhone Arz Kiya : Phir Koun Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Phir Tumhari Waalida Hai. Unhone Arz Kiya : Phir Koun? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Phir Tumhaare Waalid Hai.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2227, Raqm-5626,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1974, Raqm-2548,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1207, Raqm-6094,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/05,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/175, Raqm-433,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 10/482, Raqm-6094,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-782, 783, Raqm-891.]
18/892. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Us Kee Naak Khaak Aalood Ho, Phir Us Kee Naak Khak Aalood Ho, Phir Us Kee Naak Khaak Aalood Ho. Poochha Gaya : Ya RasoolAllah ﷺ! Woh Koun Shakhs Hai? Farmaya : Jis Ne Apne Maa Baap Me Se Kisi Ek Ko Ya Dono’n Ko Budhaape Kee Haalat Me Paaya Aur Phir (Un Kee Khidmat Kar Ke) Jannat Me Daakhil Nahin Hua.”
–
[Muslim Fi As-Sahih,04/1978, Raqm-2551,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/276, Raqm-3280,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman,06/195, Raqm-7884,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-783, Raqm-892.]
19/893. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Ek Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Ho Kar Arz Kiya (Ya RasoolAllah!) Mein Ajr-o Sawab Ke Liye Aap Se Jihaad Aur Hijrat Kee Bay’at Karna Chaahta Hoo’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Tumhare Waaledain Me Se Koi Zinda Hai?Us Ne Arz Kiya : Ha’n Balki Dono’n Zinda Dono’n Zinda Hain.Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Too (Waaqa’i) Allah Ta’ala Se Ajr-o Sawab Chaahta Hai? Us Ne Arz Kiya : Ji Ha’n, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Apne Waaledain Ke Paas Jaa Aur Un Se Achchha Sulook Kar.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2227, Raqm-5627,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1975, Raqm-2549,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/17, Raqm-2528, 2529,
Nasa’i Fi As-Sunan, 07/143, Raqm-4163,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-783, 784, Raqm-893.]
20/894. “Aur Bukhaari Wa Muslim Kee Riwayat Me Hai Ki Ek Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Haazir Ho Kar Jihaad Par Jaane Kee Ijaazat Chaahi. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tere Maa Baap Zinda Hain? Us Ne Arz Kiya : Ji Ha’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : To Un Kee Khidmat Me Hee Jihaad Kar.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2227, Raqm-5627,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1975, Raqm-2549,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/17, Raqm-2528, 2529,
Nasa’i Fi As-Sunan, 07/143, Raqm-4163,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-784, Raqm-894.]
21/895. “Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Ek Aadami Aaya Aur Us Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Waaledain Ka Apni Aulaad Par Kitna Haqq Hai? Aaap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Dono’n Teri Jannat (Bhi) Hain Aur Dozakh (Bhi). (Ya’ni Un Kee Khidmat Kar Ke Jannat Haasil Kar Lo Ya Na-Farmaani Kar Ke Dozakh Ke Mustahiq Ho Jaao).”
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1208, Raqm-3662,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif,03/216, Raqm-3749,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-784, 785, Raqm-895.]
22/896. “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Raham Arsh Se Muallaq (Wabasta) Hai Aur Yeh Keh Raha Hai Ki Jis Ne Mujhe Mila Ya Allah Ta’ala Use Milaaye, Aur Jis Ne Mujhe Kaata Allah Ta’ala Use Kaate.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/1981, Raqm-2555,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/217, Raqm-25388,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/423, Raqm-4446,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/286,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/286, Raqm-3322,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-785, Raqm-896.]
23/897 . “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Sab Se Badi Neki Yeh Hai Ki Koi Shakhs Apne Waalid Ke Dosto’n Se Neki Kare.”
“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Badi Neki Yeh Hai Ki Koi Shakhs Apne Baap Kee Wafaat Paa Jaane Ke Baa’d Us Ke Dosto’n Se Neki Kare.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/1979, Raqm-2552,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/72, Raqm-7997,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/180, Raqm-7557,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-785, 786, Raqm-897.]
24/898. “Hazrat Jaahima RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Jihaad Ka Mashwara Lene Ke Liye Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Hua. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Tumhare Maa-Baap Zinda Hain? Mein Ne Arz Kiya : Ji Ha’n (Zinda Hain). Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Unhi Ke Saath Raho Ki Jannat Un Ke Paaw Tale Hai.”
–
[Nasa’i Fi As-Sunan, 06/11, Raqm-3104,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/289, Raqm-2202,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif,03/216, Raqm-3750,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/138, وقال : ورجاله الثقات
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-786, Raqm-898.]