Fasl-02 :
Farz Namazo’n Ke Ba’d Du’aa Karne Ka Bayaan
12/338. “Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me ‘Arz Kiya Gaya : Kis Waqt Kee Du’aa Ziyaada Suni Jaati Hain? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Raat Ke Aakhiri Hisse Me (Kee Ga’i Du’aa) Aur Farz Namazo’n Ke Baa’d (Kee Ga’i Du’aa Jald Maqbool Hoti Hai).”
رواه الترمذي والنساءي.
وقال الترمذي : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/526, Raqm-3499,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/32, Raqm-9936,
Abd-ur’Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/424, Raqm-3944,
Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01/186, Raqm-108,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/370, Raqm-3428,
Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 01/454, Raqm-803,
Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/477, Raqm-839, 840,
Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam, 01/273,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/321, Raqm-2550,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,11/134,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-340, Raqm-338.]
13/339. “Hazrat Mughirah Bin Shu’bah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Har Farz Namaz Ke Baa’d Yoo’n Kaha Karte They Aur Bukhari Kee Riwayat Me Hai : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Har Namaz Ke Baa’d Jab Salam Pherte To Yoo’n Kaha Karte They Aur Muslim Kee Riwayat Me Hai : Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaz Se Faarigh Hote Aur Salam Pherte To Is Ke Baa’d Yoo’n Farmate : Nahin Hai Ko’i Ma’bood Magar Allah Ta’ala, Woh Tanha Hai Us Ka Ko’i Shareek Nahin, Usi Kee Badshahi Hai Aur Usi Ke Liye Sab Ta’reefein Hain Aur Woh Har Cheez Par Qudrat Rakhta Hai. Aye Allah! Jise Too De Use Ko’i Rokne Waala Nahin Aur Jis Too Roke Use Ko’i Dene Waala Nahin Aur Kisi Daulatmand Ko Tere Muqaabale Me Daulat Nafa Nahin Degi.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/289, Raqm-808,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2332, Raqm-5971,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2439, Raqm-6341,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2659, Raqm-6862,
Muslim Fi As-Sahih, 01/414, Raqm-593,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/96, Raqm-299,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/82, Raqm-1505,
Nasa’i Fi As-Sunan, 03/70, Raqm-1341, 1342,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/97, 245, 247, 250, 254, 255,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 01/365, Raqm-742,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/345, Raqm-2005, 2007,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/269, Raqm-3096,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/32, Raqm-29260,
‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/244, Raqm-3224,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/185, Raqm-2840,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/388, Raqm-914,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-340, 341, Raqm-339.]
14/340. “Hazrat Amr Bin Maymoon Awdi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Sahabzado’n Ko In Kalimaat Kee Ayse Ta’leem Dete Jayse Ustaad Bachcho’n Ko Likhna Sikhaata Hai Aur Farmate : Be Shak Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Har Namaz Ke Baa’d In Kalimaat Ke Zareeye Allah Ta’ala Kee Panaah Talab Kiya Karte They (Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate: ) Aye Allah! Mein Buzdili Se Teri Panaah Chaahta Hoo’n Aur Mein Zillat Kee Jindagi Kee Taraf Lautaaye Jaane Se Teri Panaah Chaahta Hoo’n Aur Dunya Ke Fitne Se Teri Panah Maangta Hoo’n Aur Azabe Qabr Se Teri Panaah Maangta Hoo’n. (Hazrat Amr Bin Maymoon Bayan Karte Hain) Jab Mein Ne Yeh Hadith Hazrat Mus’ab (Bin Sa’d) Ke Saamne Bayan Kee To Unhone Bhi Is Kee Tasdeeq Kee.”
رواه البخاري والترمذي.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1038, Raqm-2667,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2341, Raqm-6004,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/562, Raqm-3567,
Nasa’i Fi As-Sunan, 08/267, Raqm-5447,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/186, Raqm-1621,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 01/367, Raqm-746,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/371, Raqm-2024,
Bazzar Fi Al-Musnad, 3/343, Raqm-1144,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/18, Raqm-29130,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/110, Raqm-771,
Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01/198, Raqm-131,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-341, 342, Raqm-340.]
