Fasl-02 :
Awliya’ Aur Saaleheen Kee Karaamaat Ka Bayaan
28/772. “Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Zawja Mubaraka Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Bayan Karti Hain Ki Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Gaaba (Naami Waadi) Me Unhe’n Khajooor Ke Chand Darakht Hiba Ki’e Jin Me Se Bees Wasaq Khajoore’n Aati Thi. Jab Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Wafaat Ka Waqt Qareeb Aaya To Unhone Farmaya :
Aye Meri Pyari Beti! Aisa Doosara Koi Nahin Jis Ka Apne Baa’d Ghani Hona Mujhe Tum Se Ziyaada Pasand Ho Aur Apne Baa’d Mujhe Kisi Muflisi Ziyaada Gara’n Nahin. Mein Ne Tumhe’n Kuchh Darakht Di’e They Jin Se Bees Wasak Khajoore’n Aati Thi Agar Tumne Un Par Qabza Kiya Hota To Woh Tumhare Ho Jaate. Ab Woh Miraas Ka Maal Hai Aur Tumhare Do² Bhai Aur Do² Behne’n Hain. So Saare Maal Ko Allah Kee Kitaab (Ke Hukm) Ke Mutabik Taqseem Kar Lena. Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Farmati Hain : Mein Ne ‘Arz Kiya : Abba Jaan! Maal Khwaah Kitna Hee Ziyaada Hota Mein Chhod Deti Lekin Meri Bahan To Sirf Hazrat Asma Hain Doosri Kaun Hai? Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya Woh Binte Khaarija Ke Pet Me Hai Aur Mere Khayaal Me Woh Ladaki Hai Phir Unhone Ummi Kulsoom (Naami) Beti Ko Janm Diya.”
–
[Malik Fi Al-Muwatta’, 02/752, Raqm-1438,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/169, Raqm-11728, 12268,
Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 04/88,
Lalaka’i Fi Karamat Awliya’ Allah ‘‘Azza Wa Jalla, 01/177, Raqm-62,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 07/575, Raqm-11023,
Nawawi Fi Tahdhib-ul-Asma’ Wa Al-Lughat, 02/574, Raqm-1030, 1239,
Zayla’iy Fi Nasb-ur-Rayah Takhrij Ahadith Al-Hidayah, 04/122,
Aboo Ja’far At-Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 02/123, 257,
Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 03/194,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-689, 690, Raqm-772.]
29/773. “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Ek Taweel Waaqiye Me Marwi Hai Ki Ek Martaba Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Sahaba-e Kiram (Ashabe Suffa) Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Kee Daawat Kee (Aur Un Ke Saath) Aap Ne Khud Bhi Khaana Khaaya Aur Doosro’n Ne Bhi. Har Luqma Uthaane Ke Baa’d Khaana Pehle Se Bhi Ziyaada Badh Jaata. Sayyadana Siddiq Akbar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Apni Beewi Se (Jo Bani Faraas Ke Qabeele Se Thi) Farmaya : Aye Hamsheera Bani Faaras! Yeh Kya Mu’amala Hai? Unhone ‘Arz Kiya : Aye Meri Aankho’n Kee Thandak (Mere Sartaaj) Is Waqt To Yeh Khaana Pehle Se Teen Guna Ziyaada Hai Chunanche Un Sab Sahaba Ne Bhi Khoob Khaaya Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Bhi Rawaana Kiya, Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Bhi Tanaawul Farmaya.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/216, Raqm-577,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1312, Raqm-3388,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2274, Raqm-5789,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2274, 5790,
Muslim Fi As-Sahih, 03/1627, Raqm-2057,
Bazzar Fi Al-Musnad, 06/228, Raqm-2263,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/197, Raqm-1702, 1712,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-690, 691, Raqm-773.]
30/774. “Hazrat ‘Abd Allah Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Se Marwi Hai Ki Mein Ne Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Koi Aisee Baat Nahin Suni Jis Ke Muta’alliq Unhone Farmaya Ho Ki Mere Khayaal Me Yeh Is Tarah Hai Aur Woh Un Ke Khayaal Ke Mutaabik Na Nikli Ho.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1403, Raqm-3653,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/94, Raqm-4503,
Lalaka’i Fi Karamat Awliya’ Allah ‘‘Azza Wa Jalla, 01/119, Raqm-65,
Nawawi Fi Riyad-us-Salihin Min Kalami Sayyid Al-Mursalin, 01/568, Raqm-1510,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-691, Raqm-774.]
