Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-03 : ﴾Ibaadaat Aur Manaasik﴿

A’izza’ Wa Aqraba’ Par Sadqah Karne Ka Bayan

Fasl-09 :

A’izza’ Wa Aqraba’ Par Sadqah Karne Ka Bayan

86/204.    “Hazrat Aboo Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Aadami Apne Ahl-o Ayaal (Ghar Waalo’n) Par Sawaab Kee Niyyat Se Kharch Karta Hai, To Woh (Jo Kuchh Bhi Kharch Karta Hai) Us Ke Liye Sadqe (Ka Sawaab) Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/30, Raqm-55,

Muslim Fi As-Sahih, 02/695, Raqm-1002,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/122,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-252, Raqm-204.]

87/205.    “Hazrat Saubaan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Behtarin Dinaar Woh Hai Jo Ko’i Shakhs Apne Ahl-o Ayaal (Ghar Waalo’n) Par Kharch Karta Hai, Behtarin Dinaar Woh Hai Jo Ko’i Shakhs Allah Ta’ala Kee Raah Me Apne Saathiyo’n Par Kharch Karta Hai, Aboo Qilaaba Ne Kaha : Aap Ne Ghar Waalo’n Par Kharch Shurooa Kiya Tha. Phir Aboo Qilaaba Ne Kaha : Us Shakhs Se Ziyaada Aur Kis Ka Ajr Hoga Jo Apne Chhote Bachcho’n Par Kharch Karta Hai. Allah Ta’ala Us Shakhs Ke Sabab Un Bachcho’n Ko Nafa Deta Hai Aur Ghani Karta Hai.”

رواه مسلم والترمذي.

وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح.

[Muslim Fi As-Sahih, 02/691, Raqm-994,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/344, Raqm-1966,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/922, Raqm-2760,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/376, Raqm-9182,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/279, Raqm-22459, 22506,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 10/53, Raqm-4242,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/178, Raqm-7546,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/237, Raqm-3422,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/262, Raqm-748,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/236,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif,03/41, Raqm-2998,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-252, 253, Raqm-205.]

88/206.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ek Dinaar Woh Hai Jise Tum Allah Ta’ala Kee Raah Me Kharch Karte Ho, Ek Dinaar Woh Hai Jise Tum Miskeeno’n Par Sadqa Karte Ho, Aur Ek Dinaar Woh Hai Jise Tum Apne Ahle Khaana Par Kharch Karte Ho Un Me Sab Se Ziyaada Ajr Us Dinaar Par Milega Jise Tum Apne Ahle Khaana Par Kharch Karte Ho.”

[Muslim Fi As-Sahih, 02/692, Raqm-995,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/263, Raqm-751,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/476, Raqm-10177,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/39, Raqm-9079,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/222, Raqm-3079,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/236,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/41, Raqm-2997,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-253, 254, Raqm-206.]

89/207.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Sadqa Karne Ka Hukm Farmaya To Ek Aadami Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mere Paas Ek Dinaar Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Use Apne Oopar Kharch Kar Lo, Us Ne ‘Arz Kiya : Mere Paas Aur Bhi Hai, Farmaya : Use Apni Aulaad Par Kharch Kar Lo, ‘Arz Kiya : Mere Paas Aur Bhi Hai, Farmaya : Use Apni Beewi Par Kharch Kar Lo, ‘Arz Kiya : Mere Paas Aur Bhi Hai, Farmaya : Jis Ke Liye Tum Munaasib Samjho (Us Par Kharch Karo).”

رواه أبوداود والنساءي.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/132, Raqm-1691,

Nasa’i Fi As-Sunan, 05/62, Raqm-2535,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/34, Raqm-2314, 9181,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/78, Raqm-197, 750,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/126, Raqm-3337,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/237, Raqm-8508,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/585, Raqm-1514,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07-466,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/236, Raqm-3421,

Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/266,

Shafi’iy Fi Al-Sunan Al-Ma’thoorah, 01/393, Raqm-549,

Aboo Mahasin Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 01/126,

Humaydi Fi Al-Musnad, 02/495, Raqm-1176,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/42, Raqm-3005,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-254, Raqm-207.]

90/208.    “Hazrat Sulaiman Bin Aamir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kisi Haajat Mand Ko Sadqa Dena (Sirf) Ek Sadqa Hai Aur Rishtedaaro’n Ko Sadqa Dena Do² Sadqaat (Ke Barabar) Hai, Ek Sadqa Aur Doosara Sila Rehmi.”

رواه الترمذي وحسنه والنساءي وابن ماجه.

وقال الحاكم : صحيح الإسناد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/46, Raqm-658,

Nasa’i As-Sunan 05/92, Raqm-2582,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/591, Raqm-1844,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 08/132, Raqm-3344,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/564, Raqm-1476,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-254, 255, Raqm-208.]