Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-03 : ﴾Ibaadaat Aur Manaasik﴿

Faza’ile Madinah Munawwarah Ka Bayan

Fasl-12 :

Faza’ile Madinah Munawwarah Ka Bayan

107/225.            “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mere Ghar Aur Mere Mimbar Ke Darmiyan Ka Hissa Jannat Ke Baagho’n Me Se Ek Baagh Hai Aur Mera Mimbar Mere Hawz Par Hai“

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/399, Raqm-1138,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/667, Raqm-1789,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2408, Raqm-6216,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2672, Raqm-6904,

Muslim Fi As-Sahih, 02/110, 111, Raqm-1390, 1391,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 50/718, 719, Raqm-3915, 3916,

Nasa’i Fi As-Sunan, 02/35, Raqm-695,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/257, Raqm-774,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/35, Raqm-695,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/197, Raqm-463, 464,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/236, Raqm-7222,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-267, Raqm-225.]

108/226.            “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Qiyaamat Ke Qareeb) Iman Is Tarah Madinah Munawwarah Kee Taraf Simat Jaa’ega Jaise Saanp Apne Bil Kee Taraf Simat Aata Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/663, Raqm-1777,

Muslim Fi As-Sahih, 01/131, Raqm-147,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/18, Raqm-2630,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/108, Raqm-3111,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 09/46, Raqm-7833,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-267, 268, Raqm-226.]

109/227.            “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Madinah Munawwarah Fula’n Jagah Se Fula’n Jagah Tak Haram Hai Us Ke Darakht Na Kaate Jaa’e’n Aur Na Us Me Ko’i Fitana Bapa Kiya Jaa’e Jo Is Me Fitne Ka Ko’i Kaam Ijaad Karega Us Par Allah Ta’ala, Firishto’n Aur Tamam Insaano’n Kee La’nat Hai. Ise Imam Bukhari Ne Riwayat Kiya Hai Yeh Alfaaz Bhi Inhin Ke Hain Aur Muslim Ne In Alfaaz Ke Izaafa Ke Saath Riwayat Kiya Hai Ki Qiyaamat Ke Din Us Ka Farz Wa Nafl Kuchh Bhi Qubool Na Hoga.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/661, Raqm-1768,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2665, Raqm-6876,

Muslim Fi As-Sahih, 02/994, Raqm-1366,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 05/197, Raqm-9739,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 04/193,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-268, 269, Raqm-227.]

110/228.            “Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Hazarat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ne Makkah Mukarramah Ko Haram Qaraar Diya Tha Aur Mein Dono’n Kaale Pat’tharo’n Waale Maidano’n Ke Darmiyan Madinah Munawwarah Ko Haram Qaraar Deta Hoo’n Na Waha’n Ko’i Darakht Aur Jhaadi Kaati Jaa’e Aur Na Hee Waha’n Ko’i Jaanwar Shikaar Kiya Jaa’e.”

[Muslim Fi As-Sahih, 02/992, Raqm-1362,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/184,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,04/84,

Zarqani Fi Sharh-ul-Zarqani ‘Ala Muwatta’ Imam Malik, 04/283,

Nawawi Fi Sharh Sahih Muslim, 09/136,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-269, Raqm-228.]

111/229.            “Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Ahle Madinah Ko Takleef Dena Chhahega To Allah Ta’ala Dozakh Me Use Is Tarah Pighalaayega Jis Tarah Aag Me Sheesha Pighalta Hai Ya Jis Tarah Namak Paani Me Pighalta Hai.”

[Muslim Fi As-Sahih, 02/992, Raqm-1363,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/486, Raqm-4679,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/184, Raqm-1606,

Ibn Kathir Ad-Dawrqi Fi Al-Musnad Sa’d, 01/82, Raqm-38,

Ibrahim Al-Jundi Fi Fada’il-ul-Madinah, 01/29, Raqm-28,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-269, 270, Raqm-229.]

112/230.            “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Madinah Munawwarah Ke Raasto’n Par Firishte (Bataur Muhaafiz Mukarrar) Hain Lehaaza Taaoon Aur Dajjjaal Is (Muqaddas Shaher) Me Daakhil Nahin Honge.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/664, Raqm-1781,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2165, Raqm-5399,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2609, Raqm-6714,

Muslim Fi As-Sahih, 02/1005, Raqm-1379,

Malik Fi Al-Muwatta’, 02/892, Raqm-1582,

Zindi Fada’il-ul-Madinah, 01/24, Raqm-15,

Muqri Fi As-Sunan-ul-Waridah Fi Al-Fitan Wa Ghawa’iliha Wa As-Sa’ati Wa Ashratiha, 06/1165, Raqm-02,

Aboo Nu’aym Fi Al-Musnad Al-Mustakhraj, 04/47, Raqm-3193,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-270, Raqm-230.]

113/231.            “Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Maseeh Dajjaal Ka Ro’b Madinha Ke Andar Daakhil Nahin Hoga Us Din Is (Shaher) Ke Saat Darwaaze Honge Aur Har Darwaaze Par Do² Firishte Mukarrar Honge.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/664, Raqm-1780,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2607, Raqm-6707,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 09/48, Raqm-3731, 6805,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/585, Raqm-8627,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/406, Raqm-32425, 37483,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-270, Raqm-231.]

114/232.            “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Du’aa Farmaa’i : Aye Allah! Madinah Munawwarah Me Us Se Do² Guna Barkat ‘Ata Farma Jitni Toone Makkah Mukarramah Me Rakhi Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/666, Raqm-1786,

Muslim Fi As-Sahih, 02/994, Raqm-1369,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/148, Raqm-1873,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-271, Raqm-232.]

115/233.            “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Madinah Munawwarah Kee Sakhtiyo’n Aur Musibato’n Par Karega Qiyaamat Ke Din Mein Us Ka Gawaah Hoonga Yaa Us Kee Shafa’at Karoonga.”

[Muslim Fi As-Sahih, 02/1004, Raqm-1377,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/487, Raqm-4281,

Malik Fi Al-Muwatta’, 02/885, Raqm-1569,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/56, Raqm-3739,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/496, Raqm-4179,

Zindi Fada’il-ul-Madinah, 01/31, Raqm-32, 34,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/145, 146, Raqm-1857, 1858,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 03/300,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 06/119,

وقال الهيشمى : ورجاله ثقات.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-271, Raqm-233.]

116/234.            “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Ummat Me Se Jo Shakhs Bhi Madinah Paak Kee Tangi Aur Sakhti Par Sabr Karega, Qiyaamat Ke Din Mein Us Kee Shafa’at Karoonga Ya Us Ke Haqq Me Gawaahi Doonga.”

[Muslim Fi As-Sahih, 02/1004, Raqm-1378,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-271, 272, Raqm-234.]