Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-03 : ﴾Ibaadaat Aur Manaasik﴿

Faza’ile E’tekaf Ka Bayan

Fasl-07 :

Faza’ile E’tekaf Ka Bayan

66/184.    “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwee Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ramadaan-ul-Mubarak Ke Aakhiri Din E’tekaf Kiya Karte They,  Yaha’n Tak Ki Allah Ta’ala Ke Hukm Se Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Wisaal Mubarak Ho Gaya. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Baa’d Aap Kee Azwaje Mutahharaat (Aap ﷺ Kee Paak Biwiyon) Ne Bhi E’tekaf Kiya Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/713, Raqm-1922,

Muslim Fi As-Sahih, 02/831, Raqm-1172,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/331, Raqm-2462,

Tirmidhi Fi As-Sunan, وقال : حديث حسن صحيح، 03/157, Raqm-790,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/258, Raqm-3338,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/564, Raqm-1773,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/92, Raqm-24657,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-242, Raqm-184.]

67/185.    “Hazrat Aboo Hurayrah Se Marwee Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Har Saal Ramadaan-ul-Mubarak Me Das-10 Din E’tekaf Farmate They, Aur Jis Saal Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Wisaal Hua Us Saal Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Bees-20 Din E’tekaf Kiya.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/719, Raqm-1939,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/332, Raqm-2466,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/562, Raqm-1769,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/259, Raqm-3343,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/336, Raqm-8416,

Darami Fi As-Sunan, 02/43, Raqm-1779,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-242, 243, Raqm-185.]

68/186.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ramadaan Ke Aakhiri Ashre Me E’tekaf Kiya Karte They. Naafia Kehte Hain Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar Ne Mujhe Masjid Me Woh Jagah Dikhaa’i Jaha’n Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam  E’tekaf Farmaya Karte They.”

[Muslim Fi As-Sahih, 02/830, Raqm-1171,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/332, Raqm-2465,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/564, Raqm-1773,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-243, Raqm-186.]

69/187.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Daryaaft Kiya : Mein Ne Daure Jahiliyat Me Mannat Maani Thi Ki Khaana-e Ka’ba Me Ek Raat Ka E’tekaf Karoonga. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Apni Mannat Poori Karo.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/714, Raqm-1927,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1277, Raqm-1656,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/112, Raqm-1539,

روقال أبوعيسى : حديث عمرو حديث حسن صحيح،

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/242, Raqm-3325,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/687, Raqm-2129,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/239, Raqm-2333,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-243, 244, Raqm-187.]

70/188.    “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kisi Mareez Ke Paas Se E’tekaf Kee Haalat Me Guzarte To Baghair Thahre Hasbe Ma’mool Guzarte Jaate Aur Us Ka Haal Poochh Lete.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/333, Raqm-2472,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/321, Raqm-8378,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-244, Raqm-188. ]

71/189.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab E’tekaf Farmate To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Liye Sutoone Tawbah (Masjide Nabawi Ke Ek Khambe Ka Naam) Ke Pichhe Takht Ya Bistar Bichha Diya Jaata.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/564, Raqm-1774,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/350, Raqm-2236,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/385, Raqm-13424,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/94, Raqm-8071,

Kinani Fi Misbah Al-Zujajah Fi Zawa’id Ibn Majah, 02/84, Raqm-641,

وقال : هذا إسناد صحيح.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-244, Raqm-189.]

72/190.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwee Hai Ki  Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne E’tekaf Ke Baare Me Farmaya : Woh Gunaah Se Rok Deta Hai. Is Ke Liye Aisee Nekiya’n Likhee Jaati Hain Jo Tamaam Nekiyo’n Par Amal Karne Waalo’n Ke Liye Likhee Jaati Hai.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/567, Raqm-1781,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/207, Raqm-6632,

Kinani Fi Misbah Al-Zujajah Fi Zawa’id Ibn Majah, 02/85, Raqm-643,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-245, Raqm-190.]

73/191.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Allah Ta’ala Kee Raza Ke Liye Ek Din E’tekaf Karta Hai Allah Ta’ala Us Ke Aur Dozakh Ke Darmiyan Tees-30 Khandako’n Ka Faasla Kar Deta Hai, Har Khandak Mashriq Se Magrib Ke Darmiyani Faasle Se Zyaada Lambi Hai.”

رواه الطبراني بإسناد جيد.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/220, Rsqam-7326,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/263, Raqm-3971,

وقال : رواه الحاكم. وقال : صحيح الإسناد،

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/192,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-245, Raqm-191.]

74/192.    “Hazrat ‘Ali Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Apne Waalid (Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu) Se Riwayat Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Ramadaan-ul-Mubarak Me Das-10 Din E’tekaf Karta Hai Us Ka Sawaab Do² Hajj Aur Do² Umrah Ke Baraabar Hai.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/128, Raqm-2888,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/425, Raqm-3966, 3967,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/96, Raqm-1649,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 03/173,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-245, 246, Raqm-192.]

75/193.    “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Shabe Qadr Ko Ramzan Ke Aakhiri Ashre Kee Taaq Raato’n (Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Ramadaan Kee Aakhiri Saat-07 Raato’n) Me Talaash Kiya Karo.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/710, Raqm-1913,

Muslim Fi As-Sahih, 02/823, Raqm-1165/1169,

Tirmidhi Fi As-Sunan,

 وقال حدث عائشة رضي الله عنحا حديث حسن صحيح،

03/158, Raqm- 792,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/53, Raqm-1385,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/319, 320, Raqm-693, 694,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-246, Raqm-193.]

76/194.    “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Umhone Farmaya : Jab Ramadaan Ke (Aakhiri Ashre) Ke Das-10 Din Baaqi Rah Jaate To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Apna Kamar Band Kas Lete Aur Apne Ahle Khaana Se Alag Ho (Kar Ibadato Riyaazat Me Mashghool Ho) Jaate.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/66, Raqm-24422,

Suyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/143, Raqm-211,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-246, Raqm-194.]