Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-08 : ﴾‘Ilm Aur A’maale Saaleha Kee Fazeelat﴿

Dhikre Ilaahi Aur Zakireen Kee Fazeelat Ka Bayan

Fasl-02 :

Dhikre Ilaahi Aur Zakireen Kee Fazeelat Ka Bayan

10/470.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Farmata Hai Ki Mera Banda Mere Muta’alliq Jaisa Khayaal Rakhta Hai Mein Us Ke Saath Waisa Hee Maamala Karta Hoo’n. Jab Woh Mera Zikr Karta Hai Mein Us Ke Saath Hota Hoo’n. Agar Woh Apne Dil Me Mera Zikr (Ya’ni Zikre Khafi) Kare To Mein Bhi Apni (Shaayaane Shaan Ke) Apne Dil Me Us Ka Zikr Karta Hoo’n, Aur Agar Woh Jam’a’at Me Mera Zikr (Ya’ni Zikre Jali) Kare To Mein Us Kee Jam’a’at Se Behtar Jam’a’at (Ya’ni Firishto’n) Me Us Ka Zikr Karta Hoo’n. Agar Woh Ek¹ Baalisht Mere Nazdeek Aa’e To Mein Ek¹ Baazoo Ke Barabar Us Ke Nazdeek Ho Jaata Hoo’n. Agar Woh Ek¹ Baazoo Ke Barabar Mere Nazdeek Aa’e To Mein Do² Baazoo’on Ke Barabar Us Ke Nazdeek Ho Jaata Hoo’n Aur Agar Woh Meri Taraf Chal Kar Aa’e To Mein Us Kee Taraf Daud Kar Aata Hoo’n.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2694, Raqm-6970,

Muslim Fi As-Sahih,04/2061, 2675,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/581, Raqm-3603,

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/412, Raqm-7730,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1255, Raqm-3822,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-433, Raqm-470.]

11/471.    “Hazrat Abi Moosa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Apne Rabb Ka Zikr Karne Waale Aur Na Karne Waale Kee Misaal Zinda Aur Murda (Dilo’n) Kee See Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2353, Raqm-6044,

Muslim Fi As-Sahih, 01/539, Raqm-779,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/135, Raqm-854,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 13/291, 292, Raqm-7306,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/401, Raqm-536,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-434, Raqm-471.]

12/472.    “Hazrat Aboo Hurayrah Aur Abee Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Dono’n Ne Gawaahi Dee Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Log Allah Ta’ala Ke Zikr Ke Liye Baithte Hain Firishte Unhe’n Dhaanp Lete Hain Aur Rahmate Ilahi Unhe’n Apni Aagosh Me Le Leti Hai Aur Un Par Sakeena (Rahmat) Ka Nazool Hota Hai Allah Ta’ala Un Ka Zikr Apni Bargah Ke Haazireen Me Karta Hai.”

رواه مسلم والترمذي.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2074, Raqm-2700,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/459, Raqm-3378,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1245, Raqm-3791,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/92, Raqm-11893,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/136, Raqm-855,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 11/20, Raqm-6159,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/60, Raqm-69475,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/137, Raqm-1500,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/296, Raqm-2233,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/398, Raqm-530,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/262, Raqm-2328,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-434, 435, Raqm-472.]

13/473.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Daryaft Kiya Gaya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Koun Se Log Qiyaamat Ke Deen Allah Ta’ala Ke Yaha’n Darje Me Afzal Honge? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Kasarat Se Allah Ta’ala Ka Zikr Karne Waale Mard Aur Auratein Hain. Mein Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Kya Allah Ta’ala Kee Raah Me Jihaad Karne Waale Se Bhi (Ziyaada Afzal Honge)? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Ha’n) Agar Ko’i Shakhs Apni Talwaar Kafiro’n Aur Mushriko’n Par Is Qadr Chalaaye Ki Woh Toot Jaa’e Aur Khoon Aalood Ho Jaa’e Phir Bhi Allah Ta’ala Ka Zikr Karne Waale Darje Me Us Se Ek Darja Afzal Hain.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/458, Raqm-3376,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/75, Raqm-11738,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/419, Raqm-589,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/530, Raqm-1401,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/254, Raqm-2296,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-435, Raqm-473.]

14/474.    “Hazrat Abi Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Tumhe’n Tumhare Aamaal Me Se Sab Se Achchha Aisa Amal Na Bataoo’n Jo Tumhare Maalik Ke Yaha’n Behtar Aur Pakeeza Hai. Tumhare Darajaat Me Sab Se Buland Hai. Tumhare Sone Aur Chandi Kee Khairat Se Bhi Afzal Hai, Aur Tumhare Dushman Ka Saamna Karne Ya’ni Jihaad Se Bhi Behtar Hai Is Haal Me Ki Tum Un Ka Qatl Karo Aur Woh Tumhe’n Qatl Kare? Sahaba Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Kyon Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Amal Allah Ta’ala Ka Zikr Hai. Hazrat Mu’aadh RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : (Zikre Ilahi Se Badh Kar) Ko’i Cheez Aisee Nahin Jo Azaabe Ilahi Se Nijaat Dilaane Waali Hai.”