15/341. “Hazrat Mu’aadh Bin Jabal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Din Un Ka Haath Pakad Kar Farmaya : Aye Mu’aadh! Mein Tum Se Mahabbat Karta Hoo’n Hazrat Mu’aadh RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya (Ya RasoolAllah ﷺ! ) Mere Maa Baap Aap Par Qurban Ho’n Mein Bhi Aap Se Mahabbat Karta Hoo’n. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Mu’aadh! Mein Tumhe’n Naseehat Karta Hoo’n Ki Har Namaz Ke Baa’d Yeh Du’aa Maangna Harghiz Na Chhodna : Aye Allah! Apne Zikr, Shukr Aur Achchhi Tarah Ibaadat Kee Adaaygi Me Meri Madad Farma. Phir Hazrat Mu’aadh Ne Sunaabihi Ko Is Du’aa Kee Naseehat Kee Aur Unhone Aboo ‘Abd-ir-Rahman Ko Naseehat Kee (Ki Har Namaz Ke Baa’d Yeh Du’aa Zaroor Maangna).”
رواه أبوداود ووالنساءي واللفظ له و ةأحمد وابن حبان والحاكم.
وكال الحاكم : هذا حديث صحيح على شرط اشيخين.
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/86, Raqm-1522,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/32, Raqm-9937,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05244, Raqm-22172,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/365, Raqm-2021,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/407, Raqm-1010,
Bazzar Fi Al-Musnad, 07/104, Raqm-2661,
Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/27, Raqm-17,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/60, Raqm-110,
Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01/187, Raqm-109,
Ibn Sunni Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa Al-Laylah, 01/45, Raqm- 119,
Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib, 02/300, Raqm-2475,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-342, 343, Raqm-341.]
16/342. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aaj Raat Mera Rabb Mere Paas Nihaayat Ahsan Soorat Me Aaya Allah Ta’ala Ne Mujh Se Farmaya : Aye Muhammad ﷺ! Aap Namaz Ada Kar Chukein To Yeh Du’aa Maange. Aye Allah! Mein Tujh Se Achchhe Aamaal Ke Apanaane, Bure Aamaal Ko Chhodne Aur Masaakeen Kee Mahabbat Ka Sawwal Karta Hoo’n Aur Jab Too Apne Bando’n Ko Aazmaane Ka Iraada Kare To Mujhe Us Se Pehle Hee Baghair Aazmaaye Apne Paas Bula Le.”
رواه الترمذي ومالك وأحمد.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح، وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/366, 368, Raqm-3233, 3235,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/218, Raqm-508,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/368, Raqm-3484,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/243, Raqm-22162,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/708, Raqm-1932,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/109, Raqm-216,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/228, Raqm-682,
Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib, 01/159, Raqm-591,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 07/177,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-343, 344, Raqm-342.]
17/343. “Hazrat Aboo Ayyub RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Jab Bhi Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Iqtida’ Me Namaz Padhi To Dekha Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Namaz Se Faarigh Hote To Mein Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Formate Hu’e Sunta : Aye Mere Allah! Meri Tamam Khataaye Aur Gunaah Bakhsh De, Aye Mere Allah! Mujhe (Ibadat Wa Ita’at Ke Liye) Chust-Durust Rakh Aur Mujhe Apni Aazmaaish Se Mahfooz Rakh Aur Mujhe Nek Aamaal Aur Akhlaaq Kee Rahnumaa’i ‘Ata Farma, Be Shak Nek Aamaal Aur Akhlaaq Kee Hidaayat Tere Siwa Ko’i Nahin Deta Aur Bure Aamaal Aur Akhlaaq Se Tere Siwa Ko’i Nahin Bachaata.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/365, Raqm-610,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/362, Raqm-4442,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/125, Raqm-3875,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/227, Raqm-7893,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/522, Raqm-5942,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/475, Raqm-1935,
Ibn Sunni Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa Al-Laylah, 01/45, Raqm-117,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/173,
وقال : ورجاله وثقوا.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-344, 345, Raqm-343.]
