Fasl-01 :
Imaamat Karaane Aur Buland Aawaaz Se Tasmiyah Na Padhne Ka Bayaan
01/235. “Hazrat Anas Bin Maalik Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ghode Par Sawaar Hu’e Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Daaya’n Pahloo Mubrak Zakhmi Ho Gaya So Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hame’n Ek Namaz Bayth Kar Padhaa’i Aur Hum Ne Bhi Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe Bayth Kar Namaz Padhi Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Salam Pher Kar Farmaya : Imam To Banaya Hee Is Liye Jaata Hai Ki Us Kee Pairwi Kee Jaa’e. Jab Woh Khada Ho Kar Namaz Padhe To Tum Bhi Khade Ho Kar Padho Aur Jab Woh Rukoo’ Kare To Tum Bhi Rukoo’ Karo Aur Jab Woh Sar Uthaa’e To Tum Bhi Sar Uthaao Aur Jab Woh Sajda Kare To Tum Bhi Sajda Karo Aur Jab Woh (سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ) ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Kahe To Tum (رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ) ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/257, Raqm-699,
Bukhari Fi As-Sahih, 01/375, Raqm-1063,
Muslim Fi As-Sahih, 01/308, Raqm-411,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/164, Raqm-601,
Nasa’i Fi As-Sunan, 02/98, Raqm-832,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/392, Raqm-1238,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/135, Raqm-304,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/411, Raqm-9318,
Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/58,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/461, Raqm-2103,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/469, Raqm-2108,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/292, Raqm-906,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/286, Raqm-36134,
‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 02/460, Raqm-4078,
Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/403,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/283, Raqm-3595,
Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/436, Raqm-1619,
Bayhaqi Fi As-Sunan-us-Sughra, 01/320, Raqm-546,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/97, Raqm-2451,
Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 01/62, Raqm-66,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-277, 278, Raqm-235.]
02/236 . “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ghode Se Neeche Tashreef Le Aa’e To Kharaash Aa Ga’i, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hame’n Bayth Kar Namaz Padhaa’i Aur Hum Ne Bhi Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Bayth Kar Namaz Padhi, Phir Faarigh Hu’e To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Imam Is Liye Banaaya Jaata Hai Ki Us Kee Pairwi Kee Jaa’e. Jab Woh Takbeer Kahe To Tum Bhi Takbeer Kaho Aur Jab Woh Rukoo’ Kare To Rukoo’ Karo Aur Jab Woh Sar Uthaa’e To Tum Bhi Sar Uthaao Aur Jab Woh (سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ) ‘SamiAllahu-Le-Man-Hamidah’ Kahe To Tum (رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ) ‘Rabbana-Wa-Lakal-Hamd’ Kaho, Aur Sajda Kare To Tum Bhi Sajda Karo.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/257, Raqm-700,
Bukhari Fi As-Sahih, 01/375, Raqm-1063,
Muslim Fi As-Sahih, 01/308, Raqm-411,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/194, Raqm-361,
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح،
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/164, Raqm-601,
Nasa’i Fi As-Sunan, 02/195, Raqm-1061,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/393, Raqm-1238,
Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/58,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/110, Raqm-12095,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/477, Raqm-2113,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-278, 279, Raqm-236.]
03/237. “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Rukoo’ Aur Sajde Poore Kiya Karo, Khuda Kee Qasam! Mein Tumhe’n Apne Baa’d Bhi Dekhta Hoo’n (Aur Kabhi Farmaya, Peeth Pichhe Se Dekhta Hoo’n) Jab Rukoo’ Aur Sajda Karte Ho.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/259, Raqm-709,
Muslim Fi As-Sahih, 01/319, Raqm-425,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/130, Raqm-12343,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-279, Raqm-237.]
04/238. “Hazrat Sahal Bin Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Logo’n Se Kaha Jaata Tha Ki Namazi Haalate Namaz Me Apne Daaye’n Haath Ko Apni Baayi’n Kalaayi’n Par Rakkhe. Aboo Haazim Ne Farmaya Ki Mujhe To Yahi Ma’loom Hai Ki Hazrat Sahal Is Baat Ko Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Mansoob Karte They.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/259, Raqm-707,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/159, Raqm-376,
Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/429, Raqm-1597,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/140, Raqm-5772,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-279, 280, Raqm-238.]
05/239. “Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Unhone Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Basara Me Namaz Padhi To Unhone Hame’n Woh Namaz Yaad Kara Dee Jo Hum Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Padha Karte They. Bataaya Ki Aap Jab Bhi Uthate Aur Jhukte To Takbeer Kaha Karte They.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/271, Raqm-751,
Bazzar Fi Al-Musnad, 09/26, Raqm-3532,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/68, Raqm-2326,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-280 Raqm-239.]