31/775. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Pehli Ummato’n Me Aise Log They Jin Ke Dil Me Allah Ta’ala Kee Taraf Se Baate’n Ilqa Kee Jaati Thi’n (Ya’ni Unhe’n Ilhaam Hota Tha) Aur Meri Ummat Me Agar Koi Aisa Shakhs Hai To Woh ‘Umar Hai.”
“Aur Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Riwayat Me Bayan Kiya Ki Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Poochha (Ya RasoolAllah ﷺ!) Is Ilhaam Kee Kaifiyat Kya Hoti Hai? Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Us Kee Zubaan Par Farishe Bolte Hain.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1349, Raqm-3486,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1279, Raqm-3282,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1864, Raqm-2398,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/622, Raqm-3693,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/317, Raqm-6894,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/92, Raqm-4499,
وقال : هذا حديث صحيح الإسناد ،
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/55, Raqm-24330,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/48, Raqm-5734,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/18, Raqm-6726,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/278, Raqm-4839,
Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 02/479, Raqm-1058,
Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool ﷺ , 03/138,
Nawawi Fi Riyad-us-Salihin Min Kalami Sayyid Al-Mursalin, 01/564, Raqm-1504,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/69,
Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,01/315,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 06/50,
Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 10/125,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-691, 692, Raqm-775.]
32/776. “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Jinnaat Wa Insaano’n Ke Shayaateen Ko Dekhta Hoo’n Ki Woh ‘Umar Ke Khauf Se Bhaag Ga’e Hain Aur Ek Riwayat Me Farmaya : Aye ‘Umar! Tum Se Shaitaan Darta Hai.”
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/621, Raqm-3690, 3691,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/309, Raqm-5957,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/353, Raqm-23039,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/333, Raqm-480,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 10/231, Raqm-4386,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/77,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-692, 693, Raqm-776.]
33/777. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Ek Lashkar Rawana Farmaya Aur Us Ka Saalaar Ek Shakhs Ko Muqarrar Kiya Jis Ka Naam Saaroya Tha. Ek Din Aap Khutba De Rahe The Ki Achaanak Dauraane Khutba Pukaara : Aye Saariya Pahaad Kee Ot Lo. (Jung Ke Baa’d) Lashkar Se Ek Qaasid Aaya Aur Kehne Laga : Aye Ameer-ul-Momineen Hum Dushman Se Lad Rahe They Aur Qareeb Tha Ki Woh Hame’n Shikast De De Phir Achanak Kisi Pukaarne Waale Ne Pukaara : Aye Saariya Pahaad Kee Ot Lo Hum Ne Apni Peethey Pahaad Kee Taraf Kar Lee To Allah Ta’ala Ne Unhe’n Shikast Aur Hame’n Fat’h ‘Ata Kee.”
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/219, Raqm-355,
Bayhaqi Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 06/370,
Bayhaqi Fi Al-I’tiqad, 01/314,
Aboo Nu’aym Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 03/210, 211,
Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/410, Raqm-5954,
Razi Fi At-Tafsir-ul-Kabir Aw Mafatih-ul-Ghayb, 21/87,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-693, Raqm-777.]
