Fasl-01 :
Fazeelate Du’aa Ka Bayaan
01/327. “Hazrat Nauman Bin Bashir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Du’aa Ayn Ibaadat Hai Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne (Bataure Daleel) Yeh Aayat Tilawat Farmaa’i : ‘Aur Tumhare Rabb Ne Farmaya Hai Tum Log Mujh Se Du’aa Kiya Karo Mein Zaroor Qubool Karunga, Be Shak Jo Log Meri Bandagi Se Sarkashi Karte Hain Woh Anqarib Dozakh Me Zaleel Ho Kar Daakhil Honge.”
رواه الترمذي وصححه وأبوداود.
وكال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/374, Raqm-3247,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/211, Raqm-2969,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/456, Raqm-3372,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/76, Raqm-1479,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1258, Raqm-3828,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/450, Raqm-11464,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/267, 271, 276,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/172, Raqm-890,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/667, Raqm-1802,
Aboo Ya’la Fi Al-Mu’jam, 01/262, Raqm-328,
Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/108, Raqm-801,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-333, Raqm-327.]
02/328. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Kee Bargah Me Du’aa Se Ziyaada Ko’i Cheez Mohtaram Wa Mukarram Nahin Hai.”
رواه الترمذي وحسنه وابن ماجه.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/455, Raqm-3370,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1258, Raqm-3829,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/151, Raqm-870,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/666, Raqm-1801,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/362, 2523,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/38, Raqm-1106,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/249, Raqm-712,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-333, 334, Raqm-328.]
03/329. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jise Pasand Ho Ki Allah Ta’ala Mushkilo’n Aur Takleefo’n Ke Waqt Us Kee Du’aa Qubool Kare, Woh Khush’haali Ke Awkaat Me Ziyaada Se Ziyaada Du’aa Kiya Kare.”
رواه الترمذي وأبوداود وابن ماجاه.
وقال الحاكم : صحيح الإسناد.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/462, Raqm-3382,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/76, Raqm-1479,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1258, Raqm-3828,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/450, 11464,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/172, Raqm-890,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/667, Raqm-1802,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/267, 271, 276,
Aboo Ya’la Fi Al-Mu’jam, 01/262, Raqm-328,
Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/108, Raqm-801,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-334, Raqm-329.]
04/330. “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Du’aa Ibaadat Ka Maghz (Khulaasa Aur Jauhar) Hai.”
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/456, Raqm-3371,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/224, Raqm-3087,
Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool ﷺ , 02/113,
Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/191,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/317, Raqm-2534,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-335, Raqm-330.]
05/331. “Hazrat Sulayman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Du’aa Ke Ilaawah Ko’i Cheez Taqdeer Ko Radd Nahin Kar Sakti Aur Neki Ke Ilaawah Ko’i Cheez ‘Umr Me Izaafa Nahin Kar Sakti.”
رواه الترمذي وأحمد.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/448, Raqm-2139,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/277, 280, 282, Raqm-22440, 22466, 22491,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/670, Raqm-1814,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/109, Raqm-29867,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/100, Raqm-1442,
Ahmad, Wat-Tabarani An Sawban RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Wal-Bazzar Fi Al-Musnad, 06/501, Raqm-2540,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-335, Raqm-331.]
06/332. “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Azaan Aur Iqaamat Ke Darmiyan Maangi Jaane Waali Du’aa Radd Nahin Hoti.”
رواه الترمذي والنساءي.
وقال الترمذي : حديث أنس حديث حسن صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 01/415, Raqm-212,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/576, Raqm-3594, 3595,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/22, Raqm-98985, 9897,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/119, Raqm-12221, 12606, 13693,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/31, Raqm-29247,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/363, Raqm-3679,
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,04/392, Raqm-1562,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/138, Raqm-5139,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/334,
Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 04/102,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-335, 336, Raqm-332.]
