Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-03 : ﴾Ibaadaat Aur Manaasik﴿

Faza’ile Makkah Mukarramah Ka Bayan

Fasl-11 :

Faza’ile Makkah Mukarramah Ka Bayan

99/217.    “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ko’i Shaher Aisa Nahin Jise Dajjaal Na Raunde Siwaaye Makkah Mukarramah Aur Madinah Munawwarah Ke. Un Ke Raasto’n Me Se Har Raaste Par Saf Basta Firishte Hifaazat Kar Rahe Honge.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/665, Raqm-1682,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2265, Raqm-2943,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/485, Raqm-4274,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/214, Raqm-6803,

Muqri Fi As-Sunan-ul-Waridah Fi Al-Fitan Wa Ghawa’iliha Wa As-Sa’ati Wa Ashratiha, 06/1163, Raqm-638,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-261, Raqm-217.]

100/218.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Jab Makkh Mukarramah Fat’h Kiya To Us Roj Farmaya : Is Shaher Ko Allah Ta’ala Ne Us Din Se Hurmat ‘Ata Farmaa’i Hai Jis Roz Aasmaano’n Aur Zameen Ko Paida Kiya Tha Aur Woh Allah Ta’ala Kee Hurmat Ke Ba’is Ta Qiyaamat Haraam Hai Aur Is Me Jung Karna Kisi Ke Liye Na Mujh Se Pehle Halaal Hua Na Mere Liye, Magar Din Kee Ek Sa’at Ke Liye, Phir Woh Allah Ta’ala Kee Hurmat Ke Saath Qiyaamat Tak Haraam Hai. Na Is Ka Kaanta Toda Jaa’e Aur Na Is Ka Shikaar Bhadkaaya Jaa’e Aur Is Kee Giree Padi Cheez Sirf Woh Uthaa’e Jis Ne I’laan Karan Ho Aur Na Yaha’n Kee Ghaas Ukhaadi Jaa’e.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/651, Raqm-1737,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1146, Raqm-3017,

Muslim Fi As-Sahih, 02/986, Raqm-1353,

Nasa’i Fi As-Sunan, 05/203, Raqm-2874,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/259, Raqm-2353,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/441, Raqm-4007,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-261, 262, Raqm-218.]

101/219.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin Adi Bin Hamra RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Maqaame Hazwarah Par Khade Ho Kar Farmate Hu’e Suna : Allah Rabbul ‘Izzat Kee Qasam! Aye Makkah Be Shak Too Allah Ta’ala Kee Achchhi  Zameen Hai Aur Allah Ta’ala Ke Nazdeek Allah Kee Pasandidah Zameen Hai Agar Mujhe Tujh Se Nikal Jaane Par Majboor Na Kiya Jaata To Mein Hargiz Na Jaata.”

رواه الترمزي والنساءي وابن ماجه.

وقال الترمزي : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/722, Raqm-3925,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/479, Raqm-4252—4253,,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1037, Raqm-3108,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/305, Raqm-18739,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 09/22, Raqm-3708,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/08, Raqm-4370,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-262, 263, Raqm-219.]

102/220.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Makkah Mukarramah Ko Mukhaatib Kar Ke Farmaya : (Aye Makkah!) Too Kitna Achchha Shaher Hai Aur Mujhe Kitna Azeez Hai Agar Meri Qaum Mujhe Yaha’n Se Naa Nikaalti To Mein Tere Ilaawah Kahin Naa Thaherta.”

رواه الترمزي وحسنه وابن حبان.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/723, Raqm-3926,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 09/23, Raqm-3709,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/661, Raqm-1787,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/267, 270, Raqm-10624, 10633,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/443, Raqm-4013,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-263, Raqm-220.]

103/221.            “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Apane Ghar Me Namaz Padhe Use Ek Namaz Ka Aur Jo Qabeele Me Namaz Padhe Use Pachchis Namazo’n Ka Aur Jo Jaama Masjid Me Namaz Padhe Use Paanch Sau Namazo’n Ka, Jo Masjide Aqsa Aur Meri Masjid (Masjide Nabawi) Me Namaz Padhe Use Pachaas Hajaar Namazo’n Ka Aur Jo Masjide Haraam Me Namaz Padhe Use Ek Laakh Namazo’n Ka Sawaab Milta Hai.”

رواه ابن ماجه والطبراني.

وقال المنذري : رواته ثقات.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/453, Raqm-1413,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/112, Raqm-7008,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/140, Raqm-1833,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-263, 264, Raqm-221.]

104/222.            “Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargahe Aqdas Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Zameen Par Sab Se Pehle Kaun See Masjid Banaa’i Ga’i? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Masjide Haraam. Farmate Hain Ki Mein Ne ‘Arz Kiya : Us Ke Baa’d? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Masjide Aqsa, Mein Ne ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ! ) In Dono’n (Masjido’n) Kee Tameer Ke Darmiyan Kitana Wakfa Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Chaalis Saal, Lekin Tum Jaha’n Waqt Ho Jaa’e Usi Jagah Namaz Padh Liya Karo Isi Me Tumhare Liye Bhalaa’i Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1231, Raqm-3186,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1260, Raqm-3243,

Muslim Fi As-Sahih,  01/370, Raqm-530,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/32, Raqm-690,

Nasa’i Fi As-As-Sunan-ul-Kubra, 01/255, Raqm-769,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/248, Raqm-753,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/150, Raqm-21371, 21420, 21427, 21428, 21459,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/05, Raqm-787, 1290,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 04/475, Raqm-1598,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/120, Raqm-6228,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf,  01/403, Raqm-1578, 5925,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/410, Raqm-4015,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-264, 265, Raqm-222.]

105/223.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Us Pat’thar (Sange Aswad) Ko Allah Ta’ala Ne Zubaan Aur Do² Hont ‘Ata Farmaa’e Hain Jin Se Yeh Qiyaamat Ke Din Un Logo’n Ke Baare Me Gawaahi, Jinhone Haqq Samajh Kar Bosa Diya Hoga.”

رواه أحمد وابن حبان.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/266, Raqm-2398,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/221, Raqm-2736,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 09/25, Raqm-01/37,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/627, Raqm-1680,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/107, Raqm-2719,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/450, Raqm-4035,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,10/204, Raqm-209, 210,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-265, Raqm-223.]

106/224.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Rookane Yamani Aur Maqaame Ibrahim Jannat Ke Yaaqooto’n Me Se Do² Yaaqoot Hain. Allah Ta’ala Ne In Ke Noor Kee Raushni Bujha Dee Hai Agar Allah Ta’ala Inhe’n Na Bujhaata To Un Kee Mashriq Se Maghrib Tak Saara Maahaul Raushan Kar Deti.”

رواه الترمزي وأحمد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/226, Raqm-878,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/213, 214, Raqm -7000, 7008,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 09/24, Raqm-3710,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 10/627, Raqm-1677,

Al-Mustadrak, 01/627, Raqm-1678,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 05/39, 7921,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-265, 266, Raqm-224.]