34/778. “Hazrat Qais Bin Hajjaj Riwayat Karte Hain Us Se Jis Ne Unhe’n Bataaya Ki Misr Fat’h Hone Ke Baa’d Ahle Misr (Governor Misr) Hazrat Amr Bin Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Khidmat Me Haazir Hu’e Jab Ajamee Mahina Boona Shuru Hua. Aur ‘Arz Kiya : Aye Ameer! Hamare Is Darya-e Neel Ka Ek Ma’mool Hai Jis Kee Taameel Ke Baghair Us Me Rawaani Nahin Aati. Hazrat Amr Bin Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Bataao Woh Kya Ma’mool Hai. Un Logo’n Ne Jawaab Diya : Jab Us Mahine Baarah Taarikh Aati Hai To Hum Ek Kunwaari Ladaki Us Ke Waaledain Kee Razamandi Se Haasil Karte Hain Aur Phir Use Umda Se Umda Zewraat Aur Kapade Pehna Kar Darya-e Neel Kee Nazar Kar Dete Hain Hazrat Amr Bin Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Yeh Sab Islam Me Nahin Hoga. Islam Zamana-e Jahiliyat Kee Tamam (Behuda) Rusoom Ko Khatm Karta Hai. (Raawi Ne) Kaha : Ahle Misr Boona, Aur Misri Teen Maah Tak Is Hukm Par Qaa’em Rahe Neel Kee Rawaani Rooki Rahi Paani Ka Qatra Na Raha. Darya-e Neel Kee Rawaani Ko Band Dekh Kar Logo’n Ne Tarke Watan Ka Iraada Kiya. Hazrat Amr Bin Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Tamaam Haalaat Kee Ameer-ul-Momineen Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Ittila Dee. Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Jawab Me Likha Ki Aye Amr Bin Aas Tum Ne Jo Kuchh Kiya Durast Kiya Islam Ne Saabiqa (Behuda) Rusoom Ko Jad Se Ukhaad Phainka Hai. Mein Apne Is Khat Ke Andar Ek Ruq’aa Bhej Raha Hoo’n Use Darya-e Neel Me Daal Dena. Bas Jab Hazrat ‘Umar Faruq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Khat Hazrat Amr Bin Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak Pahoncha To Unhone Us Khat Ko Khola To Us Me Darj Zel Ibaarat Thi : ˝Allah Ta’ala Ke Bande Ameer-ul-Momineen Umar Kee Taraf Se Misr Ke Darya-e Neel Ke Naam. Hamdo Salaat Ke Baa’d (Aye Darya) Agar Too Apni Marzi Se Behta Hai To Beh. Aur Agar Allah Waahid Wa Qahhaar Hee Tujhe Rawa’n Karta Hai To Hum Khudawande Waahid Wa Qahhaar Se Sawaal Karte Hain Ki Woh Tujhe Jaari Kar De. Chunanche Amr Bin Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Woh Ruq’aa Darya-e Neel Me Daal Diya. Jab Ruq’aa Daala Hafte Ke Deen Sub’h Logo’n Ne Dekha Ki Ek Raat Me Allah Ta’ala Ne Solah Haath (Pehle Se Bhi) Ooncha Paani Darya-e Neel Me Jaari Farma Kar Ahle Misr Se Usee Din Se Aaj Tak Is Qadeem Zaalimaana Rasm Ko Hamesha Ke Liye Khatm Farma Diya.”
رواه اللالكائ والقرطبي وابن كثير وأبو الشيخ في كتاب العظمة.
–
[Lalaka’i Fi Karamat Awliya’ Allah ‘‘Azza Wa Jalla, 01/119, Raqm-66,
Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 13/103,
Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim,03/465,
Razi Fi At-Tafsir-ul-Kabir Aw Mafatih-ul-Ghayb, 21/88,
Hamawi Mu’jam-ul-Buldan, 05/335,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-693, 694, 695, Raqm-778.]
35/779. “Hazrat Imam Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Ek Taweel Riwayat Me Marwi Hai Farmate Hain Ki Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Shaheed Kiya Gaya Aur Darwaje Par Hee Un Ka Sare Mubarak Pukaar Raha Tha : Mujhe Dafan Karo. Chunanche Un Ke Saathi Un Kee Na’sh Mubarak (Janaaze) Ko Baaghe Kawkab Me Le Ga’e Jaha’n Unhone Aap Kee Tadfeen Kee.”
–
[Tabarani Mu’jam-ul-Kabir, 01/78, Raqm-109,
Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 39/532,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/95,
Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 03/1047,
Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 03/77,
Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 19/457,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Talkhis-ul-Habir, 02/145,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-695, Raqm-779.]
36/780. “Hazrat Imam Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Baaghe Kawkab Ke Paas Se Guzarte To Farmate Ki Yaha’n Ek Nek Insan Dafan Kiya Jaa’ega (Chunanche Woh Khud Usee Jagah Dafan Kie Ga’e).”
–
[Tabarani Mu’jam-ul-Kabir, 01/78, Raqm-109,
Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 39/532,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/95,
Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 03/1047,
Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 03/77,
Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 19/457,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-696, Raqm-780.]
37/781. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne (Apni Shahadat Ke Din) Sub’h Hu’i To Farmaya : Mein Ne Raat Ko Dekha Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye ‘Uthman! Aaj Ka Roza Tum Hamare Paas Iftaar Karo. So Us Din Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Roza Rakkha Aur Usee Din Unhe’n Shaheed Kar Diya Gaya.”
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/110, Raqm-4554,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/181, Raqm-30510, 30511,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/442, Raqm-37085,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 07/232,
Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 03/74,
Ibn Hayyan Fi Tabaqat-ul-Muhaddithin Bi-Asbahan, 02/98, Raqm-182,
Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 39, 384,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-696, 697, Raqm-781.]
