Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-06 : ﴾Farz Namazo’n Ke Baa’d Du’aa Karna﴿

Du’aa Me Haath Uthaane Ka Bayaan

Fasl-03 :

Du’aa Me Haath Uthaane Ka Bayaan

29/355.    “Hazat Aboo Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Du’aa Kee Aur Apne Dono’n Haath Uthaa’e, Yaha Tak Ki Mein Ne Aaap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Mubarak Baghalo’n Kee Safedi Dekhi.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2335,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1571, Raqm-4068,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-353, Raqm-355.]

30/356.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne (Du’aa Ke Liye) Haath Uthhaye Yaha Tak Ki Mein Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baghal Mubarak Kee Safedi Dekhi.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2335,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/349, Raqm-984,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1307, Raqm-3372,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-353, Raqm-356.]

31/357.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apne Haath Uthaa’e ‘Arz Kiya : Aye Allah!  Jo Khaalid Ne Kiya Mein Teri Bargah Mein Us Se Bari Hoo’n.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2335,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1577, Raqm-4084,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2628, Raqm-6766,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/236, Raqm-5405,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/150, Raqm-6382,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 11/53, Raqm-4749,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/115,

‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 05/221, Raqm-9434,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-353, 354, Raqm-357.]

32/358.    “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Du’aa Ke Liye Haath Uthaate To Apne Chehrae Aqdas Par Pherne Se Pehle (Haath) Neeche Na Karte They.”

رواه الترمذي والحاكم والبزار.

وقال أبوعيسى : هذا حديث صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/463, Raqm-3386,

‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/247, Raqm-3234,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/719, Raqm-1967,

Bazzar Fi Al-Musnad, 01/243, Raqm-129,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/124, Raqm-7053,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/44, Raqm-39,

Suyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/156, Raqm-236,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 05/138,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-354, Raqm-358.]

33/359.    “Hazrat Saabit Bin Yazeed RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Du’aa Farmate To (Us Ke Liye) Apne Dono’n Hath Mubarak Uthaate (Phir Du’aa Ke Baa’d) Apne Chehra-e Anwar Par Haath Pherte.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/79, Raqm-1492,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/221,

Tabarani Al-Mu’jma-ul-Kabir, 22/241, Raqm-631,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/45,

Suyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/145, Raqm-216,

Maqrizi Fi Mukhtasar Kitab Al-Witr, 01/152,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-354, 355, Raqm-359.]

34/360.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Bhi Ko’i Shakhs Du’aa Ke Liye Haath Uthaata Hai (Aur Itne Buland Karta Hai) Yaha’n Tak Ki Us Kee Baghal (Kee Safedi) Zaahir Ho Jaati Hai Phir Woh Jo Kuchh Allah Ta’ala Se Maangta Hai Allah Ta’ala Use ‘Ata Farma Deta Hai Jab Tak Ki Woh Jaldi Na Kare. Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Jaldi Se Kya Muraad Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Is Tarah Kahe : Mein Ne Maanga, Mein Ne Maanga Lekin Mujhe Kuchh Na Diya Gaya.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 3608/3969,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-355, Raqm-360.]

35/361.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Tumhara Rabb Bada Hayaadaar Aur Kareem Hai Woh Us Baat Se Haya Mahsoos Karta Hai Ki Us Ka Ko’i Banda (Us Ke Saamne Du’aa Ke Liye) Haath Uthaa’e Aur Woh Unhe’n Khaali Lauta De Pas Jab Bhi Tum Mein Se Ko’i Du’aa Ke Liye Haath Uthaa’e To Yoo’n Kahe :  (يا حي ﻻ إله إﻻ أنت يا أرحم الرحمين) Yeh Kalimaat Teen³ Baar Dohraaye Phir Jab Woh Apne Haatho’n Ko (Waapas) Hataaye To Woh Unhe’n Apne Chehre Par Pher Le.”

[Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/106, Raqm-876,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 03/391, Raqm-1867,

Bazzar An Salman RadiyAllahu Ta’ala

Anhu Al-Musnad, 06/478, Raqm-2511,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/423, Raqm-13557,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/221, Raqm-847,

Ibn Rashid Fi Al-Jaame’, 10/443, Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/165, Raqm-1111,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/315, Raqm-2527,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/169, Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 02/87, Raqm-3266, 3268,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-355, 366, Raqm-361.]

36/362.    “Imam Zuhri Farmate Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Du’aa Me Apne Haath Mubarak Seenae Aqdas Tak Buland Farmate Aur Phir Du’aa Ke Baa’d Un Ko Apne Chehra-e Anwar Par Pher Lete.”

“Is Hadith Ko Imam Abd-ur-Razzaq Ne Riwayat Kiya Hai Aur Woh Farmate Hain Ki Mein Ne Imam Ma’ammar Ko Aksar (Du’aa Me) Aise Hee  Karte Dekha Aur Mera Apna Ma’mool  Bhi Yahi Hai.”

[‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/247, Raqm-3234, 3235,

‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 03/123, Raqm-5003,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-356, Raqm-362.]

37/363.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Farmate Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Du’aa Farmate To Apni Mubarak Hatheliyo’n Ko Apne Rookhe Zayba Kee Taraf Farma Lete.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/435, Raqm-12234,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/250, Raqm-5226,

Suyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/145, Raqm-217,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 05/133,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-356, 357, Raqm-363.]

38/364.    “Hazrat Khallaad Bin Saa’ib Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Du’aa Farmate To Apni Hatheliyo’n Ko Apne Chera-e Anwar Ke Saamne Kar Lete.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/56,

Suyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/146, Raqm-217, 247,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 07/77, Raqm-1418,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Talkhis-ul-Habir, 02/100, Raqm-723,

Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 04/35,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-357, Raqm-364.]

39/365.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Du’aa Karte Hu’e Dekha Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apni Hatheliyo’n Ke Baatin Aur (Namaz Istiska’a-Baaris Mangne Waali Namaz Me) Zaahir Ko Yoo’n Kiya Hua Tha.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/78, Raqm-1487,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/427, Raqm-23670,

Shaybani Al-Mabsut, 01/102,

Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 11/237,

Ibn ‘Adi Fi Al-Kamil Fi Du’afa’-ir-Rijal, 05/32, Raqm-1202,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-357, Raqm-365.]

40/366.    “Hazrat Salman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaaya : Be Shak Allah Azza Wa Jala Ko Is Baat Se Haya Aati Hai Ki Us Ka Banda Du’aa Ke Liye (Us Ke Samne) Haath Uthhaaye Aur Woh Unhe’n Khaali Baghir Un Me Kuchh Daale Lauta De.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/256, Raqm-6148,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/84, Raqm-203, 205,

Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 02/87, Raqm-3267,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-357, 358, Raqm-366.]

41/367.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karet Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Ko’i Banda Du’aa Karta Hai Aur Apne Hath Ko Uthaata Hai Aur Allah Ta’ala Se Maangta Hai To Allah Ta’ala Farmata Hai : Beshk Mein Apne Is Bande Se Haya Karta Hoo’n Ki Mein Is Kee Du’aa Ko Radd Kar Doo’n”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/256, Raqm-6148,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/84, Raqm-203, 205,

Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 02/87, Raqm-3267,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-358, Raqm-367.]

42/368.    “Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Tumhara Rabb Bada Hayaadar Aur Sakhi Hai. Use Is Baat Se Haya Aati Hai Ki Ko’i Banda (Du’aa Ke Liye Us Ke Saamne) Apne Haath Uthhaye Aur Woh Unhe’n Khaali, Khairaat Daale Baghair Waapas Lauta De.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/256, Raqm-6148,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/84, Raqm-203, 205,

Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 02/87, Raqm-3267,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-358, Raqm-368.]

