Fasl-05 :
Huzoor Nabiyye Akram ﷺ Kee Mad’h Aur Na’t Khaani Ka Bayan
56/516. “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Mein Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Suna : (Aye Hassan) Jab Tak Tum Allah ‘Azza Wa Jalla Aur Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Se Un Ka Difa’a Karte Rahoge Ruhool-Quddas (Jibra’il ‘Alayh-is-Salam) Tumhari Ta’eed Karte Raheinge, Neez Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Farmaya : Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Hai Ki Hassan Ne Kuffare Quraish Kee Hijw (Nazm Me Kisee Kee Buraa’i Karna) Musalmano’n Ko Shifa Dee (Ya’ni Un Ka Dil Thanda Kar Diya) Aur Apne Aap Ko Shifa Dee (Ya’ni Apna Dil Thanda Kiya) Hazrat Hassan Ne (Kuffar Kee Hijw Me) Kaha : ˝Tum Ne Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Hijw Kee, To Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Se Jawaab Diya Hai Aur Us Kee Asal Jaza Allah ‘Azza Wa Jalla Hee Ke Paas Hai.”
“Tum Ne Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Hijw Kee, Jo Nek Aur Adyaane Baatila Se Airaaz Karne Waale Hain, Woh Allah ‘Azza Wa Jalla Ke (Sachche) Rasool Hain Aur Un Kee Khaslat Wafa Karna Hai.”
“Bila Shub’ha Mera Baap, Mere Ajadaad Aur Meri ‘Izzat (Hamara Sab Kuchh), Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Izjato Naamoos Ke Difa’a Ke Liye Tumhare Khilaaf Dhaal Hain.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1299, Raqm-3338,
Bukhari Fi As-Sahih, 04/1523, Raqm-3914,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2278, Raqm-5798,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1934, 1935, Raqm-2489, 2490,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 13/103, Raqm-5787,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/341, Raqm-4377,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/273, Raqm-26021,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/555, Raaam-6063,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/238,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/38, Raqm-3582,
Baghawi Fi Sharh-us-Sunnah, 12/377, Raqm-3408,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-460, 461, Raqm-516.]
57/517. “Hazrat Urwah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Is Baat Ko (Sakht) Napasand Farmati Thi Ki Un Ke Saamne Hazrat Hassan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Bura Bhala Kaha Jaa’e (Hazrat Hassan Bhi Un Par Tohmat Lagaane Waalo’n Me Shaamil They) Farmati Thi (Unhe’n Bura Bhala Mat Kaho) Unhone (Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Shaan Me) Yeh Naa’t Padhi Hai : ˝Bila Shub’ha Mera Baap, Mere Ajadaad Aur Meri ‘Izzat (Hamara Sab Kuchh), Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee ‘Izzat Wa Naamoos Ke Difa’a Ke Liye Tumhare Khilaf Dhaal Hain.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1518, Raqm-3910,
Muslim Fi As-Sahih, 04/2137, Raqm-2770,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/296, Raqm-8931,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/197,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/341, Raqm-4933,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/555, Raqm-6060,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-461, 462, Raqm-517.]
58/518. “Hazrat Hisham RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Apne Waalid (Hazrat Urwah Bin Zubair RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu) Se Riwayat Kiya Ki Unhone Farmaya : Mein Hazrat Aisha Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Khidmat Me Haazir Hua Aur Hazrat Hassan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Bura Bhala Kehne Laga (Kyon Ki Woh Bhi Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Par Tohmat Lagaane Waalo’n Me Shaamil They) Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Farmaya : Unhe’n Bura Bhala Na Kaho Woh (Apni Sha’iri Ke Zari’e) Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Kuffar Ke Mukaabale Me Difa’a Kiya Karte They.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1523, Raqm-3914,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2278, Raqm-5798,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1933, Raqm-2487,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/299, Raqm-863,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/555, Raqm-6063,
وقال : هذا حديث صحيح ،
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 23/107, Raqm-149,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-462, Raqm-518.]
