Fasl-07 :
Achchhi Aawaaz Se Tilawate Qur’an Karne Ka Bayaan
41/423. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Kisi Kaam Par Is Qadr Jaza ‘Ata’ Nahin Farmata Jitna Nabi ﷺ Kee Khush Ilhaani Se Qur’an Majid Padhne Par Ajr ‘Ata’ Farmata Hai.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2743, Raqm-7105,
Muslim Fi As-Sahih, 01/545, Raqm-792,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/73, Raqm-1473,
Nasa’i Fi As-Sunan, 02/180, Raqm-1017,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/05, Raqm-2256,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-399, Raqm-423.]
42/424. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Kisi Amr Par Itna Sawab Nahin Diya Jitna Apne Nabi ﷺ Ko Tarannum Ke Saath Qur’ane Karim Padhne Par Diya Hai.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1918, Raqm-4735, 4736,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2720, Raqm-7044,
Muslim Fi As-Sahih, 01/545, Raqm-793, 792,
‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/482, Raqm-4167,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-399, 400, Raqm-424.]
43/425. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Shakhs Hum Me Se Nahin Jo Qur’an Majid Ko Khoob Khush Ilhaani Ke Saath Nahin Padhta. (Dusre Raawi Ne Us Ke Saath Yeh Izafa Bhi Kiya Hai Ki) Jo Buland Aawaaj Se Nahin Padhta.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2737, Raqm-7089,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/73, Raqm-1469,
Darami Fi As-Sunan, 01/417, Raqm-1490,
Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/559, Raqm-1026,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-400, Raqm-425.]
44/426. “Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Qur’an Majid Padha Karo, Yeh Qiyaamat Ke Din Apne Padhne Waalo’n Ke Liye Shafa’at Karne Waala Ban Kar Aa’ega.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 01/553, Raqm-804,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/254, Raqm-22247, 22267,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/322, Raqm-112,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/150, Raqm-48,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/118, Raqm-7546,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/341, Raqm-1980,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-400, Raqm-426.]
45/427. “Hazrat ‘Ali Bin Aboo Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Shakhs Ne Qur’ane Hakim Padha Aur Use Hifz Kar Liya, Us Kee Halaal Karda Cheezo’n Ko Halaal Aur Haraam Karda Cheezo’n Ko Haraam Samjha, Allah Ta’ala Is (Qir’at Wa Ilme Qur’an) Kee Wajah Se Use Jannat Me Daakhil Kar Dega Aur Us Ke Khandan Ke Das-10 Aise Afraad Ke Haqq Me (Bhi) Us Kee Sifarish Qubool Karega Jin Ke Liye Dozakh Waajib Ho Chuki Hogi.”
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/171, Raqm-2905,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/78, Raqm-216,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/329, 552, Raqm-1947, 2691,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-400, 401, Raqm-427.]
46/428. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Qur’an Majid Padhne Waale Se Kaha Jaa’ega : Qur’an Padhta Jaa Aur Jannat Me Manzil Ba Manzil Oopar Chadhta Ja Aur Yoo’n Tartil Se Padh, Jaise Too Dunya Me Tartil Se Padha Karta Tha, Tera Thikaana Jannat Me Us Jagah Hoga Jaha’n Too Aakhari Aayat Tilawat Karega.”
رواه الترمذي وأبوداود.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/177, Raqm-2914,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/73, Raqm-1464,
Ibn Majah An Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi As-Sunan, 02/1242, Raqm-3780,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/192, Raqm-6799,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/43, Raqm-766,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/739, Raqm-2030,
Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/560, Raqm-1030,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/131, Raqm-3056,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-401, Raqm-428.]
47/429. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Logo’n Me Se Kuchh (Log Khaas) Allah Waale Hote Hain. Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Woh Koun (Khush Nasib) Log Hain? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Qur’an Padhne Waale, Wahi Allah Waale Aur Us Ke Khaas Hain.”
رواه ابن ماجة والنساءي وأحمد والدارمي. وإسناده صحيح.
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/78, Raqm-215,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/17, Raqm-8031,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/127, Raqm-12301,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/242, Raqm-13566,
Darami Fi As-Sunan, 02/525, Raqm-3326,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/743, Raqm-2046,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/551, Raqm-2688,
Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/283, Raqm-2124,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-402, Raqm-429.]
48/430. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Shakhs Jis Ke Dil Me Qur’ane Kareem Ka Kuchh Hissa Bhi Nahin Woh Weeraan Ghar Kee Tarah Hai.”
رواه الترمذي والدارمي وأحمد.
وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح ، وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/177, Raqm-2913,
Darami Fi As-Sunan, 02/521, Raqm-3306,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/223, Raqm-1947,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/741, Raqm-2037,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/328, Raqm-1943,
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 09/537, Raqm-525,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-402, Raqm-430.]