43/369.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Diwaaro’n Ko (Pardo’n Se) Naa Chhupaaya Karo Aur Jo Shakhs Apne Bhaai Ke Khat Me Baghair Us Kee Ijaazat Ke Dekhta Hai Be Shak Woh Jahannam Kee Aag Me Dekhta Hai. Allah Ta’ala Se Hatheliya’n Oopar Kar Ke Sawaal Kiya Karo Aur Haatho’n Kee Pusht Oopar Na Rakkha Karo Aur Jab Faarigh Ho Jaao To Unhe’n Chehre Par Mal Liya Karo.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/78, Raqm-1485,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/719, Raqm-1968,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/52, Raqm-29405,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/212, Raqm-2969.,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/319, Raqm-10779,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/432, Raqm-1639,

Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 04/410, Raqm-2459,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/306, Raqm-3383,

Maqrizi Fi Mukhtasar Kitab Al-Witr, 01/152,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/169,

وقال رجاله ثقاة ،

Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 11/337,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-358, 359, Raqm-369.]

44/370.    “Hazrat Aswad Aameeri Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Namaaze Fajr Ada Kee Pas Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Salam Phera To Ek Taraf Rookhe Anwar Mod Kar Apne Dono’n Mubarak Haath Uthaa’e Aur Du’aa Farmaa’i.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/269, Raqm-3093,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 02/171,

وقال رواه ابن أبي شيبة في مصنفه،

Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 01/328,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-359, Raqm-370.]

45/371.    “Muhammad Bin Abi Yahya RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat ‘Abd Allah Bin Zubayr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Dekha Aur Unhone Ek Aadami Ko Namaz Se Farigh Hone Se Qabl Haath Uthaa’e Du’aa Maangte Hu’e Dekha Pas Jab Woh Namaz Se Farigh Hua To Hazrat ‘Abd Allah Bin Zubayr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Use Farmaya : Be Shak Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Du’aa Ke Liye) Haath Nahin Uthaate They Yaha’n Tak Ki Woh Namaz Se Farigh Na Ho Jaayein.”

رواه المقدسي والطبراني كما قال الحيشمي.

وقال : ورجاله ثقات.

[Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,09/336, Raqm-303,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/169,

وقال : رواه الطبراني وترجم له فقال محمد بن يحيى الأسامي عن عبدالله بن. الزبير ورجاله ثقات ،

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 02/100,

وقال : رواه الطبراني ورجاله ثقات.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-359, 360, Raqm-371.]

46/372.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Kiya Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ko’i Bhi Banda-e (Momin) Aisa Nahin Jo Har Namaz Ke Baa’d Apni Hatheliya’n (Du’aa Ke Liye) Phailaata Hai Phir Yeh Kehta Hai : Aye Mere Allah! Aye Mere Aur Ibrahim Aur Is’haq Aur Yaqoob ‘Alayhima As-Salam Ke Ma’bod Aur Jibra’il Aur Mika’il Aur Israfil ‘Alayhima As-Salam Ke Ma’bood Mein Tujh Se Sawaal Karta Hoo’n Ki Too Meri Du’aa Ko Qubool Farma Kyon Ki Mein Majboor Hoo’n Aur Too Mujhe Mere Deen Me Mazboot Rakh Kyoo’n Ki Mein Aazma’ish Me Hoo’n Aur Too Mujhe Apni Rahmat Se Ziyaada Se Ziyaada Hissa ‘Ata Farma Kyoo’n Ki Mein Gunahgaar Hoo’n Aur Mujh Se Fiqr Ko Door Farma Kyoo’n Ki Mein Ek Miskin Hoo’n.”

Phir Allah Ta’ala Apne Zimma-e Karam Par Le Leta Hai Aur Us Ke Haatho’n Ko Naakaam Waapas Nahin Lautaata.”

[Ibn Asakir, 16/383,

Ibn Sunni Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa Al-Laylah, 01/52, Raqm-139,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/481, Raqm-1970,

Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 02/134, Raqm-3475,

Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 02/171,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-360, 361, Raqm-372.]