59/519. “Hazrat Bara’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Hassan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Farmaya : Mushrikeen Kee Hijw Karo (Ya’ni Un Kee Mazammat Me Ash’ar Padho) Aur Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Bhi (Is Kaam Me) Tumhare Saath Hain.”
Muttafaque ‘Alayh
“Bukhari Kee Ek Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Quraiza Ke Roz Hazrat Hassan Bin Saabit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Farmaya : Mushrikeen Kee Hijw Karo (Ya’ni Mazammat) Karo Yaqeenan Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Bhi (Meri Naamoos Ke Difa’a Me) Tumhare Saath Shareek Hain.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1176, Raqm-3041,
Bukhari Fi As-Sahih, 04/1512, Raqm-3897,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2279, Raqm-5801,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1933, Raqm-2486,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/493, Raqm-6024,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/302,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/237,
Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 04/298,
Tabarani Al-Mu’jam-us-Shagir, 01/90, Raqm-119,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/49, Raqm-1209,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/268, Raqm-3108,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/41, Raqm-3588, 3589,
Ibn Taymiyyah Al-Sarim-ul-Maslul, 01/214,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-462, 463, Raqm-519.]
60/520. “Hazrat Masruq Bayan Karte Hain Ki Hum Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Khidmat Me Haazir Hu’e, Dar’ Aa’n Hala’n Ki Un Ke Paas Hazrat Hassan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Baithe Unhe’n Apne Ash’aar Suna Rahe They, Hazrat Hassan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : ˝Woh Paakiza Aur Daanishamand Hain Un Par Kisee Ke Aybjoo’i Kee Tohmat Nahin Hai Woh Sub’h Ghaafilo’n Ke Gost Se Bhookhi Uthati Hain (Ya’ni Kisee Kee Gheebat Nahin Karti).˝ Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Un Se (Fan Ke Aitabar Se) Farmaya : Lekin Tum Is Tarah Nahin They, Masruq Ne Kaha : Aap Unhe’n Apne Paas Aane Kee Kyon Ijaazat Deti Hain Haala’n Ki Allah Ta’ala Ne Farmaya Hai : ˝Aur Un Me Se Jis Ne Is (Bohtaan) Me Sab Se Ziyaada Hissa Liya Us Ke Liye Jabardast ‘Azaab Hai.˝ ]Al-Noor, 24 : 11[ Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Farmaya : Andhe Hone Se Ziyaada Aur Koun Sa Bada ‘Azaab Hoga? Hazrat Hassan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Difa’a Me Kuffar Ko Jawaab Dete They, Ya Un (Kuffar) Kee Hijw Wa Mazammat Karte They.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1523, Raqm-3915,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1934, Raqm-2388,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/238,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 23/135, Raqm-175,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-463, 464, Raqm-520.]
61/521. “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Unhone Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Masjide Nabawi Me Hazrat Hassan Bin Saabit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Liye Mimbar Rakhte They Jis Par Woh Khade Ho Kar Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Se (Mushrikeen Ke Muqabale Me) Fakhr Ya Difa’a Karte They. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate : Be Shak Allah Ta’ala Ruhool Quddas Ke Zari’e Hassan Kee Madad Farmata Rahega. Jab Tak Woh Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Se Fakhr Ya Difa’a Karta Rahega.”
رواه الترمذي وأحمد والحاكم.
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/138, Raqm-2846,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/72, Raqm-24481,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/554, 555, Raqm-6058, 6059,
Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 04/298,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/189, Raqm-4746,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/37, Raqm-3580,
Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 02/423, Raqm-427,
Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 01/123,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-464, 465, Raqm-521.]
62/522. “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hazrat Hassan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Liye Masjid Me Mimbar Rakhwaya Karte They Aur Woh Us Par Khade Ho Kar Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Gustakhi Karne Waalo’n Kee Hijw (Ya’ni Mazammat) Kiya Karte They To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Jab Tak Hassan Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Se Difa’a Karta Rahega Ruhool Quddas (Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam ) Bhi Hazrat Hassan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Saath (Un Ke Madadgaar) Honge.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/304, Raqm-5015,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,01/548, Raqm-442,
Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 02/169,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-465, Raqm-522.]
