Fasl-01 :
‘Ilm Aur Ulama’ Kee Fazeelat Ka Bayaan
01/461. “Hazrat Mu’awiya RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Allah Ta’ala Jis Ke Saath Bhalaa’i Ka Iraada Farmata Hai Use Deen Kee Samajh Boojh ‘Ata Farma Deta Hai Aur Mein To Phir Taqseem Karne Waala Hoo’n Jab Ki Deta Allah Ta’ala Hai.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/39, Raqm-71,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1134, Raqm-2948,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2667, Raqm-6882,
Muslim Fi As-Sahih, 02/718, Raqm-1037,
Tirmidhi An Ibn Abbas Fi As-Sunan, 05/28, Raqm-2645,
Ibn Majah An Mu’awiya Wa Abi Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Fi As-Sunan, Al-Muqaddimah, 01/80, Raqm-22, 221,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/425, Raqm-5839,
Malik Fi Al-Muwatta’, 02/900, Raqm-1599,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/234, Raqm-793,
Darami Fi As-Sunan, 01/85, Raqm-224, 22,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-427, Raqm-461.]
02/462. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Husoole ‘Ilm Ke Liye Nikla Woh Us Waqt Tak Allah Ta’ala Kee Raah Me Hai Jab Tak Ki Waapas Nahin Laut Aata.”
رواه الترمذي وحسنه والطبراني.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/29, Raqm-2647,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/234, Raqm-380,
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,06/124, Raqm-2119,
وإسناده حسن،
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/60, Raqm-148,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-427, 428, Raqm-462.]
03/463. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna : Allah Ta’ala Ka Zikr Aur Us Ka Dam Bharne Waale Aur Aalim Aur Talibe ‘Ilmo’n Ko Chhod Kar Baqaaya Dunya Aur Jo Kuchh Is (Dunya) Me Hain Sab Mal’oon (Mardood) Hain.”
رواه الترمذي وحسنه وابن ماجه.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/561, Raqm-2322,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1377, Raqm-4112,
Darami Fi As-Sunan, 01/106, Raqm-322,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/236, Raqm-4072,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/122,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-428, Raqm-463.]
04/464. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne ‘Ilm Haasil Kiya Jis Se Allah Ta’ala Kee Razamandi Haasil Kee Jaati Hai Lekin (Agar) Woh Yeh ‘Ilm Husoole Dunya Ke Liye Sikhta Hai To Qiyaamat Ke Roz Jannat Kee Khushboo Bhi Nahin Paayega.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/323, Raqm-3664,
Ibn Majah Fi As-Sunan, Al-Muqaddimah, 01/92, Raqm-252,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/338, Raqm-8438,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/279, Raqm-78,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/285, Raqm-26127,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 11/260, Raqm-6373,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/282, Raqm-1770,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/65, Raqm-177,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-428, 429, Raqm-464.]
05/465. “Hazrat Aboo Umama Bahili RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Samne Do² Aadmyo’n Ka Zikr Kiya Gaya : Jin Me Se Ek Aabid Tha Aur Doosara Aalim, Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aabid Par ‘Ilm Kee Fazeelat Usee Tarah Hai Jis Tarah Meri Fazeelat Tum Me Se Ek Adana (Sahabi) Par Hai. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Allah Ta’ala, Us Ke Firishte, (Tamam) Zameen Wa Aasman Waale Yaha’n Tak Ki Cheenti Apne Bil Me Aur Machhliya’n (Bhi Samandaron, Dariyao’n Aur Talabo’n Me) Us Shakhs Ke Liye Rahmat (Kee Du’aa) Maangte Hain Jo Logo’n Ko Bhala’i Kee Taalim Deta Hai.”
رواه الترمذي وحسنه والدامي.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/50, Raqm-2685,
Darami Fi As-Sunan, 01/100, Raqm-289,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/233, Raqm-7911 ,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/56, Raqm-130,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-429, Raqm-465.]