07/333. “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate Hu’e Suna : Allah Ta’ala Ne Farmaya : Aye Ibn Aadam! Jab Tak Too Mujh Se Du’aa Karta Rahega Aur Ummid Rakhega Jo Kuchh Bhi Too Karta Rahe Mein Tujhe Bakhshata Rahunga Aur Mujhe Ko’i Parwaah Nahin. Aye Ibn Aadam! Agar Tere Gunaah Aasmaan Ke Baadalo’n Tak Pahonch Jaa’e’n Phir Bhi Too Bakhshis Maange To Mein Bakhsh Doonga. Aye Ibn Aadam! Agar Too Zameen Bhar Ke Baraabar Gunaah Bhi Le Kar Mere Paas Aa’e Phir Mujhe Is Haalat Me Mile Ki Toone Mere Saath Kisi Cheez Ko Shareek Na Thahraana To Yaqeenan Me Zameen Bhar Ke Baraabar Tujhe Bakhshish ‘Ata Karunga.”
رواه الترمذي والدارمي وأحمد والطبراني في الثلاثة.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/548, Raqm-3540,
Darami Fi As-Sunan, 02/414, Raqm-2788,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/167, Raqm-21510, 21544,
Tabarani An Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/19, Raqm-12346,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/337, Raqm-5483,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/82, Raqm-820,
Bayhaqi An Abi Zar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/17, Raqm-1042,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/216,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-336, 337, Raqm-333.]
08/334. “Hazrat Aboo Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Ko’i Musalman Apne Musalman Bhai Ke Liye Us Kee Adam Maujoodagi Me Du’aa Karta Hai To (Mukarrar Karda) Firishta Kehta Hai Tere Liye Bhi Aysa Hee Ho (Jo Toone Apne Bhaai Ke Liye Du’aa Kee Hai).”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/2094, Raqm-2732,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/452, Raqm-37598,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/268, Raqm-989,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/21, Raqm-29158, 29161,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-337, Raqm-334.]
09/335. “Hazrat Ummi Darda RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmaya Karte They : Musalman Kee Apne Bhai Ke Liye Us Kee Adam Maujoodagi Me Kee Jaane Waali Du’aa Maqbool Hoti Hai. Us Ke Sir Ke Paas Ek Firishta Muqarrara Hota Hai Jab Bhi Woh Apne Us Bhai Ke Liye Nek Du’aa Karta Hai, To Firishta Kehta Hai Aameen Aur Tujhe Bhi Ayse Hee Naseeb Ho (Jayse Ki Toone Apne Bhaai Ke Liye Du’aa Kee Hai.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/2094, Raqm-2733,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/452, Raqm-27599,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 03/353,
Ibn Ghazwan Kitab-ud-Dua’a, 01/234, Raqm-63,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-337, 338, Raqm-335.]
10/336. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Duaao’n Me Sab Se Jaldi Qubool Hone Waali Du’aa Woh Hai Jo Ek Gaayib Shakhs (Ikhlaas Ke Saath) Doosre Gaayib Shakhs Ke Liye Kare.”
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/352, Raqm-1980,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/89, Raqm-1535,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/21, Raqm-29159,
Daylami Al-Firdaws Bimasur Al-Khattab, 01/369, Raqm-1490,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/1331, Raqm-327, 331,
Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/265, Raqm-1328, 1330,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/43, Raqm-4734,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-338, Raqm-336.]
11/337. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Teen³ (Qism Ke Logo’n Kee) Duaaye Bila Shak Wa Shub’ha Maqbool Hain, Mazloom Kee Du’aa, Musaafir Kee Du’aa Aur Waalid Kee Apni Aulaad Ke Liye Kee Ga’i Bad-Du’aa.”
رواه الترمذي وأبوداود وأحمد.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/314, Raqm-1905,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/502, Raqm-3448,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/89, Raqm-1536,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/258, Raqm-7501, 7564, 10199, 10719, 10781,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 06/416, Raqm-2699,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/105, Raqm-29830,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/25, Raqm-32,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/12, Raqm-24,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/300, Raqm-3594,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/43, Raqm-4735,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-338, 339, Raqm-337.]