63/523. “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Hassan Hin Sabit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Liye Masjid Me Mimbar Banwa Rakkha Tha. Woh Us Par (Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Shaan Me) Naa’t Padhte.
Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Us Par Khade Ho Kar (Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Difa’a Me) Mushrikeen Kee Hijw Karte. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : ˝Mushrikeen Kee Hijw Karo Aur Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Bhi Tumhare Saath (Is Kaam Me Madadgaar) Hain.”
–
[Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 04/298,
Ibn Shahin Fi Nasikh-ul-Hadith Wa Mansookhuh, 01/484, Raqm-648,
Ibn Adi Al-Kamal, 04/274, Raqm-1106,
Ibn Taymiyyah Al-Sarim-ul-Maslul, 01/214,
Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal, 04/300, Raqm-4913,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-465, 466, Raqm-523.]
64/524. “Hazrat Aswad Bin Sareea RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Unhone Bayan Kiya Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam! Be Shak Mein Ne Allah Ta’ala Kee Hamd Bayan Kee Hai Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Naa’t Bayan Kee Hai. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Laawo (Mujhe Bhi Sunaawo) Aur Ibtida Allah Ta’ala Kee Hamd Se Karo.”
رواه أحمد والطبراني والبيهقي والبخاري في الأدب.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/24, Raqm-15711,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/287, Raqm-843,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 04/89, Raqm-4365,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/126, Raqm-342,
Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 02/252, Raqm-1636,
Ibn Adi Al-Kamal, 05/200,,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-466, Raqm-524.]
65/525. “Hazrat Aswad Bin Sareea RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Unhone Bayan Kiya Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Haazir Hua Aur ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mein Ne Allah Ta’ala Kee Hamdo Sana Aur Aap Kee Midahat Wa Naa’t Bayan Kee Hai . To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Laawo Mujhe Bhi Sunaawo (Aur Ibtida) Allah Ta’ala Kee Hamd Se Karo Jo Tum Ne Bayan Kee Hai. Raawi Ne Bayan Kiya Mein Ne (Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saamne) Padhna Shuru Kar Diya.”
رواه أحمد والبخاري في الأدب والطبراني وأبونعيم.
ورجاله رجال الصحيح.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/435, 15033, 15038,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/260, 261, Raqm-334, 335,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/125, Raqm-342,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/287, Raqm-844,
Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 01/46,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/118,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id,09/66,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id,10/95,
وقال : رجال أحمد رجال الصحيح،
Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif, 01/154, Raqm-411,
وقال : أخدجه الإمام أحمد والبجاري في الأدب والنساءي والحاكم أحد أسانيد أحمد رجاله رجال الصحيح،
Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/162,
وقال : أحد أسانيد أحمد رجاله رجال الصحيح.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-466, 467, Raqm-525.]
66/526. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Umrah Qaza Ke Mauqe Par Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Makkah Mukarramah Me Is Shaan Se Daakhil Hu’e Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Rawaha RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Aage Aage Chal Rahe They Aur Ash’ar Padh Rahe They : ˝Kafiro’n Ke Beto! Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Raaste Se Hat Jaao. Aaj Un Ke Aane Par Hum Tumhari Gardane Maarenge. Aisee Zarb Jo Khopdiyo’n Ko Gardan Se Juda Kar De Aur Dost Ko Dost Se Alag Kar De.” Is Par Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Aye ‘Abd Allah Bin Rawaha! Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saamne Allah Ta’ala Ke Haram Me She’ar Kehte Ho? Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Umar! Use Chhod Do! Yeh Ash’aar Un (Dushmanon) Ke Haqq Me Teero’n Se Tez Asar Karte Hain.”
رواه الترمذي والنساءي والبغوي.