18/344. “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Mein (Namaz Me) Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ain Pichhe Khada Hota Tha. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Salam Pherte To Farmate : Aye Mere Allah! Meri ‘Umr Ka Aakhiri Hissa Behtareen Bana De, Aye Mere Allah! Mere Aamaal Ka Khaatma Apni Raza Par Kar, Aye Mere Allah! Mere Dino’n Me Se Behtareen Din Us Ko Bana Jis Din Mein Tere Saath Mulaqat Karu’n.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/157, Raqm-9411,
Ibn Sunni Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa Al-Laylah, 01/46, Raqm-122,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/480, Raqm-1962,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/110,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-345, Raqm-344.]
19/345. “Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Mein Jab Bhi Farz Namaz Ya Nafl Namaz Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe Khada Hua To Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko In Kalimaat Se Du’aa Farmate Hu’e Suna Jin Me Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Na Ijaafa Farmete They Aur Na Kami (Woh Kalimaat Yeh Hai). Aye Mere Allah! Meri Khataaye Aur Gunaah Bakhsh De, Aye Mere Allah! Mujhe (Apni Ibaadat Aur Ita’at Ke Liye) Chust-Durust Kar De Aur Mujhe Apni Aazmaaish Se Mahfooz Rakh Aur Mujhe Nek Aamaal Aur Akhlaaq Kee Rahnumaa’i ‘Ata Farma, Phir Be Shak Tere Siwa In Nek Aamaal Kee Rahnumaa’i Ko’i Nahin Farmata Aur Na Hee Tere Siwa Bure Aamaal Aur Akhlaaq Se Ko’i Bachaata Hai.”
رواه الطبراني والديلمي ورجاله ثقات.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/200, 251, Raqm-7811, 7982,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/475, Raqm-1935,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/112,
وقال : رواه الطبراني ورجاله رجال الزبير بن خريق وهو ثقت،
Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 02/170,
Qazwini At-Tadwin, 03/252,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-345, 346, Raqm-345.]
20/346. “Marwan Se Riwayat Hai Ki Un Kee Maujoodagi Me Hazrat Ka’b (Ahbaar) RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Halaf Uthaaya Ki Us Zaat Kee Qasam Jis Ne Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Liye Darya Ko Cheer Diya! Hum Ne Tauraat Me Dekha Ki Hazrat Dawud ‘Alayh-is-Salam Jab Namaz Se Faarigh Hote To Woh (Ya’ni Hazrat Dawud ‘Alayh-is-Salam) Yoo’n Du’aa Karte. Aye Allah! Woh Deen Jis Se Mera Bachaaw Hai Use Durust Farma De. Aur Meri Dunya Jis Me Mera Rizk Hai Us Kee Islaah Farma. Aye Allah! Mein Tere Ghazab Se Teri Razamandi Kee Panaah Talab Karta Hoo’n Aur Tere ‘Azaab Se Teri Maafi Kee Panaah Maangta Hoo’n Too Jo Kuchh ‘Ata Kare Use Ko’i Rokne Waala Nahin Aur Jo Too Rok Le Use Ko’i Dene Waala Nahin Hai Aur Maaldaar Ka Maal Tere Nazdeek Kisi Kaam Na Aa’ega. Marwan Ne Kaha Ki Mujh Se Hazrat Ka’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Bayan Kiya Aur Hazrat Suhayb RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Un Se Bayan Kiya Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Namaz Ada Farma Lete To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Bhi Yeh Kalimaat Irshaad Farmate.”
رواه النساءي وابن خزيمة والطبراني. إسناده صحيح.
–
[Nasa’i Fi As-Sunan, 03/73, Raqm-1346,
As-Sunan-ul-Kubra, 01/400, Raqm-1269,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 01/366, Raqm-745,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/33, Raqm-7298,
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,08/65, Raqm-59,
وقال إسناده صحيح.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-346, 347, Raqm-346.]
21/347. “Hazrat Aboo Zubayr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Unhone Bayan Kiya Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Zubayr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Har Namaz Me Salam Pherne Ke Baa’d (Du’aa Me) Kaha Karte They : Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ma’bood Nahin, Woh Akela Hai, Us Ka Ko’i Shareek Nahin, Usi Ke Liye Badshahi Hai Aur Usi Ke Liye Tamam Taareefein Hain Aur Woh Har Shai Par Qudrat Rakhta Hai Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ghaalib Aane Waala Aur Quwwat Rakhne Waala Nahin Aur Hum Siwaaye Us Ke Kisi Kee Ibaadat Nahin Karte Us Ke Liye Tamam Ne’matein Hain, Usi Ke Liye Fazl Aur Tamam Achchhi Taareefein Hain Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ma’bood Nahin Usi Ka Deen Khaalis Hai Agarche Kafiro’n Ko Yeh Naagawaar Guzre.”
