Fasl-09 :
Tawba Aur Isteghfaar Ka Bayaan
55/437. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Har Insaan Khatakar Hai Aur Achchhe Khatakar (Khata Ho Jaane Ke Baa’d Nazaamat Se Sachchi) Tawbah Karne Waale Hain.”
رواه الترمذي وإبن ماجه وأحمد.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد .
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/659, Raqm-2499,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1420, Raqm-4251,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/198, Raqm-13072,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/272, Raqm-7617,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/62, Raqm-34216,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/301, Raqm-2922,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/420, Raqm-7127,
Ruwayani Fi Al-Musnad, 02/384, Raqm-1366,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/360, Raqm-1197,
Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-uz-Zuhd, 01/96,
Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/226,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/46, Raqm-4750,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-407, Raqm-437.]
56/438. “Hazrat ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Gunaah Se (Sachchi) Tawbah Karne Waala Us Shakhs Kee Maanind Hai Jis Ne Ko’i Gunaah Kiya Hee Na Ho.”
رواه ابن ماجه والطبراني والبيهقي .
وقال الهيثمي : ورجاله رجال الصحيح.
–
[Ibn Majah As-Sahih, 02/1419, Raqm-4250,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/150, Raqm-10281,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 10/154,
Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/266, Raqm-1756,
Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/97, Raqm-108,
Bayhaqi An Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/436, Raqm-7178, 7196,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/77, Raqm-2432, 2433,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/200,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-407, 408, Raqm-438.]
57/439. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ek Aadami Apne Oopar Zulm Wa Ziyadati Karta Raha ( Ya’ni Bohat Ziyaada Gunaaho’n Me Malawwis Raha), Jab Us Kee Maut Ka Waqt Aaya To Us Ne Apne Beto’n Se Kaha : Jab Mein Faut Ho Jaaun To Mujhe Achchhi Tarah Jala Dena, Phir (Mere Jale Hu’e Jism Ko) Pees Dena, Phir Meri Raakh Hawa Me Uda Dena, Allah Kee Qasam! Agar Mere Rabb Ne Mujhe Pakad Liya To Woh Aisa ‘Azaab Dega Ki Us Jaisa ‘Azaab Kabhi Kisi Ko Na Diya Hoga, Jab Woh Faut Ho Gaya To Us Ke Saath Usi Tarah Kiya Gaya. Allah Ta’ala Ne Zameen Ko Hukm Diya : Apne Andar Maujood Us Ke (Bikhre Hu’e Zarraat) Jam’a Kar De, Zameen Ne Zarrat Jam’a Kar Di’e To Woh (Poore Jism Ke Saath Allah Ta’ala Ke Saamne) Khada Ho Gaya. Allah Ta’ala Ne Farmaya : Tumhe’n Is Kaarwaa’i Par Kis Chiz Ne Aamaada Kiya Tha? Us Ne Kaha : Aye Mere Rabb! Teri Khashiyyat Ne, Ya ‘Arz Kiya : Aye Rabb! Tere Khauf Ne. To Allah Ta’ala Ne Use Bakhs Diya.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1283, Raqm-3294,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2725, Raqm-7067,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1273, Raqm-3266,
Muslim Fi As-Sahih, 04/310, Raqm-2756,
Nasa’i Fi As-Sunan, 04/112, Raqm-2079, 2080,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/666, Raqm-2206,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1421, Raqm-4255,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/240, Raqm-570,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/269, Raqm-7635,
Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 01/89, Raqm-128,
Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/372, Raqm-1056,
Ibn Rashid Fi Al-Jaame’, 11/283,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/130, Raqm-5105, 5107,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-408, 409, Raqm-439.]
58/440. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Momin Jab Ko’i Gunaah Karta Hai To Us Ke Dil Par Ek Siyaah Nishaan Ban Jaat Hai, Phir Agar Woh Tawbah Kar Le To Aur (Gunaah Se) Hat Jaa’e Aur Isteghfaar Kare To Us Ka Dil Saaf Ho Jaata Hai (Lekin) Agar Woh Ziyaada (Gunaah) Kare To Yeh Nishaan Badhta Jaata Hai, Yaha’n Tak Ki Us Ke (Poore) Dil Ko Apni Lapet Me Le Leta Hai Aur Yahi Woh “رَان” (Zang) Hai Jis Ka Zikr Allah Ta’ala Ne Apni Kitaab (Qur’an Majid) Me Farmya: “كَلاَّ بَلْ رَانَ عَلَىٰ قُلُوبِهِمْ مَّا كَانُواْ يَكْسِبُون“ [المطففين،١٤/٨٣] “Harghiz Nahi Balki Un Ke Dilo’n Par Un Ke Amalo’n Kee Wajah Se Siyaahi Chha Ga’i Hai.”
