Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-07 : ﴾Ikhlaas Aur Riqqate Qalb﴿

Tawba Aur Isteghfaar Ka Bayaan

Fasl-09 :

Tawba Aur Isteghfaar Ka Bayaan

55/437.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Har Insaan Khatakar Hai Aur Achchhe Khatakar (Khata Ho Jaane Ke Baa’d Nazaamat Se Sachchi) Tawbah Karne Waale Hain.”

رواه الترمذي وإبن ماجه وأحمد.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد .

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/659, Raqm-2499,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1420, Raqm-4251,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/198, Raqm-13072,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/272, Raqm-7617,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/62, Raqm-34216,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/301, Raqm-2922,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/420, Raqm-7127,

Ruwayani Fi Al-Musnad, 02/384, Raqm-1366,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/360, Raqm-1197,

Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-uz-Zuhd, 01/96,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/226,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/46, Raqm-4750,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-407, Raqm-437.]

56/438.    “Hazrat ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Gunaah Se (Sachchi) Tawbah Karne Waala Us Shakhs Kee Maanind Hai Jis Ne Ko’i Gunaah Kiya Hee Na Ho.”

رواه ابن ماجه والطبراني والبيهقي .

وقال الهيثمي : ورجاله رجال الصحيح.

[Ibn Majah As-Sahih, 02/1419, Raqm-4250,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/150, Raqm-10281,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 10/154,

Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/266, Raqm-1756,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/97, Raqm-108,

Bayhaqi An Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/436, Raqm-7178, 7196,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/77, Raqm-2432, 2433,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/200,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-407, 408, Raqm-438.]

57/439.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ek Aadami Apne Oopar Zulm Wa Ziyadati Karta Raha ( Ya’ni Bohat Ziyaada Gunaaho’n Me Malawwis Raha), Jab Us Kee Maut Ka Waqt Aaya To Us Ne Apne Beto’n Se Kaha : Jab Mein Faut Ho Jaaun To Mujhe Achchhi Tarah Jala Dena, Phir (Mere Jale Hu’e Jism Ko) Pees Dena, Phir Meri Raakh Hawa Me Uda Dena, Allah Kee Qasam! Agar Mere Rabb Ne Mujhe Pakad Liya To Woh Aisa ‘Azaab Dega Ki Us Jaisa ‘Azaab Kabhi Kisi Ko Na Diya Hoga, Jab Woh Faut Ho Gaya To Us Ke Saath Usi Tarah Kiya Gaya. Allah Ta’ala Ne Zameen Ko Hukm Diya : Apne Andar Maujood Us Ke (Bikhre Hu’e Zarraat) Jam’a Kar De, Zameen Ne Zarrat Jam’a Kar Di’e To Woh (Poore Jism Ke Saath Allah Ta’ala Ke Saamne) Khada Ho Gaya. Allah Ta’ala Ne Farmaya :  Tumhe’n Is Kaarwaa’i Par Kis Chiz Ne Aamaada Kiya Tha? Us Ne Kaha : Aye Mere Rabb! Teri Khashiyyat Ne, Ya ‘Arz Kiya : Aye Rabb! Tere Khauf Ne. To Allah Ta’ala Ne Use Bakhs Diya.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1283, Raqm-3294,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2725, Raqm-7067,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1273, Raqm-3266,

Muslim Fi As-Sahih, 04/310, Raqm-2756,

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/112, Raqm-2079, 2080,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/666, Raqm-2206,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1421, Raqm-4255,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/240, Raqm-570,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/269, Raqm-7635,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 01/89, Raqm-128,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/372, Raqm-1056,

Ibn Rashid Fi Al-Jaame’, 11/283,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/130, Raqm-5105, 5107,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-408, 409, Raqm-439.]