“Aur Imam Shafi’iy RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ki Riwayat Ke Alfaz Hain : Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam In Kalimaat Ko Har Namaz Ke Baa’d Buland Aawaaz Se Ada Farmaate They, Phir Aage Usi Tarah Hadith Zikr Kee.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 01/415, Raqm-594,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/82, 1506, 1507,
Nasa’i Fi As-Sunan, 03/70, Raqm-1340,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/398, Raqm-1263,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/38, Raqm-9956,
Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/44,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/04,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/33, Raqm-29262,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/184, Raqm-6811,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/184, Raqm-2839,
Tabarani Kitab Ad-Dua’a, 01/216, Raqm-681,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-347, 348, Raqm-347.]
22/348. “Hazrat Arzaq Bin Qays RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Bayan Hai Ki Ek Imam Ne Hame’n Namaz Padhaa’i Jinhe’n Log Aboo Ramsa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bhi Kehte They, Unhone Farmaya Ki Mein Ne Yeh Namaz Yas Is Jaisi Nanaz Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Padhi Hai. Farmaya Ki Hazarat Aboo Bakr Aur Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Pehle Saf Me Daaye’n Jaanib Khade They Aur Ek Aadami Namaz Kee Takbeere Oola Me Aa Shaamil Hua. Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaz Padha Lee To Daaye’n Jaanib Salam Phera, Yaha’n Tak Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Rukhsaaro’n Kee Safedi Hum Ne Dekhi. Phir Ayse Hee Mude Jaise Aboo Ramsa Mude Hain Ya’ni Woh Khud. Phir Jo Shakhs Takbeere Oola Me Aa Kar Shaamil Hua Tha Khada Ho Kar Dogaana Padhne Laga Pas Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Us Kee Taraf Jhapte Aur Use Kandho’n Se Pakad Kar Hilaaya Phir Farmaya Ki Bayth Jaao Kyun Ki Ahle Kitab Sirf Is Wajah Se Halaak Hu’e Ki Un Kee Namazo’n Ke Darmiyan Waqfa Nahin Rehta Tha . Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Nigaah Mubarak Uthaa’i Aur Farmaya : Aye Ibn Khattab! Allah Ta’ala Ne Tumhe’n Sahi Baat Kee Taufique ‘Ata Farmaa’i Hain.”
رواه أبوداود والحاكم والبيهقي والطبراني.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح على شرط مسلم.
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/264, Raqm-1007,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/403, Raqm-996,
Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/395, Raqm-675,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/190, Raqm-2867,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/316, Raqm-2088,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-348, 349, Raqm-348.]
23/349. “Imam Abd Bin Humayd, Imam Ibn Jareer, Imam Ibn Mundhir, Imam Ibn Abi Haatim Aur Imam Ibn Mardawya Ne Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Taraf Se Aallah Ta’ala Ke Is Farman ( فَإِزَا فَرَغْتَ فَانْصَبْ) Me Riwayat Kiya Hai Ki Is Se Muraad Yeh Hai Ki ˝Aye Mehboob! Jab Aap Namaz Se Faarigh Ho Jaa’e’n To Du’aa Me Mashgool Ho Jaaya Kare Aur Allah Ta’ala Se Maanga Kare Aur Usi Kee Taraf (Kaamil Yaksoo’i Se) Raaghib Hua Kare.”
–
[Ibn Jarir Tabari Fi Jaame’-ul-Bayani ‘An Ta’wili Aayi-‘l-Qur’an Tafsir-ut-Tabari,30/236,
Suyooti Fi Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bil-Ma’thoor, 08/551,
Bayzawi Anwar-ul-Tanzil, 05/506,
Shawkani Fi Fat’h-ul-Qadir Al-Jaame’ Bayna Fanni Ar-Riwayah Wa’d-Dirayah Min ‘‘Ilm-it-Tafsir, 05/463,
Ibn Jawzi Fi Zad-ul-Maseer Fee ‘‘Ilm-it-Tafseer, 09/166,
Aloosi Fi Rooh-ul-Ma’ani Fi Tafsir Al-Qur’an Al-Azim Wa Al-Sab’ Al-Mathani, 30/172,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-349, 350, Raqm-349.]