47/373.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hai Ki Mein RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Ghar Se Masjid Kee Taraf Nikla Aur Kuchh Log Masjid Me Apne Haatho’n Ko Uthhaye Allah ‘Azza Wa Jalla Se Du’aa Maang Rahe They To Mujhe Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Tum Woh Cheez Dekh Rahe Ho Jo Un Ke Haatho’n Me Hain? To Mein Ne ‘Arz Kiya : Aap Un Ke Haatho’n Me Kya Dekh Rahe Hain? To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Mein Un Ke Haatho’n Me) Noor (Dekh Raha Hoo’n) Mein Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Allah Ta’ala Se Du’aa Farmaa’e’n Ki Woh Mujhe Bhi Ye Noor Dikhaaye, Hazrat Anas Bayan Karte Hain Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Anas! Jaldi Karo Yaha’n Tak Ki Hum Bhi Un Logo’n Ke Saath (Du’aa Me) Sharik Ho Sake. Pas Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Jaldi-Jaldi Un Logo’n Kee Taraf Gaya Phir Hum Ne Bhi Du’aa Ke Liye Haath Utha Liye.”

[Bukhari Fi At-Tarikh-ul-Kabir, 03/202, Raqm-692,

Tabarani Kitab Ad-Dua’a, 01/85, Raqm-206,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-361, Raqm-373.]

48/374.    “Hazrat Fazl Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Namaz (Nafl) Do² Do² Rak’ate’n Hain Har Do² Rak’at Ke Baa’d Tashahhud Hai, Khushooa Wa Khuzooa Sukoon Aur Apne Rabb Kee Taraf Haatho’n Ko (Du’aa Me) Is Tarah Uthaana Ki Un Ka Andruni Hissa Moo’nh Kee Jaanib Rahe Aur Phir Kehna : Aye Rabb!  Aye Rabb!  Jis Ne Aisa Na Kiya Woh Aisa Hai Woh Aisa Hai.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/225, Raqm-385,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/212, 450, Raqm-615, 1440,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/167,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/295, Raqm-757,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/203, Raqm-770,

Aboo Mahasin Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 01/38,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/106,

Ibn Qutaybah Ta’wil Mukhtalif-ul-Hadith, 01/168,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-362, Raqm-374.]

49/375.    “Hazrat Mutallib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Namaz Kee Do² Do² Rak’ate’n Hain Har Do² Rak’at Par Tashahhud Hai Aur (Namaz Se Faraghat Ke Baa’d Banda Apne Parwardigar Kee Bargah Me Apni) Musibat Wa Ghurbat Ka Haal ‘Arz Karta Hai Dono’n Haath Phaila Kar Kehta Hai, Ya Allah! (Yeh ‘Ata Farma Woh ‘Ata Farma ) Ya Allah!  Jo Aisa Na Kare Us Kee Namaz Na Mukammal Hai.”

Imam Ibn Khuzaymah Apni Sahih Me Is Hadith Kee Takharij Ke Baa’d Bayan Farmate Hain :  Is Hadith Me Du’aa Me Haath Uthaane Kee Mazid Sarah Hai Aur Yeh Ki Du’aa Maangne Waale Ko Kehna Chaahiye :  Aye Mere Allah!  Aye Mere Allah! Aur Lays Kee Riwayat Me Hain Ki Du’aa Maangne Waala Apne Dono’n Haath Allah Kee Taraf Uthaa’e Aur Unhe’n Apne Chehre Ke Saamne Rakkhe Aur Yeh Kahe : Aye Mere Rabb!  Aye Mere Rabb! Aur Rafa’ Yadain Aur Salam Se Pehle Tashahhud Sunnat Namaz Me Se Nahin Hai Aur Yeh Cheez Is Baat Par Dalaalat Karti Hai Ki Rafa’yadain, Aur Du’aa, Aur Sawaal Karna Salam Ke Baa’d Hai Ya’ni Dono’n Taraf Salam Pherne Ke Baa’d (Aur Namaz Mukammal Karne Ke Baa’d) Dono’n Haath Utha Kar Dua Karni Chahiye.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/29, Raqm-1296,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/419, Raqm-1325,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/212, 451, Raqm-616, 1441,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/220, 221, Raqm-1212, 1213,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/167,

Daraqutni Fi As-Sunan, 01/418, Raqm-04,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/488, Raqm-4354,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/407, Raqm-3811,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/203, Raqm-770,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-362, 363, Raqm-375.]