38/782. “Ek Riwayat Me Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ki Zawja Mohtaram Se Marwi Hai Ki Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Hazrat Aboo Bakr Aur ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Dekha Woh Sab Mujhe Keh Rahe They (Aye ‘Uthman!) Aaj Raat Tumhari Iftari Hamare Saath Hai.”
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/110, Raqm-4554,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/181, Raqm-30510, 30511,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/442, Raqm-37085,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 07/232,
Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 03/74,
Ibn Hayyan Fi Tabaqat-ul-Muhaddithin Bi-Asbahan, 02/98, Raqm-182,
Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 39, 384,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-696, 697, Raqm-782.]
39/783. “Hazrat Sulaiman Bin Yasar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Jahjaah Al Ghafaari Ne Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Asa Jis Par Tek Lagaate They Apne Ghutane Par Rakh Kar (Gustakhi Ke Saath) Tod Diya To Us Ke Ghutane Par Foda Nikal Aaya.”
–
[Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 39/329,
Lalaka’i Fi Karamat Awliya’ Allah ‘‘Azza Wa Jalla, 01/124, Raqm-70,
Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 01/269,
Razi Fi At-Tafsir-ul-Kabir Aw Mafatih-ul-Ghayb, 21/88,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-697, Raqm-783.]
40/784. “Hazrat Aboo Rafe’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jo Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Aazaad Karda Ghulaam They Riwayat Farmate Hain Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrate ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Apna Jhanda De Kar Khaibar Kee Taraf Rawaana Kiya To Hum Bhi Un Ke Saath They Jab Hum Qil’a-e Khaibar Ke Paas Pahonche Jo Madinah Munawwarah Ke Qareeb Hai To Khaibar Waale Achaanak Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Par Toot Pade Aap Bemisaal Bahaaduri Ka Mujaahira Kar Rahe They Ki Achaanak Un Par Ek Yahoodi Ne Chot Kar Ke Un Ke Haath Se Dhaal Gira Dee. Us Par Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Qil’e Ka Ek Darwaaza Ukhed Kar Apni Dhaal Bana Liya Aur Use Dhaal Kee Haisiyat Se Apne Haath Me Liye Jung Me Shareek Rahe. Bil Aakhir Dushmano’n Par Fat’h Haasil Ho Jaane Ke Baa’d Us Dhaal Numa Darwaaze Ko Apne Haath Se Phaink Diya Us Safar Me Mere Saath Saat Aadami Aur Bhi They Aur Hum Aath Ke Aath Mil Kar Us Darwaaze Ko Ulatne Kee Koshish Karte Rahe Lekin Hum Woh Darwaza (Jise Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Tanha Ukheda Tha) Na Ulat Sake.”
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/08, Raqm-23909,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 06/152,
Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 02137,
Ibn Hisham Fi As-Seerat-un-Nabawiyyah, 04/306,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-697, 698, Raqm-784.]
41/785. “Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Bayqn Kiya Hai Ki Ghzawa-e Khaibar Ke Roz Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Qil’a-e Khaibar Ka Darwaza Utha Liya Yaha’n Tak Ki Musalman Qil’e Par Chadh Ga’e Aur Use Fat’h Kar Liya Aur Yeh Tajreba Shuda Baat Hai Ki Us Darwaaze Ko Chaalis Aadami Mil Kar Hee Utha Sakte They.”
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/374, Raqm-32139,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,07/478,
Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 02/137,
Ibn Hisham Fi As-Seerat-un-Nabawiyyah, 04/306,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-698, Raqm-785.]
42/786. “Hazrat Zaadaan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Guftagoo Farmaa’i To Ek Shalhs Ne Unhe’n Jhuthlaaya Us Par Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya : Agar Too Ne Jhooth Bola Ho To Mein Tujhe Badduaa Doo’n? Us Ne Kaha Ha’n Badduaa Kare’n. Chunanche Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Us Ke Liye Badduaa Kee To Woh Shakhs Abhi Us Majlis Se Uthne Bhi Na Paaya Tha Ki Andha Ho Gaya.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/219, Raqm-1791,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/116,
Lalaka’i Fi Karamat Awliya’ Allah ‘‘Azza Wa Jalla, 01/126, Raqm-73,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-698, 699, Raqm-786.]