24/350. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain (فَإِزَا فَرَغْتَ) Ya’ni Jab Aap Namaz Se Faarigh Ho Jaa’e’n (فَانْصَبْ)To Du’aa Me Mashgool Ho Jaa’e’n (وَإِلَى رَبِّكَ فَارْغَبْ) Aur Sawaal Karne Me Apne Rabb Kee Taraf Hee Raaghib Hua Kare.”
–
[Suyooti Fi Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bil-Ma’thoor, 08/551,
Shawkani Fi Fat’h-ul-Qadir Al-Jaame’ Bayna Fanni Ar-Riwayah Wa’d-Dirayah Min ‘‘Ilm-it-Tafsir, 05/463,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-350, Raqm-350.]
25/351. “Imam Abd-ur-Razzaq Aur Imam Abd Bin Humayd, Imam Ibn Jareer Aur Imam Ibn Mundhir Ne Hazrat Qatadah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Kee Hai : (فَإِزَا فَرَغْتَ فَانْصَبْ) Se Muraad Yeh Hai Ki Jab Apni Namaz Se Faarigh Ho Jaa’e’n To Khud Ko Du’aa Me Mashgool Kar Le.”
–
[Suyooti Fi Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bil-Ma’thoor, 08/552,
Jassas Fi Ahkam-ul-Qur’an, 05/373,
Nahhas Fi An-Nasikh Wa Al-Mansookh Fi Kitab Allahi Azza Wa Jall Wa Ikhtilaf Al-Ulama’ Fi Dhalik, 01/773,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-350, 351, Raqm-351.]
26/352. “Hazrat Qatadah Zahaak Aur Maqaatil Allah Ta’ala Ke Is Farman : (فَإِزَا فَرَغْتَ فَانْصَبْ) Kee Tafsir Me Bayan Karte Hain Ki Is Se Muraad Hai Ki Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farz Namaz Se Faarigh Ho Jaa’e’n To Khud Ko Apne Rabb Kee Taaf Du’aa Karne Me Mashgool Kare Aur Sawaal Karne (Ya’ni Maangne) Me Usi Kee Taraf Raaghib Ho Woh Aap Ko ‘Ata Farma’ega.”
–
[Razi Fi At-Tafsir-ul-Kabir Aw Mafatih-ul-Ghayb, 32/08,
Suyooti Fi Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bil-Ma’thoor, 08/55,
Baghawi Fi Tafsir-ul-Baghawi Al-Musamma Ma’alim-ut-Tanzil, 04/503,
Sam’ani Fi Tafsir As-Sam’ani, 06/252,
Ibn Jawzi Fi Zad-ul-Maseer Fee ‘‘Ilm-it-Tafseer, 09/166,
Shawkani Fi Fat’h-ul-Qadir Al-Jaame’ Bayna Fanni Ar-Riwayah Wa’d-Dirayah Min ‘‘Ilm-it-Tafsir, 05/462,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-351, Raqm-352.]
27/353. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Allah Ta’ala Se (Du’aa) Nahin Maangta Allah Ta’ala Us Par Ghazab Farmata Hai.”
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/456, Raqm-3373,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/667, 668, Raqm-1806, 1807,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/10, Raqm-6655,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/229, Raqm-658,
Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam, 01/191,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-351, 352, Raqm-353.]
28/354. “Hazrat ‘Abd Allah (Bin Mas’ood) RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Teen³ Baar Du’aa Aur Teen³ Baar Istaghfaar Karna Pasand Farmaya Karte They.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/86, Raqm-1524,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/119, Raqm-10291,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/394, 397, Raqm-3744, 3769, 3770,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/159, Raqm-10317,
Shashi Fi Musnad-ush-Shashi Al-Musamma Bi-‘l-Musnad Al-Kabir, 02/138, Raqm-677,
Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01/331, Raqm-457,
Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 04/348,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-352, Raqm-354.]