58/440.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Momin Jab Ko’i Gunaah Karta Hai To Us Ke Dil Par Ek Siyaah Nishaan Ban Jaat Hai, Phir Agar Woh Tawbah Kar Le To Aur (Gunaah Se) Hat Jaa’e Aur Isteghfaar Kare To Us Ka Dil Saaf Ho Jaata Hai (Lekin) Agar Woh Ziyaada (Gunaah) Kare To Yeh Nishaan Badhta Jaata Hai, Yaha’n Tak Ki Us Ke (Poore) Dil Ko Apni Lapet Me Le Leta Hai Aur Yahi Woh “رَان” (Zang) Hai Jis Ka Zikr Allah Ta’ala Ne Apni Kitaab (Qur’an Majid) Me Farmya: “كَلاَّ بَلْ رَانَ عَلَىٰ قُلُوبِهِمْ مَّا كَانُواْ يَكْسِبُون“ [المطففين،١٤/٨٣]  “Harghiz Nahi  Balki Un Ke Dilo’n Par  Un Ke Amalo’n Kee Wajah Se Siyaahi Chha Ga’i Hai.”

رواه أبوعيسى : هذا حديث حسن.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/434, Raqm-3334,

Ibn Majah Fi As-Sunan,02/1418, Raqm-4244, ,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/110, Raqm-10251, 11658,

Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01317, Raqm-418,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/562, Raqm-3908,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,,10/188,

Bayhaqi Fi As-Shu’ab-ul-Iman, 05/440, Raqm-7203,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/275, Raqm-801,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/27, Raqm-2787,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws,01/199, Raqm-751,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/47, Raqm-4752,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-409, 410, Raqm-440.]

59/441.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Maghrib Se Sooraj Tuloo Hone Tak (Ya’ni Qiyaamat Bapa Hone) Se Pehle-Pehle Tawbah Karega Allah Ta’ala Us Kee Tawbah Qubool Farma’ega.”

[Muslim Fi As-Sahih,04/2076, Raqm-2703,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/344, Raqm-11179,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/396, Raqm-629,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/395, Raqm-9119, 9505, 10424, 10589,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/227, Raqm-7344,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 10/198,

Ibn Mandah Fi Al-Iman, 02/930, Raqm-1024, 1025,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif,04/45, Raqm-4741,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-410, Raqm-441.]

60/442.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Us Waqt Tak Bande Kee Tawbah Qubool Farmata Hai Jab Tak Rooh Us Ke Halaq Me Pahonch Kar Ghar-Ghar Nahin Karti (Ya’ni Jab Tak Woh Haalate Naja’a Me Mubtala Nahin Hota).”

رواه الترمذي وابن ماجه .

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن. وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/547, Raqm-3537,

Ibn Majah Fi As-Sunan,02/1420, Raqm-4253,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/286, Raqm-7659,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/394, Raqm-628,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 09/462, Raqm-5409, 5717,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/153, Raqm-6408, 23118,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/173, Raqm-35077,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 01/124, Raqm-194,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/395, Raqm-7063,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif,04/48, Raqm-4784,

Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/607, Raqm-2449,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id,10/197,

وقال رجاله ثقات.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-410, 411, Raqm-442.]

61/443.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuse Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Peetal (Ya Lohe) Kee Tarah Dilo’n Ka Bhi Ek Zang Hai Aur Us Kee Paas (Aur Us Se Chhutkaare Ka Zari’a) Isteghfaar Hai.”

رواه الطيران والبيهقي بإسناده .

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/307, Raqm-509,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/74, Raqm-6894,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman,01/441, Raqm-649,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif,02/310, Raqm-2507,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/207,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-411, Raqm-443.]

62/444.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat  Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Shaitan Ne (Baargaahe Ilahi Me) Kaha : (Aye Allah!) Mujhe Teri ‘Izzat Kee Qasam! Mein Tere Bando’n Ko Jab Tak Un Kee Roohe Un Ke Jismo’n Me Baaqi Rahegi Gumraah Karta Rahunga. Allah Ta’ala Ne Farmaya : Mujhe Apni ‘Izzat Aur Jalaal Kee Qasam!  Jab Tak Woh Mujh Se Bakhshish Mangte Rahege Mein Unhe’n Bakhshta Rahunga.”