06/466. “Hazrat Abi Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Jo Aadami Talabe ‘Ilm Me Kisi Raste Par Chalta Hai To Allah Ta’ala Use Jannat Ke Raste Par Chala Deta Hai. Aur Be Shak Firishte Talibe ‘Ilm Kee Raza Ke Husool Ke Liye Us Ke Paanw Tale Apne Par Bichhaate Hain Aur ‘Aalim Ke Liye Zameeno’no Aasman Kee Har Cheez Yaha’n Tak Ki Paani Me Machhaliya’n Bhi Maghfirat Talab Karti Hain Aur ‘Aabid Par ‘Aalim Kee Fazeelat Aise Hee Hai Jaise Chaudahvin Raat Ke Chaand Kee Fazeelat Sitaro’n Par Hai. Aur Be Shak Ulama Ambiya-e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Ke Waaris Hain. Be Shak Ambiya-e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Kee Wiraasat Dirhamo Deenar Nahin Hoti Balki Un Ke Meeraas ‘Ilm Hai Phir Jisne Use Paaya Use (Wirasate Ambiya Se) Bohat Bada Hissa Mil Gaya.”
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/48, Raqm-2682,
Aboo Hanifah Fi Al-Musnad, 01/57,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/317, Raqm-3641,
Ibn Majah Fi As-Sunan, Al-Muqaddimah, 01/81, Raqm-21723,
Darami Fi As-Sunan, 01/110, Raqm-342,
Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/224, Raqm-1231,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/262, Raqm-1696, 1697,
Mahamili Fi Amali,li Al-Amli, 01/330, Raqm-354,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/51, Raqm-106,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-429, 430, Raqm-466.]
07/467. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ek Faqeeh Ek Hazaar Aabid Se Ziyaada Shaitan Par Sakht Aur Bhaari Hai.
Aur Ek Riwayat Ke Alfaz Hain Ki Har Ek Shai Ka Sutoon Hota Hai Aur Is Deen Ka Sutoon (Elme) Fiq’h Hai.”
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/48, Raqm-2681,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/81, Raqm-222,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/194, Raqm-6166,
Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/161, Raqm-1109,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/78, Raqm-11099,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/266, 267, Raqm-1712, 1715,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/57, Raqm-136,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-430, 431, Raqm-467.]
08/468. “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ulama-e Kiram Zameen Me Un Sitaaro’n Kee Tarah Hain Jin Ke Zareeye Behrobarr Ke Andhero’n Me Rahnuma’i Haasil Kee Jaati Hai Aur Sitaare Ghurub Ho Jaa’e’n To Qareeb Hai Ki (Musafiro’n Ko Raasta Dikhaane Waale) Rahnuma Bhatak Jaa’e’n. (Ya’ni Ulama-e Kiram Nahin Honge To Awaam Gumraah Ho Jaa’enge).”
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/157, Raqm-12621,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/134, Raqm-6418,
Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/343,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/56, Raqm-128,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/121, 122,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-431, Raqm-468.]
09/469. “Hazrat Jabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : ‘Ilm Do² (Tarah Ke) Hain : Ek ‘Ilm Dil Me Hota Hai Aur Yeh ‘Ilm Naafea (Nafa Dene Waala ‘Ilm) Hai Aur Ek ‘Ilm Zabaan Par Hota Hai Yeh (‘Ilm) Bani Aadam Par Allah Ta’ala Kee Hujjat (Daleel) Hai.
رواه الدارمي والمنذري بإسناد صحيح.
Aur Ek Riwayat Me Hai Ki ‘Ilm Do² (Tarah Ke) Hain : Ek ‘Ilm Dil Me Raasikh Hota Hai Aur Ek ‘Ilm Zabaan Par (Jaari Hota) Hai Phir Yeh ‘Ilm Allah Ta’ala Ke Bando’n Par Hujjat (Daleel) Hai (Ya’ni Agar Sahee ‘Ilm Haasil Nahin Karenge To Yeh Un Ke Khilaaf Gawaah Hoga.)”
–
[Darami Fi As-Sunan, 01/114, Raqm-364,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/294, Raqm-1825,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/58, Raqm-139, 130,
Daylami An Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/68, Raqm-4194,
Ibn Umar Al-Azadi Musnad-ur-Rabi’, 01/365, Raqm-947,
Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/407, Raqm-1141,
Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool ﷺ , 03/42,
Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/343,
Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 04/390,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-431, 432, Raqm-469.]