43/787. “Hazrat Aasim Bin Zmara RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Jab Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Shaheed Kar Diya Gaya To Hazrat Imame Hasan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Ek Khutbe Me Irshad Farmaya : Aye Ahle Koofa (Ya Farmaya) Aye Ahle Iraq Aaj Tumhare Darmiyan Woh Shakhs Shaheed Kar Diya Gaya Jis Se Ilm Me (Ummat Ke) Awwalin Bhi Sabqat Nahin Kar Sake Aur Aakhireen Me Se Bhi Koi Un Ke Muqaam (Martabe) Ko Na Pahonch Sakega. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Kisi Jihaad Kee Muhim Par Rawaana Farmate To Un Kee Daa’i Taraf Hazrat Jibra’il Aur Baayi’n Taraf Hazrat Mika’il ‘Alayhima As-Salam Raha Karte They Aur Woh Kabhi Bhi Fat’h Haasil Ki’e Baghair Nahin Laut’te They.”
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/369, Raqm-32094,
Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 06/412,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-699, Raqm-787.]
44/788. “Hazrat Ummi Salmah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Riwayat Karti Hain Ki Jab Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Apne Marze Wisaal Me Mubtala Hu’in To Mein Un Kee Teemardari Karti Thi. Beemaari Ke Us Poore Arse Ke Dauraan Jaha’n Tak Mera Khayaal Hai Ek Sub’h Un Kee Haalat Qadre Behtar Thi (Kuchh Thik Thi) Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kisi Kaam Se Baahar Ga’e Sayyida-e Kaa’enaat Ne Kaha : Aye Amma Mere Ghusl Ke Liye Paani Laa’en, Mein Paani Laa’i Jaha’n Tak Mera Khayaal Hai (Us Din) Unhone Behtareen Ghusl Kiya. Phir Boli’n : Amma Jee Mujhe Naya Libaas De’n. Mein Ne Aisa Hee Kiya. Phir Woh Qibla Rookh Ho Kar Let Ga’in Haath Rukhsaar Mubarak Ke Neeche Kar Liya Phir Farmaya : Amma Jee Ab Meri Wafaat Ho Jaa’egi Mein (Ghusl Kar Ke) Paak Ho Chuki Hoo’n Lehaaza Mujhe Koi Na Khole Pas Usee Jagah Un Kee Wafaat Ho Ga’i. Hazrat Ummi Salmah Farmati Hain Ki Phir Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Tashreef Laa’e To Mein Ne Unhe’n Saari Baat Sunaayi.”
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/461, Raqm-27656, 27657,
01/113,
Zayla’iy Fi Nasb-ur-Rayah Takhrij Ahadith Al-Hidayah, 02/250,
01/103,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/210,
Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’refat-is-Sahabah, 07/221,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-699, 700, Raqm-788.]
45/789. “Hazrat Ammara Bin Umair RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Jab (Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Qatil) ‘Ubayd Allah Bin Ziyaad Aur Us Ke Saathiyo’n Ke Sar La Kar Masjid Ke Baraamade Me Rakkhe Ga’e Aur Mein Us Waqt Un Logo’n Ke Paas Pahoncha Jab Woh Log Keh Rahe They Woh Aa Gaya, Woh Aa Gaya. Itni Der Me Ek Saanp Kahin Se Aaya Aur Un Ke Saro’n Par Ghusna Shuroo Kiya Aur ‘Ubayd Allah Bin Ziyaad Ke Nathane Me Ghusa Aur Us Me Thodi Der Thahar Kar Phir Baahar Aa Gaya Aur Kahin Chala Gaya Yaha’n Tak Ki Woh Kahin Ghaayab Ho Gaya. Phir Achaanak Woh Kehne Lage Woh Aa Gaya, Woh Aa Gaya. Woh Saanp Phir Aaya Aur Yahin Amal Us Ne Do² Ya Teen³ Baar Dohraaya.”
رواه الترمزي والطبراني.
وقال : أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/660, Raqm-3780,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/112, Raqm-2832,
Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi,
10/193,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-700 701, Raqm-789.]
46/790. “Hazrat Qurra Bin Khalid Farmate Hain Ki Mein Ne Suna Hai Ki Hazrat Aboo Riza Ataaridee Farma Rahe They : Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aur Us Khanwada-e (Nubuwwat) Ko Gaaliya’n Mat Do Hamara Ek Padosee Jo Ki Bil Hajeem Se Tha Kehne Laga : Kya Tum Yeh Nahin Dekhte (Ma’azAllah) Ki Us Faasik Husayn Ibn Ali Ko Allah Ta’ala Ne Qatl Kar Diya (Us Ka Yeh Kehna Hee Tha Ki) Usee Waqt Allah Ta’ala Ne (Aasmaan Se) Us Kee Dono’n Aankho’n Me Do² Sitaare Maare Aur Woh Andha Ho Gaya.”