رواه أحمد وابويعلى والحاكم .

وقال الحاكم : هاذا حديث صحيح الإسناد .

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/29, Raqm-11255, 11747,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/290, Raqm-7672,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/530, Raqm-1399,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws,03/199, Raqm-4559,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif,02/309, Raqm-2500,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-411, 412, Raqm-444.]

63/445.    “Hazra Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujhe Us Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabza-e Qudrat Me Meri Jaan Hai! Agar Tum Gunaah Na Karoge To Allah Ta’ala Tumhe’n Le Jaa’ega Aur Aise Log Le Aa’ega Jo Gunaah Bhi Karenge Aur Muaafi  Bhi Maangege Aur Allah Ta’ala Unhe’n Mu’aaf Kar Dega.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2106, Raqm-2749,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/309, Raqm-8068,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/410, Raqm-7102,

Aboo Ya’la Fi Al-Mu’jam, 01/99, Raqm-93,

Daylami An Ibn Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Fi Musnad-ul-F!rdaws, 03/360, Raqm-5086,

Suyooti Fi Asbab Wurood Al-Hadith Aw Al-Lum’ Fi Asbab Al-Hadith, 01/205, Raqm-169, 179,

Ibn Rashid Fi Al-Jaame’, 11/181,

Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif, 02/168, Raqm-1391,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/49, Raqm-4763,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-412, Raqm-445.]

64/446.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Pabandi Ke Saath Isteghfaar Karta Hai, Aallah Ta’ala Us Ke Liye Har Gham Se Nazat Aur Har Mushkil Se Nikalne Ka Raasta Bana Deta Hai Aur Use Waha’n Se Rizq Deta Hai Jaha’n Se Use Waham Wa Gumaan Bhi Na Ho.”

رواه أبوداود وإبن ماجه.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد .

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/85, Raqm-1518,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1254, Raqm-3819,

Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01/330, Raqm-456,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/291, Raqm-7677,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/248, Raqm-2234,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 0/281, Raqm-10665,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 03/351, Raqm-6214,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/309, Raqm-2502,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-413, Raqm-446.]

Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-16 : ﴾Uhaadiyyaat, Sunaaiyyaat Aur Thulaasiyyaat﴿

Imam Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Do² Waasto’n Kee Riwayat Ka Bayan

Fasl-02 :

Imam Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Do² Waasto’n Kee Riwayat Ka Bayan

17/1057.            “Hazrat Jabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hu’e Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aayate Mubaraka Tilawat Farmaa’i : “Aur Us Ne Achchha’i Kee Tasdiq Kee.” Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Is Se Muraad) ﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ Kee Tasdiq Karna Hai.  “Aur Us Ne Achchha’i Ko Jhutlaaya.”  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Is Se Muraad) ﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ Ko Jhutlaana Hai.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/95,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-883, Raqm-1057.]

18/1058.            “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Jis Se Ilm Ke Baare Me Sawaal Kiya Gaya Aur Us Ne (Jaante Hu’e Bhi Use) Chhupaaya To Qiyaamat Ke Din Use Aag Kee Lagaam Dee Jaa’egi.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/96,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/29, Raqm-2649,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/321, Raqm-3658,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/97, Raqm-264,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-883, Raqm-1058.]

19/1059.            “Hazrat Jabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Har Neki Jise Tum Khwaah Ameer Ke Saath Karo Ya Gharib Ke Saath Woh Sadqa Hai.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/98,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1420, Raqm-4252,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/376,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/377, Raqm-612,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-884, Raqm-1059.]

20/1060.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Riwayat Karte Hu’e Farmaya : Neki Ka Hukm Dena Aur Buraa’i Se Mana Karna Farz Hai. (Raawi Kehte Hain Ki) Mein Ne Poochha : Kya Us Ko Tark Karna Kufr Hai? Unhone Farmaya : Nahin.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/96,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Muslim Fi As-Sahih, 01/498, Raqm-720,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/339, Raqm-1956,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/26, Raqm-1285,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-884, Raqm-1060.]

