Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-08 : ﴾‘Ilm Aur A’maale Saaleha Kee Fazeelat﴿

Huzoor Nabiyye Akram ﷺ Par Durood-o Salaam Bhejne Kee Fazeelat Ka Bayaan

Fasl-03 :

Huzoor Nabiyye Akram Par Durood-o Salaam Bhejne Kee Fazeelat Ka Bayaan

31/491.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Mujh Par Ek¹ Baar Durood Bhejta Hai To Allah Ta’ala Us Par Das-10 Baar Durood (Rahmat) Bhejta Hai Aur Imam Tirmidhi Ne In Alfaz Ka Izafa Kiya : Aur Allah Ta’ala Us Ke Liye Das-10 Nekiya’n Bhi Us (Durood Padhne) Ke Badle Me Likh Deta Hai.”

وقال أبو عيسى :  حديث أبي هريرة. حديث حسن صحيح.

[Muslim Fi As-Sahih, 01/302, Raqm-408,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/353, 354, Raqm-484, 485,

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/50, Raqm-1296,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/384, Raqm-1219,

Darami Fi As-Sunan, 02/408, Raqm-2772,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/375, Raqm-8869, 10292,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/187, Raqm-906,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/253, Raqm-8702,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/126, Raqm-899,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 11/380, Raqm-6495,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/211, Raqm-1559,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/546, Raqm-2040,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-445, Raqm-491.]

32/492.    “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Mujh Par Ek¹ Baar Durood Bhejta Hai To Allah Ta’ala Us Par Das-10 Rahmatein Naazil Farmata Hai, Us Ke Das-10 Gunaah Maaf Ki’e Jaate Hain Aur Us Ke Das-10 Darjaat Buland Ki’e Jaate Hain.”

رواه النساءى وأحمد.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Nasa’i Fi As-Sunan, 04/50, Raqm-1297,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/385, Raqm-1120/10194,

Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01/296, Raqm-362,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/224, Raqm-643,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/253, Raqm-8703,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/102, Raqm-12017,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/210, Raqm-1554,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/735, Raqm-2018,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-446, Raqm-492.]

33/493.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Qiyaamat Ke Din Logo’n Me Se Mere Sab Se Ziyaada Qareeb Woh Shakhs Hoga Jo (Is Dunya Me) Un Me Se Sab Se Ziyaada Mujh Par Durood Bhejta Hai.”

رواه الترمذي وابن حبان.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/354, Raqm-484,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/192, Raqm-911,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 03/249, Raqm-5791,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/212, Raqm-1563,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/467, Raqm-5011,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/81, Raqm-250,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/327, Raqm-2575,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-446, Raqm-493.]

34/494.    “Hazrat ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Allah Ta’ala Kee Zameen Me Kuchh Gasht Karne Waale Firishte Hain Jo Mujhe Meri Ummat Ka Salam Pahonchaate Hain.”

رواه النساءي والدارمي.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Nasa’i Fi As-Sunan, 03/43, Raqm-1282,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/380, Raqm-1205,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/22, Raqm-9894,

Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01/67, Raqm-66,

Darami Fi As-Sunan, 02/409, Raqm-2774,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/195, Raqm-914,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/456, Raqm-3576,

Bazzar Fi Al-Musnad, 05/307, Raqm-4210, 4320,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 09/137, Raqm-5213,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/219, Raqm-10528, 10530,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/217, Raqm-1582,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/253, Raqm-8705, 31721,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/215, Raqm-3116,

Shashi Fi Musnad-ush-Shashi Al-Musamma Bi-‘l-Musnad Al-Kabir, 02/252, Raqm-825, 826,

Ibn Hayyan Fi Al-Azamah, 03/990, Raqm-513,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/364, Raqm-1028,

Daylami An Abi Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/183, Raqm-686,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/326, Raqm-2570,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-447, Raqm-494.]

35/495.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Meri Ummat Me Se Ko’i Shakhs) Aisa Nahi Jo Mujh Par Salam Bheje Magar Allah Ta’ala Ne Mujh Par Meri Rooh Waapas Lauta Dee Huwee Hai Yaha’n Tak Ki Mein Har Salam Karne Waale Ke Salam Ka Jawab Deta Hoo’n.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/218, Raqm-2041,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/527, Raqm-10867,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/262, Raqm-3092, 9329,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 05/245, Raqm-10050,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/217, Raqm-5181, 4161,

Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 01/453, Raqm-526,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/326, Raqm-2573,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/162,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-447, 448, Raqm-495.]

36/496.    “Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Jaha’n Kahin Bhi Ho Mujh Par Durood Bheja Karo, Be Shak Tumhara Durood Mujhe Pahonchta Hai.”

رواه أحمد والطبراني بإسناد حسن واللفظ له.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/367, Raqm-8790,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/82, Raqm-2729,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/17, Raqm-365,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/15, Raqm-7307,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/326, Raqm-2571,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-448, Raqm-496.]

37/497.    “Hazrat Aboo Talha RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ek Martaba Tashreef Laa’e. Aap Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Chehrae Aqdas Par Khushee Zaahir Ho Rahi Thi. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Abhi Abhi Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Mere Paas Aa’e Aur Unhone Kaha : Aap Ka Rabb Farmata Hai : Aye Muhammad!  Kya Aap Is Baat Par Raazi Nahin Ki Aap Kee Ummat Me Se Jo Shakhs Ek¹ Baar Aap Par Durood Bheje, Mein Us Par Das-10 Rahmate Bhejoo’n?  Aur Aap Kee Ummat Me Se Ko’i Aap Par Ek¹ Baar Salam Bheje To Me Us Par Das-10 Baar Salam Bhejoo’n?”