رواه الترمذي وابن ماجه.

وقال الحاكم : حديث صحيح الإسناد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/459, Raqm-3377,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1245, Raqm-3790,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/239, Raqm-22132,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/673, Raqm-1825,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/394, Raqm-519,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/253, Raqm-2294,

وقال المنذري : إسناده جيد.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-436, Raqm-474.]

15/475.    “Hazrat Mu’az RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Namaz, Roza, Aur Zikre Ilahi Allah Ta’ala Kee Raah Me Maal Kharch Karne Par Bhi Saat Sau Guna Ziyaada Fazeelat Rakhta Hai.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/08, Raqm-2498,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/438, Raqm-15613,

Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabeer, 20/186, Raqm-405,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/249, Raqm-3171,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/162, Raqm-1935,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 05/282,

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 03/134,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-436, 437, Raqm-475.]

16/476.    “Hazrat Abi Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ka Zikr Itni Kasarat Se Karo Ki Log Tumhe’n Deewaana Kahe’n.”

رواه أحمد وابن حبان وأبو يعلى.

وقال الحاكم : صحيح الإسناد.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/68, Raqm-11671,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/71, Raqm-311692,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/99, Raqm-817,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/677, Raqm-1839,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/521, Raqm-1376,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/397, Raqm-526,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/76, Raqm-212,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/444,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/256, Raqm-2304,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-437, Raqm-476.]

17/477.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ka Zikr Is Kasrat Se Karo Ki Munafiq Tumhe’n Riyaakaar Kahein.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/169, Raqm-12786,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 03/81,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/444,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 01/456,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-437, Raqm-477.]

18/478.    “Hazrat Abi Jawza RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ka Zikr Itni Kasrat Se Karo Ki Munafiq Tumhe’n Riyakar Kahein.”

[Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/397, Raqm-527,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/256, Raqm-2305,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/76,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/85,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-438, Raqm-478.]

19/479.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ke Kuchh Firishte Aise Hain Jin Kee Baaqayda Zimmedari Yahi Hai Ki Woh Sirf Majalise Zikr Kee Talaash Me Rehte Hain Aur Majalise Zikr Me Shaamil Ho Jaate Hain. Phir Jab Kisi Majlise Zikr Ke Paas Se Guzarte Hain To (Us Majlis Me Itni Kasrat Se Shirkat Karte Hain Ki) Tah Dar Tah Arsh Tak Pahonch Jaate Hain.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2069, Raqm-2689,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/358, Raqm-8689, 8705,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/244, Raqm-5523,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-438, Raqm-479.]

20/480.    “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Jannat Kee Kyaariyo’n Se Guzro To (Un Me Se) Khoob Khaaya Karo. Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Jannat Kee Kyaariya’n Koun See Hain? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Zikre Ilahi Ke Halqaajaat.”

رواه الترمذي وأحمد والبيهقي.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/532, Raqm-3510,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/150, Raqm-2545,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/155, Raqm-3432,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/398, Raqm-529,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/268, Raqm-1044,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/262, Raqm-2329,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-438, 439, Raqm-480.]

21/481.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah ‘Azza Wa Jalla Farma’ega : Dozakh Me Se Aise Shakhs Ko Nikaal Do Jis Ne Ek Din Bhi Mujhe Yaad Kiya Ya Kabhi Kisi Muqaam Par Mujh Se Dara.”

 رواه الترمذي وحسنه.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/712, Raqm-2594,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/141, Raqm-234,

وقال الحاكم : صحيح الإسناد، ٢٤٤/٥، الرقم : ٨٠٨٤،

Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah, 02/400, Raqm-833,

Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,01/201,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-439, Raqm-481.]

22/482.    “Hazrat Abi Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Qiyaamat Ke Din Allah Ta’ala Kuchh Aise Logo’n Ko Uthaa’ega Jin Ke Chahre PurNoor Honge, Woh Motiyo’n Ke Mimbaro’n Par (Baithe) Honge, Log Unhe’n Dekh Kar Rashk Karenge, Na To Woh Ambiya Honge Aur Na Hee Shohada. Hazrat Abi Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kehte Hain Ki Ek Aa’raabi Apne Ghutne Ke Bal Baith Kar Kehne Laga : Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Hamare Saamne Un Ka Huliya Bayan Farmaa’en Taaki Hum Unhe’n Jaan Le. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yeh Woh Log Hain Jo Mukhtalif Qabeelo’n Aur Mukhtalif Ilaaqo’n Se Ta’alluk Rakhne Ke Ba Wajood Allah Ta’ala Kee Khaatir Ek Doosre Se Mahabbat Karte Hain, Ikat’the Ho Kar Allah Ta’ala Ka Zikr Karte Hain.”

رواه الطبراني كما المنذري.

وقال المنذري : إسناده حسن.

[Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/262, Raqm-2362,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/12, Raqm-4583,

 وقال المنذرى : رواه الطبرانى بإسناد حسن،

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/77,

وقال : رواه الطبراني بإسناد حسن،

Suyooti Fi Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bil-Ma’thoor, 10/368,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-439, 440, Raqm-482.]

