Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-14 : ﴾Neki, Sila Rehmi Aur Huqooq﴿

Mushkilaat Me Logo’n Ke Kaam Aane Ka Bayan

Fasl-02 :

Mushkilaat Me Logo’n Ke Kaam Aane Ka Bayan

11/885.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Ek Musalman Doosre Musalman Ka Bhai Hai Na Woh Us Par Zulm Karta Hai Aur Na Use Be-Yaaron Madadgaar Chhodta Hai. Jo Shakhs Apne Kisi (Musalman) Bhai Kee Haajat Rawaa’i Karta Hai Allah Ta’ala Us Kee Haajat Rawaa’i Farmaata Hai Aur Jo Shakhs Kisi Musalman Kee Dunyaawi Mushkil Hal Karta Hai Allah Ta’ala Us Kee Qiyaamat Kee Mushkilaat Me Se Koi Mushkil Hal Farma’ega Aur Jo Shakhs Kisi Musalman Kee Parda Poshi Karta Hai Allah Ta’ala Qiyaamat Ke Din Us Kee Satar Poshi Karega.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/862, Raqm-2310,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1996, Raqm-2580,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/34, Raqm-1426, Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/273, Raqm-4893,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/308, Raqm-7286,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/91, Raqm-5646,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/291, Raqm-533,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/94, Raqm-11292,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-778, Raqm-885.]

12/886 .   “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Kisi Musalman Kee Koi Duniyaawi Taklif Door Karega Allah Ta’ala Us Kee Qiyaamat Ke Din Kee Mushkilaat Me Se Koi Mushkil Hal Kar Dega. Jo Shakhs Dunya Me Kisi Tang Dast Ke Liye Aasaani Paida Karega Allah Ta’ala Dunya Aur Aakhirat Me Us Ke Liye Aasaani Paida Farma’ega Aur Jo Shakhs Dunya Me Kisi Musalman Kee Parda Poshi Karega Allah Ta’ala Dunya Aur Aakhirat Me Us Kee Parda Poshi Farma’ega. Allah Ta’ala (Us Waqt Tak) Apne Bande Kee Madad Karta Rehta Hai, Jab Tak Banda Apne Bhaai Kee Mada Me Laga Rehta Hai.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2074, Raqm-2699,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/34, Raqm-1425, 1930, 2945,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/287, Raqm-4946,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/308, Raqm-7283, 7286,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/82, Raqm-225,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/425, Raqm-8159,

 وقال الحاكم : صحيح الإسناد.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-778, 779, Raqm-886.]

13/887.    “Hazrat Zayd Bin Saabit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Allah Ta’ala Us Waqt Tak Apne Bande Ke Kaam Me ( Madad Karta) Rehta Hai Jab Tak Banda Apne (Musalman) Bhaai Ke Kaam Me (Madad Karta) Rehta Hai.”

رواه الطبراني بإسناد جيد.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/118, Raqm-4801, 4802,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/264, Raqm-3974,

وقال المنذري : رواته ثقات،

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/91, Raqm-7560,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/193,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-779, Raqm-887.]

14/888.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Kee Ek Aisi Makhlooq Hai Jinhein Us Ne Logo’n Kee Haajat Rawaa’i Ke Liye Paida Farmaaya Hai Log Apni Haajat (Ke Silsile) Me Daude-Daude Un Ke Paas Aate Hain Yeh (Woh Log Hain Jo) Allah Ta’ala Ke Azaab Se Mehfooz Rahenge.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/358, Raqm-13334,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/117, Raqm-1007, 1008,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/262, Raqm-3966,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/192,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-780, Raqm-888.]

15/889.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar Aur Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhma Dono’n Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Apne (Kisi Musalman) Bhai Ke Kaam Ke Silsile Me Chal Pada Yaha’n Tak Ki Use Poora Kar De Allah ‘Azza Wa Jalla Us Par Panch-05 Hazaar, Aur Ek Riwayat Me Hain Ki Pach’hattar-75 Hazaar Firishto’n Ka Saaya Farma Deta Hai Woh Us Ke Liye Agar Din Ho To Raat Hone Tak Aur Raat Ho To Din Hone Tak Dua’e’n Karte Rehte Hain Aur Us Par Rahmat Bhejte Rehte Hain Aur Us Ke Uthne Waale Har Qadam Ke Badle Us Ke Liye Neki Likh Dee Jaati Hai Aur Us Ke (Apne Musalman Bhai Kee Mushkil Ko Hal Karne Ke Liye) Uthne Waale Har Qadam Ke Badle Allah Ta’ala Us Ka Ek Gunaah Mita Deta Hai.”

[Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/119, Raqm-7669,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/347, Raqm-4396,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/165, Raqm-5274,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif,03/263, Raqm-3973,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 02/299,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-780, 781, Raqm-889.]