Fasl-10 :
Hajj Aur Umrah Ka Bayan
91/209. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Is Ghar (Ka’be) Ka Hajj Kiya Phir Na To Aurat Ke Qareeb Gaya Aur Na Hee Ko’i Gunaah Kiya To (Tamam Gunaho’n Se Paak Ho Kar) Is Tarah Waapas Lauta Jaise Us Kee Maa Ne Use Janm Diya Tha.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/645, Raqm-1723, 1449, 1724,
Muslim Fi As-Sahih, 02/983, Raqm-1350,
Nasa’i Fi As-Sunan, 05/114, Raqm-2627,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/964, Raqm-2887,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-256, Raqm-209.]
92/210. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ek Umrah Se Doosre Umrah Tak Ka Darmiyaani Arsa Gunaaho’n Ka Kaffaara Hai, Aur Hajje Mabroor (Maqbool Hajj) Ka Badla Jannat Hee Hai.”
Muttafaque Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/629, Raqm-1683,
Muslim Fi As-Sahih, 02/983, Raqm-1349,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/272, Raqm-933,
وقال أبوعيسى : هزا حديث حسن صحيح،
Nasa’i Fi As-Sunan, 05/115, Raqm-2629,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/964, Raqm-2888,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-256, 257, Raqm-210.]
93/211. “Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Shakhs Ko Fareeza-e Hajj Kee Adaaygi Me Ko’i Zaahiri Zaroorat Ya Ko’i Zaalim Badshah Ya Rokne Waali Bimari (Ya’ni Sakht Marz) Na Roke Aur Woh Phir (Bhi) Hajj Na Kare Aur (Fareeza-e Hajj Kee Adaaygi Ke Baghair Hee) Mar Jaa’e To Chaahe Woh Yahoodi Ho Kar Mare Ya Isaai Ho Kar (Allah Ta’ala Ko Us Kee Ko’i Fikr Nahin Hai).”
رواه الترمزي والدارمي واللفظ له وابن أبي شيبة.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/176, Raqm-812,
Darami Fi As-Sunan, 02/45, Raqm-1785,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 03/305, Raqm-14450,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/334, Raqm-8443,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/430, Raqm-3979,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/625, Raqm-1820,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-257, 258, Raqm-211.]
94/212. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Hajj Aur Umrah Karne Waale Allah Ta’ala Ke Mehmaan Hain, Woh Us Se Du’aa Kare To Un Kee Du’aa Qubool Karta Hai, Aur Agar Us Se Bakhshish Talab Kare To Unhe’n Bakhsh Deta Hai. (Ek Riwayat Me) Jihaad Karne Waala, Haj Karne Waala Aur Umrah Karne Waala (Ke Alfaaz Bhi Hain).”
رواه ابن ماجه والطبراني والبيهقي.
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/09, Raqm-2892,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 09/447, Raqm-3692,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/247, Raqm-6311,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 05/262, Raqm-10168,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/107, Raqm-1697,
وقال المنذرى: رواه البزار و رجاله ثقات.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-257, 258, Raqm-212.]
95/213. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Baytullah Me Daakhil Ho Gaya Woh Neki Me Daakhil Ho Gaya Aur Buraa’i Se Khaarij Ho Kar Maghfirat Paa Gaya.”
رواه ابن خزيمة والطبراني.
–
[Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/332, Raqm-3013,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/200, Raqm-11490,
Haythami Majma‘-uz-Zawa’id 03/293,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-258, Raqm-213.]
96/214. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hame’n Khutba Diya Aur Farmaya : Aye Logo’n! Tum Par Hajj Farz Kar Diya Gaya Hai Phir Hajj Kiya Karo. Ek Shakhs Ne ‘Arz Kiya, Ya RasoolAllah ﷺ! Kya Har Saal Hajj Farz Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khaamosh Rahe, Yaha’n Tak Ki Tin³ Baar Us Ne Yahi ‘Arz Kiya : Is Ke Baa’d Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Mein Ha’n Keh Deta To (Har Saal) Farz Ho Jaata, Aur Phir Tum Is Kee Taaqat Na Rakhte, Phir Farmaya : Meri Itni Hee Baat Par Iktifa (Bas) Kiya Karo Jis Par Mein Tumhe’n Chhodoo’n, Is Liye Ke Tum Se Pehle Log Ziyaada Sawal Karne Aur Apane Nabiyo’n Se Ikhtilaaf Karne Kee Wajeh Se Hee Halaak Hu’e They, Lehaaza Jab Mein Tumhe’n Kisi Shai Ka Hukm Doo’n To Baqadre Istita’at Use Baja Laaya Karo Aur Jab Kisi Shai Se Mana Karoo’n To Use Chhod Diya Karo.”
رواه مسلم والترمذي وحسنه.
–
[Muslim Fi As-Sahih, 02/975, Raqm-1337,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/178, Raqm-814,
Nasa’i Fi As-Sunan, 05/110, Raqm-2619,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/963, Raqm-2884,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/129, Raqm-2508,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-258, 259, Raqm-214.]
97/215. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hajare Aswad Ke Muta’alliq Farmaya : Allah Ta’ala Kee Qasam! Qiyaamat Ke Din Allah Ta’ala Ise Do² Aankhein ‘Ata Farma’ega Jin Se Yeh Dekhega Aur Ek Zubaan ‘Ata Farma’ega Jis Se Yeh Bolegq Aur Us Shakhs Ke Muta’alliq Gawaahi Dega Jis Ne Haalate Iman Me Ise Bosa Diya”
رواه الترمزي وحسنه وابن خزيمة وابن حبان.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/294, Raqm-971,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/220, Raqm-2735,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 09/25, Raqm-3712,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad,01/247, Raqm-2215,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 05/75, Raqm-9014,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-259, Raqm-215.]
98/216. “Hazrat Aabis Bin Rabi’a RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazarat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hajare Aswad Ke Paas Aa’e Aur Use Bosa De Kar Kaha : Mein Khoob Jaanta Hoo’n Ki Too Pat’thar Hai Na To Nuksaan Pahoncha Sakta Hai, Aur Na Naf’a. Agar Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Tujhe Bosa Dete Hu’e Na Dekha Hota To Mein Kabhi Tujhe Bosa Na Deta. (Aur Ek Riwayat Me Hai Ki) Hazarat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Yeh Woh Kaam Hai Jise Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ada Farmaya Hai Phir Hum Nahin Chaahte Ki Ise Tark Kar De’n.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/579, Raqm-1520, 1528,
Muslim Fi As-Sahih, 02/925, Raqm-1270,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/175, Raqm-1873,
Nasa’i Fi As-Sunan, 05/227, Raqm-2938,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/981, Raqm-2943,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/367, Raqm-818,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/16, Raqm-99,
Bazzar Fi Al-Musnad, 01/949, Raqm-139,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 04/212, Raqm-2711,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-260, Raqm-216.]