21/1061.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Be Shak Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Gunaah Par) Naadim (Sharminda) Hona Hee Tawbah Hai.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/98,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1420, Raqm-4252,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/376,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/377, Raqm-612,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-884, 885, Raqm-1061.]

22/1062.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Neki Kabhi Pooraani Nahin Hoti (Ki Us Ka Ajr Mil Kar Rehta Hai) Aur Gunaah Kabhi Bhulaaya Nahin Jaata (Us Kee Giraft Hoti Hai).”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/99,

 وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Bayhaqi Fi Kitab-uz-Zuhd Al-Kabir, 02/277, Raqm-710,

Ibn Rashid Fi Al-Jaame’, 11/178,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/33, Raqm-2203,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-885, Raqm-1062.]

23/1063,  24/1064.            “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Mujh Par Jaanboojh Kar Jhoot Baandha Woh Apna Thikaana Dozakh Me Bana Le.”

Ek Dusari Riwayat Me Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Bhi Isi Tarah Marwi Hai.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/99, 103,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Bukhari Fi As-Sahih, 01/434, Raqm-1229,

Muslim Fi As-Sahih, 01/10, Raqm-03,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/35, Raqm-2659,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-885, 886, Raqm-1063, 1064.]

25/1065.            “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Hamesha Humsaaye (Ke Huqooq) Ke Baare Me Mujhe Wasiyat Karte Rahe Yaha’n Tak Ki Mein Ne Ghumaan Kiya Ki Woh Anqareeb Use Waaris Bana Denge,  Aur Jibra’il Mujhe Raat Kee Ibaadat Kee Wasiyat Karte Rahe Hatta Kee Mein Ne Gumaan Kiya Ki Mere (Nek-o Saaleh) Behtareen Ummati Raat Ko Kam Hee Soyege.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/100,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2239, Raqm-5668,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2025, Raqm-2625,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/332, Raqm-1942,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-886, Raqm-1065.]

26/1066.            “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Logo’n Ka Shukriya Ada Nahin Karta Woh Allah Ta’ala Ka Bhi Shukr Ada Nahin Karta.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/109,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/339, Raqm-1954,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/255, Raqm-4811,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/198, Raqm-3407,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-886, 887, Raqm-1066.]

27/1067.            “Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Shakhs Ne Padha : (اَسْتَغْفِرُ اللهَ الْعظِيْمَ الَّذِي ﻻَ إِلَهَ إِلَّا هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ) “Mein, Allah Buland-o Bartar Se Maghfirat Talab Karta Hoo’n  Woh Zaat Jis Ke Siwa Koi Ma’bood Nahin Woh Hamesha Zinda Rehne Wala, Sab Ko Apni Tadbir Se Qayam Rakhne Waala Hai?” Agar Us Ne Ikhlaas (Se Yeh Padha To) Allah Ta’ala Us Ke Saabiqa (Pichhle) Gunaah Bakhsh Dega.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/111,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-887, Raqm-1067.]