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/139, Raqm-2847,
Nasa’i Fi As-Sunan, 05/202, Raqm-2873,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/383, Raqm-3856,
Baghawi Fi Sharh-us-Sunnah, 12/374, 375, Raqm-3404, 3405,
وقال : إسناده صحيح،
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,07/502,
Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubala’,01/235,
Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 13/151,
Qastallani Fi Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 01/297,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-467, 468, Raqm-526.]
67/527. “Hazrat Moosa Bin Uqba RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Qa’b Bin Zuhair Ne Apne Mash’hoor Qaseede “Baanat Suaad” Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Masjide Nabawi Me Mad’h Kee Aur Jab Apne Is Qaul Par Pahonche : ˝Be Shak (Yeh) Rasoole Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Woh Noor Hain Jis Se Raushni Haasil Kee Jaati Hai Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Kufr Wa Zulmat Ke Alambardaro’n Ke Khilaaf) Allah Ta’ala Kee Tez Dhaar Talwaar Me Se Ek Azeem Teghe Aabdaar Hain.”
Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apne Daste Aqdas Se Logo’n Kee Taraf Ishaara Kiya Ki Woh Unhe’n (Ya’ni Qa’b Bin Zuhair) Ko (Ghaur Se) Sune.”
Aur Hazrat Sa’iyd Bin Musayyab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Riwayat Me Hai Ki Yeh Jab Qa’b Bin Zuhair Ke Paas (Gustakhe Rasool) Ibn Khatal Ke Qatl Kee Khabar Pahonchi Aur Use Yeh Khabar Bhi Pahonch Chuki Thi Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Bhi Wahi Dhamki Dee Hai Jo Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ibn Khatal Ko Dee Thi To Qa’b Se Kaha Gaya Ki Agar Too Bhi Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Hijw (Nazm Me Kisi Kee Bura’i Karna) Se Baa’z Nahin Aa’ega To Qatl Kar Diya Jaa’ega To Us Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sab Se Ziyaada Narm Dil Sahaabi Ke Baare Me Maaloomaat Kee To Use Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Baare Me Bataya Gaya To Woh Un Ke Paas Gaya Aur Unhe’n Apni Saari Baat Bata Dee Phir Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Yeh Ek Aadami Hai Jo Aap Kee Bay’at Karna Chaahta Hai Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apna Daste Aqdas Aage Badhaya To Qa’b Bin Zuhair Ne Apna Haath Aage Badha Kar Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bay’at Kar Lee Phir Apne Chehre Se Naqaab Hata Liya Aur Apna Woh Qaseeda Padha Jis Me Hai.”
˝Mujhe Khabar Dee Ga’i Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mujhe Dhamki Dee Hai Aur Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Yaha’n Afwo Darguzar Kee (Ziyaada) Ummid Kee Jaati Hai.”
Aur Is Qaseede Me Hai : ˝Be Shak (Yeh) Rasoole Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Woh Noor Hain Jis Se Raushni Haasil Kee Jaati Hai Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Kufr Wa Zulmat Ke Alambardaro’n Ke Khilaaf) Allah Ta’ala Kee Tez Dhaar Talwaar Me Se Ek Azeem Teghe Aabdaar Hain.”
Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne (Khush Ho Kar) Use Apni Chaadar Pehnaa’i Jis Ko Mu’awiya RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Us Kee Aulaad Se Maal Ke Badle Me Khareed Liya Aur Yahi Woh Chaadar Hai Jise (Baa’d Me) Khulafa Eido’n (Aur Aham Tyowharo’n Ke Mauqe) Par Pehna Karte They.
Is Hadith Ko Imam Ibn Qani’ Aur Imam Asqalani Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Ibn Kaseer Ne “Al-Badaaya” Me Riwayat Karne Ke Baa’d Farmaya Hai Ki Mein Kehta Hoo’n Ki Kuchh Riwayat Me Aaya Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apni Chaadar Mubarak Un Ko Us Waqt ‘Ata Farmaa’i Jab Unhone Apne Qaseede Ke Jariye Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Mad’h Farmaa’i……. Aur Isee Tarah Hafiz Aboo-ul-Hasan Ibn Al-Aseer Ne “Usd-ul-Ghabah” Me Bayan Kiya Hai Ki Yeh Wahi Chaadar Hai Jo Khulafa Ke Paas Rahi Aur Yeh Bohat Hee Mash’hoor Waaqe’a Hai.”