23/483.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Majalise Zikr Kee Ghaneemat (Ya’ni Nafa) Kya Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Majalise Zikr Kee Ghaneemat Jannat Hai, Jannat Hai.”

رواهأحمد والطبراني. إسناده حسن.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/177, Raqm-6651, 6777,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/273, Raqm-1325,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/261, Raqm-2324,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/78,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 04/407,

Suyooti Fi Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bil-Ma’thoor, 01/366,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-440, Raqm-483.]

24/484.    “Hazrat Abi Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jin Logo’n Kee Zabaane Hamesha Zikre Ilahi Se Tar Rehti Hain Woh Muskurate Hu’e Jannat Me Daakhil Honge.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/111, Raqm-34587, 35052,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 01/219,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/397,

Ibn Abi ‘Asim Fi Az-Zuhd, 01/136,

Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 01/639,

Suyooti Fi Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bil-Ma’thoor, 01/366,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/445,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-440, 441, Raqm-484.]

25/485.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Aasmaan Waale Ahle Zikr Ke Gharo’n Ko Aise Raushan Dekhte Hain Jaise Zameen Waale Sitaaro’n Ko Raushan Dekhte Hain.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/170, Raqm-30555,

Ibn Hibban Tabqat-ul-Muhaddithin, 04/282, Raqm-668,

Suyooti Fi Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bil-Ma’thoor, 01/367,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-441, Raqm-485.]

26/486.    “Hazrat Abi Sa’iyd RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah ‘Azza Wa Jalla Farmata Hai : Qiyaamat Ke Din Ikat’tha Hone Waale Ko Pata Chalega Ki Buzurgi Aur Sakhaawat Waale Kaun Log Hain! ‘Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah ﷺ! Buzurgi Waale Koun Log Hain? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Masaajid Me Majalise Zikr Mun’aqid Karne Waale.”

رواه أحمد وابن حبان وصححه.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/68, Raqm-11670, 11740,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/98, Raqm-816,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/531, Raqm-1403,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/401, Raqm-535,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/253, Raqm-8104,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 06/259, Raqm-2318,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-441, 442, Raqm-486.]

27/487.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Kuchh Log Mahz Allah Ta’ala Kee Raza Joo’i Kee Khaatir Ijtima’i Taur Par Us Ka Zikr Karte Hain To Aasmaan Se Ek Munaadi Aawaaz Deta Hai : Khade Ho Jaao! Tumhe’n Bakhsh Deeya Gaya Hai, Tumhaare Gunaah Nekiyo’n Me Badal Di’e Ga’e Hain.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/142, Raqm-12476,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/154, Raqm-1556,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/401, Raqm-534, 694,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/167, Raqm-4141,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/60, Raqm-29477,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/244, Raqm-35713,

Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-uz-Zuhd, 01/205,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/260, Raqm-2320,

وقال : رواه أحمد ورواته محتج بهم.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-442, Raqm-487.]

28/488.    “Hazrat Suhail Bin Hanzala RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Log Majlise Zikr Me Baith Kar Allah Ta’ala Ka Zikr (Zikr Karne Ke Baa’d Us Majlis Se) Uthte Hain To Unhe’n Kaha Jaata Hai : Khade Ho Jaao! Allah Ta’ala Ne Tumhare Gunaah Bakhsh Di’e Hain Aur Tumhare Gunaah Nekiyo’n Me Badal Di’e Hain.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/212, Raqm-6039,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/454, Raqm-695,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/260, Raqm-2321,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/76,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-442, 443, Raqm-488.]

29/489.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Allah Ta’ala Ko Yaad Kiya Aur Us Ke Khauf Se Us Kee Aankhe’n Is Qadr Ashkbaar Hu’i Ki Zameen Tak Us Ke Aansoo Pahonch Ga’e To Allah Ta’ala Use Qiyaamat Ke Din ‘Azaab Nahin Dega.”

رواه الطبراني والحاكم.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/289, Raqm-7668,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/178, Raqm-1641, 6170,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/113, Raqm-5023,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-443, Raqm-489.]

30/490.    “Hazrat Mu’az RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Ek Aadami Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Sawaal Kiya : Kis Jihaad Ka Sab Se Ziyaada Ajr Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Us Bande Ka Jihaad Jo Sab Se Ziyaada Allah Ta’ala Ka Zikr Karne Waala Hai. Us Ne Sawaal Kiya : Kis Rozadar Ka Ajr Sab Se Ziyaada Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Un Me Se Sab Se Ziyaada Allah Ta’ala Ka Zikr Karne Waale Ka, Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hamare Liye Namaz, Zakaat, Hajj Aur Sadqe Ka Zikr Kiya Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : In Sab Ibaadato’n Me Is Ka Ajr Sab Se Ziyaada Use Hoga Jo Allah Ta’ala Ka Sab Se Ziyaada Zikr Karne Waala Hoga. Zikr Karne Waale Tamaam Bhalaa’i Le Ga’e? To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ha’n (Aboo Bakr Too Sach Keh Raha Hai).”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/438, Raqm-15699,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/186, Raqm-407,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/257, Raqm-2309,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/74,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-443, 444, Raqm-490.]