28/1068.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abi Owfa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Ek Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Ho Kar Arz Kiya : Mein Qur’an Sikhne Kee Istita’at Nahin Rakhta Lehaaza Aap Mujhe Woh (Kalimaat) Sikhaaye Jo Mere Liye Us Ke Qaa’em Muqam Ho Jaa’e. Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Farmaya :  To Kaha Kar :  (شُبْحَانَ اللهِ وَٱلْحَمْدُ لِلَّهِ وَﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَاَللهُ أَكْبَرُ وَﻻَ حَوْلَ وَﻻَ قُوَّةَ إِﻻَّ بِاللهِ عَلِيِّ الْعَظِيْمِ) “Allah Paak Hai, Allah Ke Liye Tamaam Taareefein Hain Aur Allah Ke Siwa Koi Ma’bood Nahin Aur Allah Sab se Bada Hai Aur Qudrat-o Taaqat Sirf Allah Azeem-o Bartar Kee Mashiyyat Se Hee Hai.”  Us Ne Arz Kiya : Yeh (Kalimate Hamd  To) Mere Rabb Ke Liye Hogi To Mere Liye Kya Hai?  Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  To Kaha Kar : (اللهُمَّ ارْحَمْنِي واغْفِرْلِي وَاهْدِنِي وَارْزُقْنِي وَعَافِنِي) “Aye Allah!  Too Mujh Par Raham Farma Aur Mujhe Bakhsh De Aur Mujhe Hidayat Ata Kar, Mujhe Rizq Se Nawaaz Aur Aafiyat Ata Farma.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/117,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Daraqutni Fi As-Sunan, 01/314, Raqm-02,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/381,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/100, Raqm-29797,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-887, 888, Raqm-1068.]

29/1069.            “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Allah Ta’ala Ke Farman Ke Baare Me Riwayat Karte Hain : “Yaqinan Aap Ka Rabb Aap Ko Maqaame Mahmood Par Faa’iz Farma’ega (Ya’ni Woh Maqaame Shafa’ate Oozama  Jaha’n Jumla Awwalin Wa Aakhirin Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Rujooa Aur Aap Kee Hamd Karenge).” Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Maqaame Mahmood Se Muraad Shafa’at Hai, Allah Ta’ala Ahle Iman Me Se Ek Qum Ko Un Ke Gunaaho’n Ke Sabab Azaab Dega, Phir Unhein Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Shafa’at Ke Waaste Se (Jahannam Se) Nikaalega To Unhein Nahre Hatyaat Par Laaya Jaa’ega. Pas Woh Us Me Gusl Kar Ke Jannat Me Daakhil Honge To (Waha’n) Unhein Jahannami Ke Naam Se Pukaara Jaa’ega, Phir Woh Allah Ta’ala Se (Us Naam Ke Khaatme Kee) Guzarish Karenge To Woh Un Se Us Naam Ko Bhi Khatam Kar Dega.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/147, 148,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2401, Raqm-6198,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/236, Raqm-4740,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/434,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-888, 889, Raqm-1069.]

30/1070.            “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Har Paida Hone Wala Bachcha (Asl) Fitarat Par Paida Hota Hai Phir Us Ke Waaledain Use Yahoodi, Isaa’i Aur Majoosi Bana Dete Hain. Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah ﷺ! Jo Bachpan Me Hee Fout Ho Jaa’e (Us Ka Maamla Kya Hoga)? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Sab Se Ziyaada Jaan’ne Waala Hai Jo Woh (Dunya Me Rah Kar) Karne Waale They.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/188,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Bukhari Fi As-Sahih, 01/465, Raqm-1319,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2047, Raqm-2658,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/447, Raqm-2138,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-889, Raqm-1070.]

31/1071.            “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Momin Kee Firaasat Se Daro Kyo’n Ki Woh Allah Ta’ala Ke Noor Se Dekhta Hai Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Aayate Mubaraka Tilawat Kee : “Be Shak Us Me Ahle Firasat Ke Liye Nishaniya’n Hain.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/19,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/298, Raqm-3127,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/23, Raqm-7843,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/387, Raqm-663,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-889, 890, Raqm-1071.]

32/1072.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Be Shak Allah Ta’ala Ne Chhar⁴ Cheezo’n Me Shifa’ Rakhi Hai : Siyaah Daana (Ya’ni Kalonji), Pachhane Lagawaana (Ya’ni Surgery), Shahad Aur Barish Ka Paani.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/189,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-890, Raqm-1072.]

33/1073.            “Hazrat Aboo Moosa Amir Bin ‘Abd Allah  Bin Qays RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Ummat Rahmat Se Nawaazi Jaane Waali Ummat Hai, Us Ka Azaabe Dunya Apne Haatho’n Se Hoga.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/195,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/294, Raqm-974,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/190, Raqm-537,

Bukhari Fi At-Tarikh-ul-Kabir, 01/38, Raqm-60,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-890, 891, Raqm-1073.]