رواه الطبراني.
إسناده حسن ورجاله رجال الصحيح.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/112, Raqm-2830,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/192,
وقال : ورجاله رجال الصحيح.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-701, 702, Raqm-790.]
47/791. “Hazrat Khaisama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat Khalid Bin Walid RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Paas Ek Aadami Laaya Gaya Us Ke Paas Sharaab Kee Suraahi Thi, Aapne Farmaya : Aye Allah Ise Shahad Bana De. To Woh Sharaab Fauran Shahad Me Tabdeel Ho Ga’i.”
“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Jab Hazrat Khalid Bin Walid RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hurra Ke Maqaam Par Aa’e To Un Ke Paas Zahre Qaatil Laaya Gaya, Unhone Use Hatheli Par Daala Aur Bismillah Kar Ke Pee Ga’e (Magar Us Zahar Ne Un Par Koi Asar Nahin Kiya).”
رواه اللالكاءي والذهبي والعسقلاني.
وقال : رواه أبو يعلى وابن سعد وابن أبي الدنيا بإسناد صحيح .
–
[Lalaka’i Fi Karamat Awliya’ Allah ‘‘Azza Wa Jalla, 02/254, Raqm-94, 97,
Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubala’, 01/375, 376,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 02/254,
Razi Fi At-Tafsir-ul-Kabir Aw Mafatih-ul-Ghayb, 21/89,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-702, Raqm-791.]
48/792. “Hazrat Aboo Khalda Taba’i Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Hazrat Aboo Aaliya Se Poochha : Kya Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Haditho’n Kee Sama’at Kee Hain? Aboo Aaliya Ne Farmaya : Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Das-10 Saal Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Kee Aur Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Ke Liye Du’aa Farmaa’i Jis Kee Wajeh Se Hazrat Anas Ka Baagh Saal Me Do² Martaba Fal Deta Tha Aur Un Ke Baagh Me Ek Khushboodar Pauda Tha Jis Se Unhe’n Kastoori Kee Khushaboo Aati Thi.”
رواه الترمزي. وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/683, Raqm-3833,
Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubala’, 03/400,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 01/127,
Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/401, Raqm-5952,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-702, 703, Raqm-792.]
49/793. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Ek Taweel Riwayat Me Hai Ki Hazrat Khubaib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Ghazawa-e Badr Me (Sardare Quraish) Haaris Ko Qatl Kiya Tha (Baa’d Ke Ek Waaqiye Me) Hazrat Khubaib (Giraftaar Ho Kar) Un Ke Qaidee Ban Ga’e. Haaris (Jise Hazrat Khubayb RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Qatl Kiya Tha) Kee Ek Beti Kaha Karti Thi Ki Mein Ne Hazrat Khubaib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Ziyaada Achchha Aur Nek Koi Qaidee Nahin Dekha Aur Be Shak Mein Ne Hazrat Khubaib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko (Dauraane Qaid) Angoor Ka Khoosa (Guchchha) Khaate Hu’e Dekha Halan Ki Un Dino Makkah Me Koi Phal Nahin Milta Tha (Ya’ni Phalo’n Ka Mausam Bhi Nahin Tha) Aur Waise Bhi Woh Zanjeero’n Me Jakade Hu’e They. So Yeh Woh Rozee Thi Jo Allah Ta’ala Unhe’n (Ghaib Se) ‘Ata Farmata Tha.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1499, Raqm-3858,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1108, Raqm-2880,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/310, Raqm-8082,
Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 05/353, Raqm-9730,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/221, Raqm-4191,
Lalaka’i Fi Karamat Awliya’ Allah ‘‘Azza Wa Jalla, 01/101, Raqm-53,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,07/384,
Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 02/779, Raqm-1305,
Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 02/78,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-703, 704, Raqm-793.]