رواه أبوعيسى : هذا حديث حسن.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/434, Raqm-3334,
Ibn Majah Fi As-Sunan,02/1418, Raqm-4244, ,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/110, Raqm-10251, 11658,
Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01317, Raqm-418,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/562, Raqm-3908,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,,10/188,
Bayhaqi Fi As-Shu’ab-ul-Iman, 05/440, Raqm-7203,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/275, Raqm-801,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/27, Raqm-2787,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws,01/199, Raqm-751,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/47, Raqm-4752,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-409, 410, Raqm-440.]
59/441. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Maghrib Se Sooraj Tuloo Hone Tak (Ya’ni Qiyaamat Bapa Hone) Se Pehle-Pehle Tawbah Karega Allah Ta’ala Us Kee Tawbah Qubool Farma’ega.”
–
[Muslim Fi As-Sahih,04/2076, Raqm-2703,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/344, Raqm-11179,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/396, Raqm-629,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/395, Raqm-9119, 9505, 10424, 10589,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/227, Raqm-7344,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 10/198,
Ibn Mandah Fi Al-Iman, 02/930, Raqm-1024, 1025,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif,04/45, Raqm-4741,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-410, Raqm-441.]
60/442. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Us Waqt Tak Bande Kee Tawbah Qubool Farmata Hai Jab Tak Rooh Us Ke Halaq Me Pahonch Kar Ghar-Ghar Nahin Karti (Ya’ni Jab Tak Woh Haalate Naja’a Me Mubtala Nahin Hota).”
رواه الترمذي وابن ماجه .
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن. وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/547, Raqm-3537,
Ibn Majah Fi As-Sunan,02/1420, Raqm-4253,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/286, Raqm-7659,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/394, Raqm-628,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 09/462, Raqm-5409, 5717,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/153, Raqm-6408, 23118,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/173, Raqm-35077,
Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 01/124, Raqm-194,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/395, Raqm-7063,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif,04/48, Raqm-4784,
Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/607, Raqm-2449,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id,10/197,
وقال رجاله ثقات.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-410, 411, Raqm-442.]
61/443. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuse Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Peetal (Ya Lohe) Kee Tarah Dilo’n Ka Bhi Ek Zang Hai Aur Us Kee Paas (Aur Us Se Chhutkaare Ka Zari’a) Isteghfaar Hai.”
رواه الطيران والبيهقي بإسناده .
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/307, Raqm-509,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/74, Raqm-6894,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman,01/441, Raqm-649,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif,02/310, Raqm-2507,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/207,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-411, Raqm-443.]
62/444. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Shaitan Ne (Baargaahe Ilahi Me) Kaha : (Aye Allah!) Mujhe Teri ‘Izzat Kee Qasam! Mein Tere Bando’n Ko Jab Tak Un Kee Roohe Un Ke Jismo’n Me Baaqi Rahegi Gumraah Karta Rahunga. Allah Ta’ala Ne Farmaya : Mujhe Apni ‘Izzat Aur Jalaal Kee Qasam! Jab Tak Woh Mujh Se Bakhshish Mangte Rahege Mein Unhe’n Bakhshta Rahunga.”
رواه أحمد وابويعلى والحاكم .
وقال الحاكم : هاذا حديث صحيح الإسناد .
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/29, Raqm-11255, 11747,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/290, Raqm-7672,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/530, Raqm-1399,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws,03/199, Raqm-4559,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif,02/309, Raqm-2500,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-411, 412, Raqm-444.]
63/445. “Hazra Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujhe Us Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabza-e Qudrat Me Meri Jaan Hai! Agar Tum Gunaah Na Karoge To Allah Ta’ala Tumhe’n Le Jaa’ega Aur Aise Log Le Aa’ega Jo Gunaah Bhi Karenge Aur Muaafi Bhi Maangege Aur Allah Ta’ala Unhe’n Mu’aaf Kar Dega.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/2106, Raqm-2749,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/309, Raqm-8068,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/410, Raqm-7102,
Aboo Ya’la Fi Al-Mu’jam, 01/99, Raqm-93,
Daylami An Ibn Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Fi Musnad-ul-F!rdaws, 03/360, Raqm-5086,
Suyooti Fi Asbab Wurood Al-Hadith Aw Al-Lum’ Fi Asbab Al-Hadith, 01/205, Raqm-169, 179,
Ibn Rashid Fi Al-Jaame’, 11/181,
Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif, 02/168, Raqm-1391,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/49, Raqm-4763,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-412, Raqm-445.]
64/446. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Pabandi Ke Saath Isteghfaar Karta Hai, Aallah Ta’ala Us Ke Liye Har Gham Se Nazat Aur Har Mushkil Se Nikalne Ka Raasta Bana Deta Hai Aur Use Waha’n Se Rizq Deta Hai Jaha’n Se Use Waham Wa Gumaan Bhi Na Ho.”
رواه أبوداود وإبن ماجه.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد .
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/85, Raqm-1518,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1254, Raqm-3819,
Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01/330, Raqm-456,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/291, Raqm-7677,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/248, Raqm-2234,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 0/281, Raqm-10665,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 03/351, Raqm-6214,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/309, Raqm-2502,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-413, Raqm-446.]