34/1074.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kafir Saat-07 Aanton Me (Khaana) Bharta Hai Aur Momin Ek Aant Me.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/195,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2061, Raqm-5078, 5079,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/266, Raqm-1818,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1631, Raqm-2060,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-891, Raqm-1074.]

35/1075.            “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hu’e Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khaadim-o Ghulam Kee Daawat Bhi Qabool Farmate They, Mareez Kee Iyaadat Kiya Karte Aur Daraaz Gosh (Ya’ni Gadhe) Kee Sawaari Kiya Karte They.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/77,

 وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/337, Raqm-1017,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1398, Raqm-4178,

Aboo Ya’la Anl-Musnad, 07/238, Raqm-4243,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-891, Raqm-1075.]

36/1076.            “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Riwayat Karte Hu’e Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Raat Ko Tashreef Laate To (Fiza Me) Khusboo’n Ke Phailne Se Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Pahchaan Hoti.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/98,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/304, Raqm-2632,

Darami Fi As-Sunan, 01/45, Raqm-65,

Ibn Sa’d Fi At-Tabqat-ul-Kubra, 01/399,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-892, Raqm-1076.]

37/1077.            “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Safed Shaami Topi Thi.”

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/198,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-892, Raqm-1077.]

38/1078.            “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Kiya Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Sachcha (Imandaar)  Taajir Qiyaamat Ke Din Ambiya-e Kiram, Siddiqin, Suhada’ Aur Saalehin Ke Saath (Un Kee Rafaaqat-o Sohbat Me) Hoga.”

 أخرجه في مسنده.

وقال ابو عيسى : هذا حديث حسن.

[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 02/02,

وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :

Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/515, Raqm-1209,

Darami Fi As-Sunan, 02/322, Raqm-2539,

Daraqutni Fi As-Sunan, 03/07, Raqm-17, 18,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 04/555, Raqm-23088, 23089,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/07, Raqm-2142,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/299, Raqm-966,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 05/266, Raqm-10196,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/86, Raqm-1230,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 04/221, Raqm-4855,

Tabarani An Ibn Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/243, Raqm-7394,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-892, 893, Raqm-1078.]

Posted in Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu

Farmane Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam : Ali Mujh Se Hai Aur Mein Ali Se Hoo’n

(٧) بَابٌ فِي قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم : عَلِيٌّ مِّنِّيْ وَ أَنَا مِنْهُ

Baab-07 :

Farmane Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam : Ali Mujh Se Hai Aur Mein Ali Se Hoo’n

 

72:             “Hazrat Hubshiy Bin Junadah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Woh Kehte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Mujh Se Hai Aur Mein Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Hoo’n Aur Meri Taraf Se (Ahd-o-Naqd Me) Mere Aur Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Siwa Koi Doosra (Zimma Daari) Ada Nahin Kar Sakta.”

Is Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Woh Kehte Hain Ki Yeh Hadith Hasan Sahih Hai.

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/636, Al-Hadith Raqam-3719,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/44, Al-Hadith Raqam-119,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/165,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/366, Al-Hadith Raqam-32071,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/16, Al-Hadith Raqam-3511,

Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 03/183, Al-Hadith Raqam-1514,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/71, Al-Hadith Raqam-72.]

 

 

73:              “Hazrat Abd Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ansaar Wa Muhaajirin Ke Darmiyaan Ukhuwwat Qaa’im Kee To Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Rote Hu’e Aa’e Aur Arz Kiya Ya RasoolAllah! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Sahaba-E-Kiram Me Bhaai Chaarah Qaa’im Farmaya Lekin Mujhe Kisi Ka Bhaai Nahin Banaya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Faraya : Tum Dunya Wa Aakhirat Me Mere Bhaai Ho.”