06/240. “Hazrat Aboo Salamah Se Riwayat Hai Ki Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Unhe’n Namaz Padhaaya Karte They, Jab Bhi Jhukte Aur Uthate To Takbeer Kehte. Jab Aap Namaz Se Faarigh Hu’e To Farmaya : Meri Namaz Tum Sab Se Ziyaada Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Ke Saath Mushaabahat Rakhti Hai.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/272,Raqm-752,
Muslim Fi As-Sahih, 01/293, Raqm-392,
Nasa’i Fi As-Sunan, 02/235, Raqm-1155,
Shafi’iy Fi Al-Musnad, 01/38,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/236, Raqm-7219,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/76, Raqm-166,
Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/221,
Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/57, Raqm-191,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/62, Raqm-1766,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-280, Raqm-240.]
07/241. “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Hazrat Aboo Bakr Aur Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Namaz Ko (ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَالَمِينَ) ‘Al-Hamdu-Lillahi-Rabbil-Aalamin’ Se Shuru Kiya Karte They.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/259, Raqm-710,
Shafi’iy Fi Al-Sunan Al-Ma’thoorah, 01/135, 138,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-281, Raqm-241.]
08/242. “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Hazrat Aboo Bakr, Hazrat ‘Umar Aur Hazrat ‘Uthman Ghani RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Kee Iqtida’ Me Namaz Padhi Magar Mein Ne Un Me Se Kisi Ko (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ) ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Padhte Na Suna.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 01/299, Raqm-399,
Nasa’i Fi As-Sunan, 02/99, Raqm-907,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/315, Raqm-979,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/103, Raqm-1799,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 01/249, 250, Raqm-459, 497,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/176, 275, 278,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/360, Raqm-4144,
Daraqutni Fi As-Sunan, 01/314, 315,
Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/448, Raqm-1656,
Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/146, 293, Raqm-922, 1986,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/359, Raqm-1191,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/51, Raqm-2243,
Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/261, Raqm-1166,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-281, Raqm-242.]
09/243. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mughaffal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain : Mere Waalid Ne Mujhe Namaz Me (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ) ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Padhte Hu’e Suna To Farmaya : Aye Bete! Yeh Bid’at Hai Bid’at Se Bacho. Phir Farmaya : Mein Ne Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ko Is Se Ziyaada Kisi Aur Bid’at Ko Itna Naapasand Karte Hu’e Nahin Dekha. Aur Yeh Bhi Kaha Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Hazrat Aboo Bakr Siddiq, Hazrat ‘Umar Aur Hazrat ‘Uthman Ghani RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Ke Saath Namaz Padhi, Lekin Un Me Se Kisi Ko (بِسْمِ اللَّهِ) ‘Bismillah’ Zaahiran Kehte Hu’e Nahin Suna Lehaaza Tum Bhi Buland Aawaz Se Na Kaho Ja Namaz Padho To Sirf (ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَالَمِينَ) ‘Al-Hamdu-Lillahi-Rabbil-Aalamin’ Se (Qir’at) Shuru Karo.”
“Imam Tirmidhi Farmate Hain Ki Hazrat ‘Abd Allah Bin Mughaffal Kee Hadith Hasan Hai Aur Aksar As’habe Rasool Jin Me Hazrat Aboo Bakr, Hazrat ‘Umar, Hazrat ‘Uthman Ghani Aur Hazrat ‘Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Aur Ke Ilaawah Kaee Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Shaamil Hain Isee Par Amal Paira Rahe Aur Taabe’in Ka Bhi Isee Par Amal Hai. Sufiyan Sauri, Ibn Mubarak, Ahmad Aur Is’haq (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ) ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Ko Oonchi Aawaaz Se Padhna Jaa’iz Nahin Qaraar Dete Balki Farmate Hain Ki Aahista Padhni Chaahiye.”
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/12, Raqm-244,
Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 01/284,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-282, 283, Raqm-243.]
10/244. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mughaffal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Pichhe Aur Aboo Bakr Wa Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Pichhe Namaz Padhi Aur Kisi Ko Bhi (Buland Aawaz Se) (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ) ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Padhte Hu’e Na Suna.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/318, 323,
Nasa’i Fi As-Sunan, 02/99, Raqm-908,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/315, Raqm-980,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/54, 55,
Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/260, 261, Raqm-1161,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/52, Raqm-2248,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-283, Raqm-244.]
11/245. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Aboo Bakr, Uamar Wa Sman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Kee Iqtida’ Me Namaz Padhi, Yeh Tamaam Hazaraat (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ) ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Buland Aawaz Me Nahin Padhte They.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/322,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/179, 275,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/105, Raqm-1802,
Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/146, Raqm-923,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/52, Raqm-2249,
Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/262, Raqm-1167,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-283, 284, Raqm-245.]
12/246. “Hazrat Aboo Wa’il RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Ali Aur Hazrat Ammaar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma (Namaz Me) (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ) ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Padhte Waqt Aawaaz. Buland Nahin Karte They. ”
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/361, Raqm-4149,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-284, Raqm-246.]
13/247. “Hazrat Ibrahim Nakha’i RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Imam Ka Buland Aawaaz Me (بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيمِ) ‘Bismillahir Rahmanir Rahim’ Padhna Bid’at Hai.”
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/360, Raqm-4138,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-284, Raqm-247.]