Fasl-01 :
A’maal Ka Daaromadaar Niyyato’n Par Hone Ka Bayan
01/383. “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aamaal Ka Daaromadaar Niyyat Par Hai Aur Har Shakhs Ke Liye Wahi Hai Jis Kee Us Ne Niyyat Kee, Phir Jis Ne Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Hijarat Kee. Us Kee Hijarat Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Liye Hee Shumaar Hogi, Aur Us Kee Hijarat Dunya Haasil Karne Ya Kisi Aurat Se Shaadi Karne Ka Liye Hu’i To Us Kee Hijarat Usi Ke Liye Hai Jis Kee Taraf Us Ne Hijarat Kee.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/30, Raqm-54,
Bukhari Fi As-Sahih, 02/894, Raqm-2392,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1416, Raqm-3685,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2461, Raqm-6311,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2551, Raqm-6553,
Bukhari Fi As-Sahih, 01/03, Raqm-01,
Muslim Fi As-Sahih, 03/1515, Raqm-1907,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/179, Raqm-1647,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/362, Raqm-2201,
Nasa’i Fi As-Sunan, 07/13, Raqm-3794,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1413, Raqm-4227,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-373, 374, Raqm-383.]
02/384 . “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Fatahe (Makkah) Ke Baa’d (Makkah Mukarrama Se) Hijarat Nahin, Ha’n Jihaad Aur Niyyat Baaki Hai. Jab Tumhe’n Jihaad Kee Taraf Bulaaya Jaa’e To Fauran Nikal Pado.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1025, Raqm-2631,
Bukhari Fi As-Sahih, 04/1040, Raqm-2670,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1120, Raqm-2912,
Muslim Fi As-Sahih, 03/1488, Raqm-1863, 1864,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/148, Raqm-1590,
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح ،
Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/257, Raqm-1030,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 10/452, Raqm-4592,
Darami Fi As-Sunan, 02/312, Raqm-2512,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/408, Raqm-36932,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/226, Raqm-1991, 3335,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 08/362, Raqm-4952,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/339, Raqm-10844,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-374, Raqm-384.]
03/385. “Hazrat Aboo Bakr Nufay’ Bin Haarith Thaqafi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Do² Musalman Apni Talwaro’n Ke Saath Mile (Aapas Me Lade) To Kaatil Aur Maqtool Dono’n Jahannam Me Hain. Mein Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Kaatil Ke Muta’alliq To Durust (Hai) Lekin Maqtool Kyo’n? Farmaya : Kyo’n Ki Woh Bhi Apne Dushman Ko Qatl Karne Ka Tammanna’I Tha.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/20, Raqm-31,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2520, Raqm-6481,
Bukhari Fi As-Sahih, 04/2214, Raqm-6672,
Muslim Fi As-Sahih, 04/2214, Raqm-2888,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1311, Raqm-3963, 3964,
Bazzar Al-Musnad 09/104,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/319, Raqm-4251,
Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/354,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-374, 375, Raqm-385.]
04/386. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Allah Ta’ala Na Tumhare Jismo’n Ko Dekhta Hai Aur Na Hee Tumhari Soorato’n Ko, Balki Woh Tumhare Dilo’n Ko Dekhta Hai. (Aur Ek Riwayat Me Yeh Alfaz Hain: ) “Be Shak Allah Ta’ala Tumhari Shaklo’n Aur Tumhari Daulat Ko Nahin Dekhta Balki Woh Tumhare Dilo’n Aur Aamaal Ko Dekhta Hai.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/1986, Raqm-2564,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1388, Raqm-4143,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/284, Raqm-7814,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 07/508, Raqm-11151,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/166, Raqm-614,
Ibn Mubarak Fi Kitab-uz-Zuhd, 01/540, Raqm-1544,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-375, 376, Raqm-386.]
05/387. “Hazrat Sahl Bin Sa’d Saa’idiy RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Momin Kee Niyyat Us Ke Amal Se Behtar Aur Munaafiq Ka Amal Us Kee Niyyat Se Behtar Hai Aur Har Ek Apni Niyyat Par Amal Karta Hai. Phir Jab Momin Ko’i (Nek) Amal Karta Hai To Us (Nek Amal Kee Barkat Ke Baa’is Us) Ke Dil Me Noor Foot Padta Hai.”
رواه الطبراني والديلمي ورجاله موثقون.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/185, Raqm-5942,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/285, Raqm-6842,
Rabi’a An ‘Abd Allah Bin Abbas Fi Al-Musnad, 01/23, Raqm-01,
Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/119, Raqm-148,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/343, Raqm-6860,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/61,
وقال رجاله موثقون.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-376, Raqm-387.]