Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-07 : ﴾Ikhlaas Aur Riqqate Qalb﴿

Dunya Se Be-Raghbati Ka Bayaan

Fasl-02 :

Dunya Se Be-Raghbati Ka Bayaan

06/388.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Logo’n Me Sab Se Ziyaada Aqlamand Woh Hai Jo Dunya (Kee Mahabbat) Ko Sab Se Ziyaada Chhodne Waala Ho.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/199,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-377, Raqm-388.]

07/389.    “Hazrat Sahl Bin Sa’d Saa’idiy RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Ek Aadami Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Hua Aur Us Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mujhe Ko’i Aisa Amal Bataaye Jise Karne Se Allah Ta’ala Bhi Mujh Se Mahabbat Kare Aur Log Bhi. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Dunya Se Beraghbat Ho Ja, Allah Ta’ala Tujh Se Mahabbat Karega Aur Jo Kuchh Logo’n Ke Paas Hai Us Se Beraghbat Ho Jaa, Log Bhi Tujh Se Mahabbat Karenge.”

رواه ابن ماجه والحاكم والبيهقي.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1373, Raqm-4102,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/348, Raqm-7873,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/193, Raqm-5972,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 17/433, Raqm-10522,

Saydawi Mu’jam-ush-Shuyukh, 01/312, Raqm-282,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/373, Raqm-643,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/431, Raqm-1758,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 09/201,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-377, 378, Raqm-389.]

08/390.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Farmata Hai : Aye Ibn Aadam!  Too Meri Ibaadat Ke Liye Faarigh To Ho Mein Tumhara Seena Beniyaazi Se Bhar Doonga Aur Tera Fikr Wa Faaqa Khatm Kar Doonga, Aur Agar Too Aisa Nahin Karega To Mein Tere Haath Kaam Kaaj Se Bhar Doonga Aur Teri Mohtaaji (Kabhi) Khatm Nahin Karunga.”

رواه الترمذي وابن ماجه.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن ، وقال الحاكم : صحيح الإسناد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 4/642, Raqm-2466,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1376, Raqm-4107,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/358, Raqm-8681,

Ibn Hibban An Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi As-Sahih, 02/119, Raqm-393,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/481, Raqm-3657,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/216, Raqm-500,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 07/288, Raqm-10339,

Daylami An Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/232, Raqm-8045,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-378, Raqm-390.]

09/391.    “Hazrat Aboo Khallad RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu (Jo Ki Sahabi-e Rasool Hain) Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Dekho Ki Kisi Shakhs Ko Dunya Me Parhezgaari Aur Kam Go’i ‘Ata Kar Dee Ga’i Hai To Us Ka Qurb Haasil Karo Kyo’n Ki Use Hikmat ‘Ata Kar Dee Jaati Hai.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1373, Raqm-4101,

Bayhaqi An Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Shu’ab-ul-Iman, 04/254, Raqm-4985, 10534,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/175, Raqm-6803,

Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 04/499, Raqm-2448,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-378, 379, Raqm-391.]

10/392.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Dunya Momin Ka Qaidkhaana Aur Kafir Ke Liye Jannat Hai.”

رواه مسلم والترمذي.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2272, Raqm-2956,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/562, Raqm-2324,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1378, Raqm-4113,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/323, Raqm-8272,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/462, Raqm-687,

Hakim An Salman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Al-Mustadrak, 03/699, Raqm-6545,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد ،

Bazzar An Salman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Al-Musnad, 06/461, Raqm-2498,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-379, Raqm-392.]

11/393.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Dunya Se Beraghbati Dil Aur Jism (Dono’n) Ko Sukoon Bakhshti Hai.

“Aur Imam Quda’iy Ne Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Karte Hu’e In Alfaz Ka Izafa Kiya Hai : Dunya Se Mahabbat Ranzo Gham Me Izaafa Karti Hai Aur Fahash Kalaami (Bura Bolna) Dil Ko Sakht Kar Deti Hai.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/177, Raqm-6120,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/188, Raqm-278,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 07/347, Raqm-10536,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/299, Raqm-3364,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/75, Raqm-4857,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/297,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/286,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-379, 380, Raqm-393.]

12/394.    “Hazrat Ammaar Bin Yaasir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Farmete Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna : Nek Log Dunya Se Beraghbati Ke Ilaawah Kisi Aur Cheez Ke Saath Khoobsoorat Nahin Lagte.”

رواه أبويعلى بإسناده.

[Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 03/191, Raqm-1617,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/105, Raqm-6332,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/76, Raqm-4860,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-380, Raqm-394.]

13/395.    “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs (Dunya Se) Kat Kar Sirf Allah ‘Azza Wa Jalla Kee (Raah Kee) Taraf Ho Jaa’e Allah Ta’ala Us Kee Har Zaroorat Poori Karta Hai Aur Use Waha’n Rizk Deta Hai Jaha Se Use Waham Wa Gumaan Bhi Na Ho Aur Jo Shakhs (Allah Ta’ala Se) Kat Kar Dunya Kee Taraf Ho Jaata Hai To Allah Ta’ala Use Isi (Dunya) Ke Supurd Kar Deta Hai.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/346, Raqm-3359,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/201, Raqm-321,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/28, Raqm-1076, 1351,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/298, Raqm-493,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/341, Raqm-2642,

وقال المنذري : رواه أبو السيخ في كتاب الثواب،

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/303,

Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 18/161,

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 04/381,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-380, 381, Raqm-395.]

14/396.    “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Tum Allah Ta’ala Par Is Tarah Bharosa Karte Jaisa Bharosa Karne Ka Haqq Hai, To Tumhe’n Is Tarah Rizk Diya Jaata Jis Tarah Parindo’n Ko Rizk Diya Jaata Hai. Woh Sub’h Ko Bhookhe Nikalte Hain Aur Shaam Ko Pet Bhar Kar Waapas Aate Hain.”

رواه الترمذي.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/573, Raqm-2344,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1394,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/354, Raqm-7894,

Bazzar Fi Al-Musnad, 01/476, Raqm-340,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/30, Raqm-205, 370,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/212, Raqm-247,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/66, Raqm-1182,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/11, Raqm-51, 139,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/32, Raqm-10,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/310, Raqm-1444,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-381, Raqm-396.]