50/794. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Ek Lambi Riwayat Me Marwi Hai Ki Kuffare Quraish Ne (Dhokhe Se Shaheed Karne Ke Baa’d) Ek Daste Ko Shinaakht Ke Liye Hazrat Aasim RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Laash Me Se Tukada Kaat Kar Laane Ke Liye Bheja. Hazrat Aasim RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Ghazawa-e Badr Me Un Ke Bade Sardaaro’n Me Se Ek Ko Qatl Kiya Tha So (Us Daste Ke Pahonchte Hee) Allah Ta’ala Ne Un Kee Laash Ke Paas Bhido’n Kee Misl Koi Jaanwar Bhej Di’e Jinhone Kisi Ko Un Ke Laaah Ke Paas Bhi Aane Nahin Diya Aur Woh Un Ke Jism Ka Koi Hissa Le Jaane Me Kamyab Na Ho Sake.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1499, Raqm-3858,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1108, Raqm-2880,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/310, Raqm-8082,
Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 05/353, Raqm-9730,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/221, Raqm-4191,
Lalaka’i Fi Karamat Awliya’ Allah ‘‘Azza Wa Jalla, 01/101, Raqm-53,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-704, Raqm-794.]
51/795. “Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Jab Ghazawa-e Uhad Ka Waqt Aa Gaya To Mere Waalid (Hazrat ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu) Ne Mujhe Raat Ke Waqt Bulaaya Aur Farmaya : Mein Yahin Dekhta Hoo’n Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ashaab Me Sab Se Pehle Mein Shaheed Kiya Jaoonga Aur Mein Apne Baa’d Kisi Ko Nahin Chhod Raha Hoo’n Jo Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ilaawah Mujhe Tum Se Ziyaada Azeez Ho Mujh Par Qarz Hain Ise Ada Kar Dena Aur Apni Bahno’n Ke Saath Achchha Sulook Karna. Sub’h Hu’i To Sab Se Pehle Wahi Shaheed Ki’e Ga’e. Aur Ek Doosre (Shaheed) Ke Saath Dafan Ki’e Ga’e. Phir Mera Dil Us Par Razaamand Na Hua Ki Unhe’n Doosro’n Ke Saath Chhode Rakhoo’n Lehaaza (Tadfeen Ke Baa’d) Chhe-06 : Mahino’n Ke Baa’d Mein Ne Unhe’n Nikaala To Woh Usee Tarah (Tarotaaaza) They Jaise Dafan Karne Ke Din They, Siwaye Ek Kaan Ke Jo Ki Jung Ke Dauran Shaheed Ho Gaya Tha.”
رواه البخاري.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح على شرط مسلم.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/453, Raqm-1286,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/224, Raqm-4913,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/285, Raqm-12459,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Muqaddimah Fat’h-ul-Bari, 01/270,
Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/399, Raqm-5945,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-704, 705, Raqm-795.]
52/796. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmate Hain Ki Do² Aadami Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Se (Majlis Barkhaast Hone Ke Baa’d) Andheri Raat Me (Ghar Jaane Ke Liye) Nikale To (Us Andheri Raat Me) Achaanak Ek Noor Un Ke Samne Aa Gaya (Aur Woh Un Ke Saath-Saath Raushni Ke Liye Raha) Aur Jab Woh Dono’n Aadami (Apne-Apne Ghar Jaane Kee Wajah Se) Alag-Alag Raah Par Chal Pade To Woh Noor Bhi Un Dono’n Ke Saath (Do² Hisso Me Bat Kar) Alag-Alag Ho Gaya. Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Se (Andheri Raat Me Ghar Jaane Waale Woh Dono’n Aadami Hazrat Usayd Bin Huzayr Aur Abbaad Bin Bishr They) .”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1384, Raqm-3594,
Bukhari Fi As-Sahih, 01/177, Raqm-453,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1331, Raqm-3440,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/361, Raqm-3007,
Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,01/310,
Nawawi Fi Riyad-us-Salihin Min Kalami Sayyid Al-Mursalin, 01/566, Raqm-1506,
Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/399, Raqm-5944,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-705, 706, Raqm-796.]
53/797. “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Riwayat Farmati Hain Ki Jab Hazrat Najjashi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu (Shaahe Habsha) Faut Ho Ga’e To Hum Bayan Karte They Ki Un Kee Qabr Par Hamesha Noor (Barasta) Dekha Jaata Hai.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/16, Raqm-2523,
Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubala’, 01/430,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 01/206, Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/400, Raqm-5947,
Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 01/444,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-706, Raqm-797.]