50/376 .   “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Farmate Hain : Mangne Ka Tariqa Yeh Hai Ki Apne Dono’n Haath Apne Kandho’n Tak Uthaawo Ya Un Ke Baraabar Aur Istaghfaar Ek Ungli Se Ishaara Karna Hai Aur Aajizi Ka Izhaar Dono’n Haatho’n Ka Ikat’the Phailana Hai.

Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas Bin Ma’bood Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Is Hadith Kee Riwayat Me Farmate Hain Ki Izhare Ajizi Is Tarah Hai :  Phir Unhone Apne Dono’n Haath Uthaa’e Aur Un Kee Pusht Apne Chehre Ke Saamne Rakhi.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/79, Raqm-1489, 1490,

Abd-’Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/250, Raqm-3247,

Tabarani Kitab Ad-Dua’a, 01/86, Raqm-208,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 09/486, Raqm-468, 469,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,11/143,

وقال : أخرجه أبوداود والحاكم ،

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Dirayah Fi Takhrij Ahadith-ul-Hidayah, 02/17, Raqm-426,

Zayla’iy Fi Nasb-ur-Rayah Takhrij Ahadith Al-Hidayah, 03/51,

San’ani Fi Subul Al-Salam, 04/219,

Zarqani Fi Sharh-ul-Zarqani ‘Ala Muwatta’ Imam Malik, 02/59, Raqm-123,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 01/184,

Azim Abadi Fi ‘Awn-ul-Ma’boodi Sharh Sunan Abi Dawud, 04/253,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-363, 364 Raqm-376.]

51/377.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Allah ‘Azza Wa Jalla Se Du’aa Karo To Apne Haath Kee Hatheliyo’n Se Du’aa Kiya Karo Na Ki Un Kee Pusht Se Aur Jab Du’aa Se Farigh Ho Jaao To Apne Haatho’n Ko Moo’nh Par Mal Lo.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1272, Raqm-3866,

Ibn Majah Fi As-Sunan,  01/373, Raqm-1181,

Kinani Fi Misbah Al-Zujajah Fi Zawa’id Ibn Majah, 01/141, Raqm-422,

Maqrizi Fi Mukhtasar Kitab Al-Witr, 01/151, Raqm-65,

Suyooti Fi Sharh Sunan Ibn Majah, 01/275, Raqm-3866,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-364, 365, Raqm-377.]

52/378.    “Imam Bayhaqi Ne “Shuab-ul-Iman” Me Farmaya :  Aadabe Du’a Me Se Hai :

(Insaan Ka) Hamessa Du’aa Par Istiqaamat Ikhtiyar Karna Khwaah Woh Khush’haali Me Ho Aur Du’aa Ko Sirf Sakhti Aur Musibat Ke (Waqt Ke) Saath Khaas Na Kare.

Aur Yeh Ki Du’aa Ke Aaghaaz Aur Aakhir Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Bhejna,

Aur Yeh Ki Apni (Tamam) Namazo’n Ke Baa’d Du’aa Karna.

Aur Yeh Ki (Dono’n) Haatho’n Ko Du’aa Me Apne Kandho’n Ke Barabar Buland Karna.

Aur Yeh Ki Du’aa Se Farigh Ho Kar Apne Haatho’n Ko Chehre Par Pherna.”

[Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/45,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-365, Raqm-378.]

