Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-03 : ﴾Ibaadaat Aur Manaasik﴿

Sadqah Aur Zakat Ka Bayan

Fasl-08 :

Sadqah Aur Zakat Ka Bayan

77/195.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Behtarin Sadqa Woh Hai Jis Ke Baa’d (Bhi) Khush’haali Qaa’em Rahe, Aur Ibtida Un Logo’n Se Karo Jo Tumhare Zere Kafaalat Ho’n.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/208, Raqm-5041,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/129, Raqm-1676,

Nasa’i Fi As-Sunan, 05/69, Raqm-2544,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-247, Raqm-195.]

78/196.    “Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Aye Ibn Aadam!  Tere Liye Zaroorat Se Ziyaada Chiz Ka Kharch Karna Behtar Hai Aur (Zaroorat Se Ziyaada Apne Paas) Roke Rakhna Bura Hai, Aur Baqadre Zaroorat (Apne Paas) Rakhne Par Tujhe Kuchh Malaamat Nahin Aur Pehle Un Par Kharch Karo Jo Tumhare Zere Kafalat (Zimma Daari Me) Hain Aur Oopar Ka Haath (Ya’ni Dene Waala Haath) Neeche Ke Haath (Ya’ni Lene Waale Haath) Se Behtar Hai.”

 رواه مسلم والترمي.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Muslim Fi As-Sahih, 02/718, Raqm-1036,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/573, Raqm-2343,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/182, Raqm-7570,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/224, Raqm-3386,

Ruwayani Fi Al-Musnad, 02/303, Raqm-1251,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/40, Raqm-312,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/334, Raqm-1230,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-247, 248, Raqm-196.]

79/197.    “Hazrat Zabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Hain Ki Ek Aadami Ne ‘Arz Kiya :  Ya RasoolAllah ﷺ!  Us Shakhs Ke Baare Me Aap Ka Kya Khayaal Hai Jis Ne Apne Maal Kee Zakaat Ada Kar Dee? RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Apni Maal Kee Zakaat Ada Kar Dee, Us Maal Ka Sharr Us Par Se Jaata Raha.”

رواه ابن خزيمة والطبراني واللفظ له والحاكم.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/13, Raqm-2258,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/547, Raqm-1439,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/161, Raqm-1579,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/301, Raqm-1111,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 03/63,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-248, Raqm-197.]

80/198.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Too Ne (Apni Maal Kee) Zakaat Ada Kar Dee To Too Ne Apna Farz Ada Kar Diya. Aur Jo Shakhs Haraam Maal Jam’a Kare Phir Use Sadqa Kar De Use Us Sadqe Ka Ko’i Sawaab Nahin Milega Balki Us Ka Bojh Us Par Hoga.”

رواه ابن خزيمة وابن حبان والحاكم.

وقال الحاكم : صحيح الإسناد.

[ Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/110, Raqm-2471,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/11, Raqm-3216,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/547, Raqm-1440,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-248, 249, Raqm-198.]

81/199.    “Hazrat Hasan Basri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Apne Maal Wa Daulat Ko Zakaat Ke Zari’e Bachaao Aur Apni Bimaariyo’n Ka Ilaaz Sadqe Ke Zari’e Karo Aur Musibat Kee Lahro’n Ka Saamna Du’aa Aur Girya-Wa-Zaari Ke Zari’e Karo.”

[ Aboo Dawud As-Sunan : 133,

Tabarani An ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/279, Raqm-1923,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/128, Raqm-10194,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/282, Raqm-3558,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/301, Raqm-1112,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 03/63,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-249, Raqm-199.]

82/200.    “Hazrat Alqama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karet Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hame’n Farmaya : Tumhare Islam Kee Takmil Yeh Hai Ki Tum Apne Maal Kee (Kaamil) Zakaat Ada Kiya Karo.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/08, Raqm-06,

Ibn Qani’ Fi Mu’jam Al-Sahabah, 02/285, Raqm-816,

Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 04/309, Raqm-2334,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/301, Raqm-1113,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 03/62,

رواه وقال : البزار.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-249, Raqm-200.]

83/201.    “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Sadqa Allah Ta’ala Ke Gusse Ko Thanda Karta Hai Aur Buri Maut Se Bachaata Hai.”

رواه الترمذي وحسنه وابن حبان.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/52, Raqm-663,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/103, Raqm-3309,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/213,  Raqm-3351,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 05/218, Raqm-1897,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/272,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/413, Raqm-3834,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/07, Raqm-1283,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-250, Raqm-201.]

84/202.    “Hazrat Aboo Dhar Ghiffari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhara Apne Musalman Bhai Ke Saamne Muskuraana Bhi Sadqa Hai, Tumhara Neki Ka Hukm Dena Aur Buraa’i Se Rokna Bhi Sadqa Hai, Tumhara Bhatke Hu’e Ko Raasta Dikhaana Bhi Tumhare Liye Sadqa Hai, Aur Tumhara Kisi Andhe Ko Raasta Dikhaana Bhi Tumhare Liye Sadqa Hai, Aur Tumhaara Raaste Se Pat’thar, Kaanta Aur Haddi (Wagaira Taklif Dene Waali Chiz) Ka Hataana Bhi Tumhaare Haqq Me Sadqa Hai Aur Apne Dol Se Doosre Bhai Ko Baalti Me Paani Daalna Bhi Sadqa Hai.”

 رواه الترمذي وابن حبان.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/339, Raqm-1956,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/286, Raqm-529,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/183, Raqm-8342,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/457, Raqm-4070,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/235,

Maruzi Ta’zim Qadr-us-Salah, 02/817, Raqm-813,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/282, Raqm-4074,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 03/134,

Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/220, Raqm-864,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-250, 251, Raqm-202.]

85/203.    “Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Me Se Har Ek Ke Jod Par Sadqa Hai Jab Woh Sub’h Kare, (Har Jod Kee Taraf Se Adaaygi Sadqa Yeh Hai Ki) Har Dafa (سُبْحَانَ اللهِ) Sub’hanAllah Kehna Sadqa Hai Aur Har Dafa (ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ) Al-Hamdulillah Kehna Sadqa Hai, Aur Har

Dafa  (ﻻَ إلَهَ إلَّااللهُ) La-Ilaha-IllAllah Kehna Sadqa Hai, Aur Har Dafa (اَللهُ أَكْبَرُ) AllahuAkbar Kehna Sadqa Hai Aur Neki Ka Hukm Dena Aur Buraa’i Se Rokna Bhi Sadqa Hai Aur In Sab Kee Taraf Se Chaasht Kee Do² Nafl Kaafi Hain.”

[Muslim Fi As-Sahih, 01/498, Raqm-720,

Muslim Fi As-Sahih, 02/607, Raqm-1006,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/119, Raqm-838,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/167, Raqm-21511, 7612,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 03/47, Raqm-4677, 7612,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/352, Raqm-352,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/54, Raqm-29460,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/264, Raqm-994,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-251, Raqm-203.]