[Nasa’i Fi As-Sunan, 03/50, Raqm-1295,

Darami Fi As-Sunan, 02/408, Raqm-2773,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/30,

Ibn Mubarak Fi Kitab-uz-Zuhd, 01/364, Raqm-1067,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/100, Raqm-4720,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/252, Raqm-8695,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-448, 449, Raqm-497.]

38/498.    “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmate Hain Ki Yaqeenan Du’aa Us Waqt Tat Zameen Aur Aasmaan Ke Darmiyan Thahree Rehti Hai Aur Us Me Se Ko’i Bhi Cheez Oopar Nahin Jaati Jab Tak Ki Tum Apne Nabiyye Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Na Padh Lo.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/356, Raqm-486,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/330, Raqm-2590,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-449, Raqm-498.]

39/499.    “Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Farmate Hain Ki Har Du’aa Us Waqt Tak Parda-e Hijaab Me Rehti Hai Jab Tak Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ahle Bait RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Par Durood Na Bheja Jaa’e.”

رواه الطبراني بإسناد جيد والبيهقي.

وقال الهيثمي : رجاله ثقات.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/220, Raqm-721,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/216, Raqm-1575,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/330, Raqm-2589,

وقال رواته ثقات،

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/255, Raqm-4754,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/160,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-449, Raqm-499.]

40/500.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Farmate Hain Jo Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Ek¹ Martaba Durood Bhejta Hai, Allah Ta’ala Aur Us Ke Firishte Us Par 70 Martaba (Basoorate Rahmat) Durood Bhejte Hain.”

رواه أحمد.

وإسناده حسن.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/172, 187, Raqm-6605, 6754,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/325, Taqam-2566,

وقال : إسناده حسن،

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/160,

وقال :  رواه أحمد وإسناده حسن.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-450, Raqm-500.]

41/501.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Log Kisi Majalis Me Ikaththe Hu’e Phir (Us Majalis Me) Allah Ta’ala Ka Zikr Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Padhe Baghair Woh Muntashir Ho Ga’e To Woh Majalis Un Ke Liye Qiyaamat Ke Roz Ba’ise Hasrat (Wa Ba’ise Khasaara) Ban Ne Ke Siwa Aur Kuchh Nahin Hogi.”

[Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/351, Raqm-590,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/446, Raqm-9763,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/342, Raqm-962,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/79,

وقال الهيثمي : رواه أحمد ورجاله الصحيح.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-450, Raqm-501.]

42/502.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ko’i Qoum Kisi Bahith Ne Kee Jagah (Ya’ni Majlis Me) Baithe Aur Us Me Allah Ta’ala Ka Zikr Kare Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Na Bheje To Woh Majlis Roze Qiyaamat Un Ke Liye Hasrat (Wa Khasaare) Ka Ba’is Hone Ke Siwa Kuchh Nahin Hogi Agarche Woh Log Jannat Me Bhi Daakhil Ho Jaa’e’n (Lekin Unhe’n Hamesha Is Baat Ka Pachhtaawa Rahega).”

رواه ابن حبان وإسناده صحيح.

[Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/352, Raqm-591,

Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-uz-Zuhd, 01/27,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/263, Raqm-2331,

Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/577, Raqm-2322,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 10/79,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-450, 451, Raqm-502.]

43/503     “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Mujh Par Ek¹ Martaba Durood Padhta Hai Allah Ta’ala Us Par Das-10 Rahmatein Naazil Farmata Hai Aur Jo Shakhs Mujh Par Das-10 Martaba Durood Padhta Hai Allah Ta’ala Us Par Sau-100 Rahmatein Naazil Farmata Hai Aur Jo Shakhs Mujh Par Sau-100 Martaba Durood Padhta Hai Allah Ta’ala Us Kee Dono’n Aankho’n Ke Darmiyan (Ya’ni Paishani Par) Munafiqat Aur Aag (Dono’n) Se Hamesha Ke Liye Aazaadi Likh Deta Hai Aur Qiyaamat Ke Din Us Ka Qiyam (Aur Darja) Shaheedo’n Ke Saath Hoga.”

رواه الطبراني.

وقال الهيثمي : رجاله ثقات.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/188, Raqm-7235,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/126, Raqm-899,

Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib, 02/323, Raqm-2560,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/163,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-451, Raqm-503.]

44/504.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujh Par Durood Padha Karo Be Shak (Tumhara) Mujh Par Durood Padhna Tumhare Liye (Roohani Wa Jismani) Pakeezagi Ka Ba’is Hai.”

رواه ابن أبي شيبة وأبو يعلى بإسناده.

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/253, Raqm-8704,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 11/298, Raqm-6414,

Harith Fi Al-Musnad (Zawa’id Al-Haythami), 02/962, Raqm-1062,

Ibn Hannad Fi Az-Zuhd, 01/117, Raqm-147,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-452, Raqm-504.]

45/505.    “Hazrat Aboo Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Sub’h Ke Waqt Aur Shaam Ke Waqt Mujh Par Das-10 Martaba Durood Bhejega Use Qiyaamat Ke Din Meri Shafa’at Naseeb Hogi.”

رواه الطبراني بإسناد جيد كما قال المنزري والهيثمي.

[Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib, 01/261, Raqm-987,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/120,

وقال المننذري والهيثمي : رواه الطبرانى بإسنادين أحدهما جيد ورجاله وثقوا.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-452, Raqm-505.]