Ise Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha : Yeh Hadith Hasan Hai Aur Isi Baab Me Hazrat Zayd Bin Abi Awfa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Bhi Riwayat Hai.

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/636, Al-Hadith Raqam-3720,

Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/15, Al-Hadith Raqam-4288,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/72, Al-Hadith Raqam-73.]

 

 

74:              “Hazrat Hubshiy Bin Junadah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna Ki Ali Mujh Se Hai Aur Mein Ali Se Hoo’n Aur Mera Qarz Meri Taraf Se Siwaa’e Ali Ke Koi Nahin Ada Kar Sakta.”

Is Hadith Ko Ibn Majah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/44, Al-Hadith Raqam-119,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/72,73, Al-Hadith Raqam-74.]

 

 

75:              “Hazrat Hubshiy Bin Junadah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Aur Aap Hijjat-il-Wada’ Waale Din Waha’n Maujood They Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Ki Ali Mujh Se Aur Mein Ali Se Hoo’n Aur Mera Qarz Meri Taraf Se Siwaa’e Mere Aur Ali Ke Koi Nahin Ada Kar Sakta.”

Is Ko Imam Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/164,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/73, Al-Hadith Raqam-75.]

 

 

76:             “Hazrat Usamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ja’far Aur Hazrat Ali Aur Hazrat Zayd Bin Haarithah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Aik Din Ikatthey Hu’e To Hazrat Ja’far RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya Ki Mein Tum Sab Se Ziyaada Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Mahboob Hoo’n Aur Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya Ki Mein Tum Sab Se Ziyaada Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Mahboob Hoo’n Aur Hazrat Zayd RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya Ki Mein Tum Sab Se Ziyaada Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Pyaara Hoo’n Phir Unhone Kaha Chalo Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Khidmate Aqdas Me Chalte Hain Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Puchhte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Sab Se Ziyaada Pyaara Kaun Hai? Usamah Bin Zayd Kehte Hain Pas Woh Teeno’n Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Ijaazat Talab Karne Ke Liye Haazir Hu’e To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Dekho Yeh Kaun Hai? Mein Ne Arz Kiya : Ja’far Ali Aur Zayd Bin Haarithah Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : In Ko Ijaazat Do Phir Woh Daakhil Hu’e Aur Kehne Lage : Ya RasoolAllah! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Sab Ziyaada Mahboob Kaun Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Fatimah, Unhone Kaha : Ya RasoolAllah! Hum Ne Mardo’n Ke Baare Arz Kiya Hai To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Ja’far! Tumhari Khilqat Meri Khilqat Se Mushaabah Hai Aur Mere Khulq Tumhaare Khulq Se Mushaabah Hain Aur Too Mujh Se Aur Mere Shajarah Nasab Se Hai, Aye Ali Too Mera Daamaad Aur Mere Do Beto’n Ka Baap Hai Aur Mein Tujh Se Hoo’n Aur Too Mujh Se Hai Aur Aye Zayd Too Mera Ghulaam Aur Mujh Se Aur Meri Taraf Se Hai Aur Tamam Qaum Se Too Mujhe Pasandidah Hai.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai. Imam Hakim Kehte Hain Ki Yeh Hadith Imam Muslim Kee Shara’it Par Sahih Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/204, Al-Hadith Raqam-21825,

Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/239, Al-Hadith Raqam-4957,

Maqdisi Fi Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 04/151, Al-Hadith Raqam-1369,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/274,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/73, 74, Al-Hadith Raqam-76.]

 

 

77:              “Hazrat Amr Bin Maymoon RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Aik Taweel Hadith Me Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Kisi Ko Soora-E-Tawbah De Kar Bheja Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Us Ke Pichhe Bheja Pas Unhone Woh Soorat Us Se Le Lee. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Is Soorat Ko Siwaa’e Us Aadami Ke Jo Mujh Me Se Hai Aur Mein Us Se Hoo’n Koi Aur Nahin Le Jaa Sakta.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/330, Al-Hadith Raqam-3062,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/75, Al-Hadith Raqam-77.]