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/670, 673, Raqm-6477, 6479,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/243, Raqm-77,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 19/177, 178, Raqm-403,
Ibn Qani’ Fi Mu’jam Al-Sahabah, 02/381,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 05/594,
Ibn Hisham Fi As-Seerat-un-Nabawiyyah, 05/191,
ال كﻻعي في اﻻكتفاء، ٢٦٨/٢،
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah (As-Sirh), 04/373,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-468, 469, 470, 471, Raqm-527.]
68/528. “Hazrat Khuraim Bin Aws Bin Harisa Bin Laam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Maujood They To Hazrat Abbas Bin ‘Abd-il-Muttalib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mein Aap Kee Mad’h Wa Naa’t Padhna Chaahta Hoo’n To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Laawo Allah Ta’ala Tumhaare Daant Saheeh Wa Salamat Rakkhe (Ya’ni Tum Isee Tarah Ka Umda Kalaam Padhte Raho) To Hazrat Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Yeh Padhna Shuru Kuya : ˝Aur Aap Woh Zaat Hain Ki Jab Aap Kee Wiladate Ba-Sa’adat Hu’i To (Aap Ke Noor Se) Saari Zameen Chamak Uthi Aur Aap Ke Noor Se Ufaqe ‘Aalam Raushan Ho Gaya Phir Hum Hain Aur Hidayat Ke Raaste Hain Aur Hum Aap Kee ‘Ata Karda Raushni Aur Aap Hee Ke Noor Me In (Hidayat Kee Raahon) Par Gaamzan Hain.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/213, Raqm-4167,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/369, Raqm-5417,
Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 01/364,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/217,
Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubala’, 02/102,
Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 01/53,
Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 02/447, Raqm-664,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah 02/274, Raqm-2247,
Khattabi Islah Ghalat-ul-Muhaddithin, 01/101, Raqm-57,
Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 10/176,
Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra Aw Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib, 01/66,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah (As-Sirh), 02/258,
Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 13/146,
Halabi Fi As-Sirat-ul-Halabiyyah, 01/92,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-471, 472, Raqm-528.]
69/529. “Hazrat Husayn Bin ‘Ubayd Allah Riwayat Karte Hain Ki Mujhe Us Ne Bataya Jis Ne Hazrat Naabigha Jaa’di RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu (Aur Un Ka Poora Naam Qais Bin ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Hai Aur Unhe’n Sohbate Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Sharf Haasil Hai) Se Suna Woh Farmate Hain Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Haazir Hua Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Apna Kalaam Sunaaya Phir Jab Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Mad’h Kee To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Ki Allah Ta’ala Tumhare Daant Salamat Rakkhe (Aur Tum Isee Tarah Ka Umda Kalaam Padhte Raho) Aur (Is Du’aa Ke Nateeje Me) Woh Tamaam Logo’n Me Badh Kar Khoobsoorat Daanto’n Waale They Aur Jab Un Ka Ko’i Daant Girta To Us Jagah Doosara Daant Nikal Aata Tha.”
Aur Yahi Hadith ‘Abd Allah Bin Jarrad Se Bhi Marwi Hai Is Me Hain Ki Mein Ne Aap (Naabigha Jaa’di RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu) Kee Taraf Dekha Goya Un Ka Moo’nh (Pahaado’n Par) Giree Hu’i Barf Kee Tarah Raushan Aur Chamakdaar Tha. Un Ka Ko’i Daant Gira Na Kharaab Hua. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Is Farman Kee Badaulat Ki ˝Tum Ne Kya Khoob Meri Mad’h Kee Hai Allah Ta’ala Tumhare Daant Salamat Rakkhe.”