54/798. “Hazrat Safeena RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Mein Samandar Me Kashtee Par Sawaar Hua. Woh Kashtee Toot Ga’i To Mein Us Ke Ek Takhte Par Sawaar Ho Gaya Us Ne Mujhe Ek Aisee Jagah Phaink Diya Jo Sher Kee Kachchh’haar Thi. Wahi Hua Jis Ka Dar Tha (Achaanak) Woh Sher Saamne Tha, Mein Ne Kaha Aye Abool Haaris (Sher) Mein Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Ghulaam Hoo’n To Us Ne Fauran Apna Sar Kham Kar Diya Aur Apne Kandhe Se Mujhe Ishaara Kiya Aur Woh Us Waqt Tak Mujhe Ishaara Aur Rehnuma’i Karta Raha Jab Tak Ki Us Ne Mujhe Sahee Raah Par Na Daal Diya. Phir Jab Us Ne Mujhe Sahee Raah Par Daal Diya To Woh Dheemi Aawaaz Me Gur Guraaya. So Mein Samajh Gaya Ki Woh Mujhe Alwida Keh Raha Hai.”
رواه الحاكم والبخاري فى الكبير والطبراني والبغوي في شرح السنة.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/675, Raqm-4235,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/702, Raqm-6550,
Bukhari Tarikh-ul-Kabir, 03/195, Raqm-663,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 07/80, Raqm-6432,
Ibn Rashid Fi Al-Jaame’, 11/281,
Lalaka’i Fi Karamat Awliya’ Allah ‘‘Azza Wa Jalla, 01/158, Raqm-114,
Baghawi Fi Sharh-us-Sunnah, 13,313, Raqm-3732,
Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/400, Raqm-5949,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-706, 707, Raqm-798.]
55/799. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne (Hazrat Sa’d Bin Mu’aadh Ansaari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Muta’alliq) Farmaya : Yeh Woh Hastee Hai Jis Kee Wafaat Se Arsh Bhi Hil Gaya, Aasmaan Ke Darwaaze Khol Di’e Ga’e Aur Sattar Hajaar Firishte Us Ke Janaze Me Shareek Hu’e. Ek Dafa Qabr Ne Use Dabaaya Phir Kushaada Kar Dee Ga’i.”
“Aur Ek Riwayat Me Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tamam Tareefe’n Allah Ke Liye Hee Hai Agar Koi Qabr Ke Dabaane Se Bach Sakta To Sa’d Bin Mu’aadh Bhi Zaroor Us Ke Dabaane Se Bach Jaate. (Momineen Aur Saaleheen Ke Liye Qabr Ka Dabaana Ba’ise Raahat Hota Hai Jaise Maa Bachche Ko God Me Le Kar Mahabbat Se Dabaati Hai.”
وقال العسقلاني : ورجاله ثقات محتج بهم في الصحيح.
–
[Nasa’i Fi As-Sunan, 04/100, Raqm-2055,
Tabarani Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/660, Raqm-8182,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/199, Raqm-1707,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/10, Raqm-5333,
Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 02/552, Raqm-1127,
Zayla’iy Fi Nasb-ur-Rayah Takhrij Ahadith Al-Hidayah, 02/286,
Suyooti Fi Sharh ‘Ala Sunan Nasa’i, 04/101, Raqm-2055,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Qawl Al-Musaddad Fi Al-Dhabbi ‘An Al-Musnad Lil-Imam Ahmad, 01/81,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-707, 708, Raqm-799.]
56/800. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Kisi Sahabi Ne Ek Qabr Par Khaima Lagaaya Unhe’n Maaloom Na Tha Ki Yeh Qabr Hai Achaanak Pata Chala Ki Yeh Qabr Hai Aur Us Ke Andar Koi Aadami Soorah Mulk Padh Raha Hai Yaha’n Tak (Us Sahaabi Ne Suna Ki) Us Padhane Waale Ne (Qabr Ke Andar) Mukammal Soorah Mulk Padhi (Yeh Sun Kar) Woh Sahabi Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Hu’e Aur ‘Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ! Mein Ne (Bhool Kar) Ek Qabr Par Khaima Lagaaya Aur Mujhe Yeh Khayaal Nahin Tha Ki Yeh Qabr Hai Achaanak Suna Ki Ek Aadami Qabr Me Soorah Mulk Padh Raha Hai Yaha’n Tak Ki Mein Ne Suna Us Ne Mukammal Soorah Mulk Padhi. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yeh (Soorah Mulk Azaabe Qabr Ko) Rokne Waali Hai Aur Azaabe Qabr Se Nizaat Dene Waali Hai.”
رواه الترمزي والبيهقي.
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/164, Raqm-2790,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/495, Raqm-2510,
Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 01/405, Raqm-2153,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/247, Raqm-2266,
Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 04/396,
Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 18/205,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-708, 709, Raqm-800.]