Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-07 : ﴾Ikhlaas Aur Riqqate Qalb﴿

Allah ‘Azza Wa Jalla Ke Khauf Se Rone Ka Bayaan

Fasl-06 :

Allah ‘Azza Wa Jalla Ke Khauf Se Rone Ka Bayaan

36/418.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Roze Qiyaamat Ke Din) Allah ‘Azza Wa Jalla Farma’ega :  Dozakh Me Se Aise Shakhs Ko Nikaal Do Jis Ne Ek Din Bhi Mujhe Yaad Kiya Ya Mere Khauf Se Kabhi Bhi Mujh Se Dara.”

رواه الترمذي وحسنه والحاكم.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/712, Raqm-2594,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/141, Raqm-234,

وقال الحاكم : صحيح الإسناد ،

05/244, Raqm-8084,

Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah, 02/400, Raqm-833,

Bayhaqi Fi Kitab-ul-I’tiqad, 01/201,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-396, Raqm-418.]

37/419.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Do² Aankho’n Ko (Dozakh Kee) Aag Nahin Chhuyegi : (Ek) Woh Aankh Jo Allah Ta’ala Ke Khauf Se Ro’i Aur (Dusari) Woh Aankh Jis Ne Allah Ta’ala Kee Raah Me Pahra De Kar Raat Guzaari.”

رواه الترمذي وحسنه والحاكم.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/92, Raqm-1639,

Hakim An Abi Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Al-Mustadrak, 02/92, Raqm-243,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/212, Raqm-321,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/321, Raqm-2443,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/422, Raqm-1447,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 04/16, Raqm-4235,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/48, Raqm-4125,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/158, Raqm-1918,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-396, 397, Raqm-419.]

38/420.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Allah Ta’ala Ko Yaad Kiya Aur Us Ke Khauf Se Us Kee Aankhe Is Qadar Ashkbaar Hu’i Ki Zameen Tak Us Ke Aansoo Pahonch Ga’e To Allah Ta’ala Use Qiyaamat Ke Din ‘Azaab Nahin Dega.”

رواه الطبراني والحاكم.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/289, Raqm-7668,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/178, Raqm-1641, 6170,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/113, Raqm-5023,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-397, Raqm-420.]

39/421.    “Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ko Do² Qatro’n Aur Do² Nishaano’n Se Ziyaada Ko’i Cheez Pasand Nahin : Allah Ta’ala Ke Khauf Se (Bahne Waale) Aansuo’n Ka Qatra Aur Allah Ta’ala Kee Raah Me Bahne Waala Khoon Ka Qatra. Rahe Do Nishaan To Ek (Hai) Alla Ta’ala Kee Raah (Me Chalne) Ka Nishaan Aur (Dusara Hai) Allah Ta’ala Ke Fara’iz Me (Pad Jaane Waale) Kisi Farize (Kee Adaaygi) Ka Nishaan.”

رواه الترمذي وحسنه والطبراني.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/190, Raqm-1669,

Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir 08/235, Raqm-7918,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/192, Raqm-2067,

Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-uj-Jihad, 01/323, Raqm-108,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-397, 398, Raqm-421.]

40/422.    “Hazrat Aboo Hurairat RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Farmaya : Mujhe Apni Ijzat Kee Qasam! Mein Apne Bande Par Do² Khauf Aur Do² Aman Ikat’the Nahin Karunga. Agar Woh Mujh Se Dunya Me Khauf Rakhega To Mein Use Qiyaamat Ke Roz Amn Me Rakhunga Aur Agar Woh Mujh Se Duniy Me BeKhouf Raha To Mein Use Qiyaamat Ke Roz Khauf Me Mubtala Karunga.”

[Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/406, Raqm-640,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/482, Raqm-777,

Ibn Mubarak Fi Kitab-uz-Zuhd, 01/50, Raqm-157,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/131, Raqm-5110,

Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/617, Raqm-2494,

Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 10/308,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-398, Raqm-422.]