Aap Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Du’aa Kee Badaulat Hazrat Naabigha RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Taweel Zindagi Paa’i Yaha’n Tak Ki Aap 122 Saal Zinda Rahe.”
Imam Suyoot “Al-Khasa’is” Me Bayan Karte Hain Ki Imam Bayhaqi Aur Aboo Nu’aym Ne Ya’la Bin Ashdaq Ke Tareeq Se Yeh Hadith Riwayat Kee Hai Woh Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Naabigha Jo Ki Naabigha Bani Jaa’dah Hain Ko Bayan Karte Hu’e Suna Woh Farmate Hain : Mein Ne Is She’r Ke Zareeye Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Mad’h Saraa’i Kee To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Bohat Pasand Aaya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Too Ne Kya Khoob Kaha Hai! Allah Ta’ala Tumhare Daant Salamat Rakkhe. Phir Mein Ne Unhe’n Dekha Ki Un Kee ‘Umr Sau-100 Aur Kuchh Saal Oopar Ho Ga’i Thi Lekin Un Ka Ko’i Daant Nahin Gira Tha Aur Imam Bayhaqi Ne Yeh Hadith Aur Ek Tareeq Se Hazrat Naabigha Se Riwayat Kee Hai Aur Ibn Abee Usaama Ne Bhi Un Hee Se Ek Aur Tareeq Se Us Kee Riwayat Kee Hai Aur Us Me Yeh Alfaz ˝Hazrat Naabigha RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tamam Logo’n Se Badh Kar Khoobsoorat Daanto’n Waale They Aur Un Ka Ko’i Daant Girta To Us Kee Jagah Doosara Daant Nikal Aata” Aur Imam Ibn Sukan Ne Aap Hee Se Ek Tareeq Se Is Ko Riwayat Kiya Hai Aur Is Me Yeh Alfaz Hain : Mein Ne Hazrat Naabigha RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Dandaan Safed Olo’n Se Badh Kar Safed Dekhe Aur Yeh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Un Ke Liye Du’aa Ka Nateeja Tha.”
–
[Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 04/1514, 1517, 1743, Raqm-2648, 3154,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 05/588, Raqm-7407,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 06/394,
وقال : أخرجه البزار وأبونعيم في تاريخ أصبهان،
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/126,
وقال : رواه البزار،
Harith Fi Al-Musnad (Zawa’id Al-Haythami), 02/844, Raqm-894,
Ibn Hayyan Fi Tabaqat-ul-Muhaddithin Bi-Asbahan, 01/274, 276,
Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra Aw Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib, 02/282,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah (As-Sirh), 06/168,
Ibn Kathir Fi Rih Al-Nisrin Fi-Man ‘Ash Min Al-Sahabah, 01/77,
Qannooji Fi Abjad Al-Uloom,01/329,
وقال : أخرجهالسيوطي والبيهقي.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-472, 473, 474, Raqm-529.]
70/530. “Hazrat Qa’b Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se ‘Arz Kiya : Be Shak Allah Tabarak Wa Ta’ala Ne She’r Ke Baare Me Naazil Kiya Jo Naazil Kiya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Momin Apni Talwaar Aur Zubaan Dono’n Ke Saath Jihaad Karta Hai Aur Us Kee Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabza-e Qudrat Me Meri Jaan Hai! Goya Jo Alfaz Tum In (Kuffar Wa Mushrikeen) Kee Mazammat Me Kehte Ho Woh (Un Ke Liye) Teer Barsaane Jaisa Hai.”
رواه أحمد وابن حبان والبخار في الكبير والبغوي.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/387, Raqm-27218,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/456,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 13/102, Raqm-5786,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 11/05, Raqm-4707,
Bukhari Fi At-Tarikh-ul-Kabir, 05/304,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 19/75, Raqm-151, 153,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/239,
Baghawi Fi Sharh-us-Sunnah, 12/378, Raqm-3409,
Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab, 03/1325,
Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 24/195,
Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/216, Raqm-566,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-474, 475, Raqm-530.]