53/379.    “Imam Aboo Zakariya Yahya Bin Sharf Nawawi Ne Farmaya : Hamare Ulama-e Kiram Aur Kuchh Digar Ne Kaha Hai Ki  Har Du’aa Me Jo Kisi Musibat Jaise Qahat Wagairah Ke Taalne Ke Liye Ho, Haath Uthaana Sunnat  Hai Aur Woh Is Tarah Hai Ki Apni Hatheliyo’n Pusht Aasman Kee Taraf Kare. Is Hadith Ko Daleel Banaate Hu’e Baa’z Logo’n Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Qaul Bayan Kiya Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaaze Istisqa’ (Baaris Maangne Waali Namaz) Ke Ilaawah Du’aa Me Haath Buland Farmate They Hatta Ki ( Jab Aap Haath Buland Farmate To) Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee BaGalo’n Kee Safedi Mubarak Nazar Aati Thi.

Is Hadith Ka Zaahir Yeh Waham Daalta Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaaze Istisqa’ Ke Ilaawah Haath Buland Nahin Farmate They Jab Ki Darhaqiqat Muamla Aisa Harghiz Nain Balki Yeh Baat Saabit Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaaze Istisqa’ Ke Ilaawah Digar Mauqo’n Par Bhi Haath Utha Kar Du’aa Maangi Hai Aur Yeh Mauke Beshumar Hain Aur Mein Ne Sahihain Ya In Dono’n Me Se Kisi Ek Me Se Is Tarah Kee Tees-30 Ahadithe Jam’a Kee Hain.”

[Nawawi Fi Sharh Sahih Muslim, 06/190,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-365, 366, Raqm-379.]

54/380.    “Shaikh Ibn Taymiyyah Ne Apne Fatawa Me Bayan Kiya Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Haath Uthaa Kar Du’aa Maangna Is Kasrat Se Saabit Hai Ki Is Ka Shumaar Nahin Kiya Ja Sakta. Neez Farmate Hain Ki Us Kee Ahadith Mu-Tawaatirah Hain Aur Agr Is Se Kisi Ne Yeh Muraad Liya Hai Ki Du’aa Karne Waala Apne Haath Na Uthaa’e To Yeh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Manqool Sunane Mu-Tawaatirah Ke Khilaaf Hai Aur Is (Insani) Fitrat Ke Bhi Khilaaf Hai Jis Par Allah Ta’ala Ke Bande Hain (Ya’ni Maangne Waala Hamessha Haath Badhata Hai) Aur Woh Yeh Hai Ki Du’aa Me Allah Ta’ala Kee Taraf Haath Buland Ki’e Jaayein.”

[Ibn Taymiyyah Majmu’ Fatawa, 05/265,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-366, 367, Raqm-380.]

55/381.    “Imam Ibn Rajab Hanbali Ne Ek Tawil Hadith Me ( Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ek Sahabi Kee Kaifiyate Du’a Bayan Karte Hu’e) Bayan Kiya : Unhone Apne Haath Aasman Kee Taraf Buland Ki’e Aur Yeh Aadaabe Du’aa Me Se Hai Jis Ke Sabab Ummide Qubooliyat Rakhi Jaati Hai.”

[Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/105,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-367, Raqm-381.]

56/382.    “Iman Jalaluddin Suyoot Ne Farmaya : Du’aa Ke Liye Haath Uthaane Ke Baare Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Taqriban Sau-100 Ke Qarib Ahadith Manqool Hain Jin Me Yeh Mazkoor Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Du’aa Me Haath Buland Farmaa’e Hain In Tamam Ahadith Ko Mein Ne Ek Mustaqil Kitab (فض الوعا في أحاديث رفع اليدين في الدعاء) Me Jam’a Kar Diya Hai Agarche Yeh Duaae’n Mukhtalif Qazaaya Se Muta’alliq Hain Magar In Me Haath Uthaana Chunki Qadre Mushtarak Hai Is Liye Yeh (Haath Utha Kar Du’aa Karna) Majmooi Aitibaar Se Ahadithe Mu-Tawatir (Se Saabit) Ho Gaya.”

[Suyooti Fi Tadrib-ur-Rawi Fi Sharh Taqrib Al-Nawawi, 02/180,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-367, 368, Raqm-382.]

Advertisement