Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-03 : ﴾Ibaadaat Aur Manaasik﴿

Nafli Rozo’n Ka Bayan

Fasl-05 :

Nafli Rozo’n Ka Bayan

46/164.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Noujawaano’n! Jo Tum Me Aurto’n Ke Huqooq Ada Karne Kee Taaqat Rakhta Hai To Woh Zaroor Nikaah Kare Kyun Ki Yeh Nigaah Ko Jhukaata Aur Sharmgaah Kee Hifaazat Karta Hai Aur Jo Nikaah Kee Taaqat Na Rakkhe To Us Ke Liye Zarooro Hai Ki Woh Roze Rakkhe, Be Shak Yeh Us Ke Liye (Buraa’i Se) Bachaaw Ka Zari’a Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/1950, Raqm-4779,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/673, Raqm-1806,

Muslim Fi As-Sahih, 02/1018,1019, Raqm-1400,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/219, Raqm-2046,

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/8169, Raqm-2239, 2241,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/592, Raqm-1845,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/425, Raqm-4035,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 09/335, Raqm-4026,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-229, Raqm-164.]

47/165.    “Hazrat Aboo Ayyub Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Ramadaan-ul-Mubarak Ke Roze Rakkhe, Phir Us Ke Baa’d Shawwal Ke Chhe-06 Roze Rakkhe Goya Us Ne ‘Umr Bhar Ke Roze Rakkhe.”

[Muslim Fi As-Sahih, 02/822, Raqm-1164, Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/132, Raqm-759, Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/324, Raqm-2433,

Ibn Majaha As-Sunan, 10/547, Raqm-1716,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/164, Raqm-2866,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/135, Raqm-3908,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/660, Raqm-1512,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-229, 230, Raqm-165.]

48/166.    “Hazrat ‘Ali Bin Abi Talib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Pandrah-15 Sha’baan Kee Raat Ho To Us Raat Ko Qiyaam Kiya Karo Aur Din Ko Roza Rakkha Karo Kyun Ki Allah Ta’ala Ghurube Aaftab Ke Waqt Aasmani Dunya Par Nuzool Farmata Hai Aur Farmata Hai : Kya Ko’i Meri Bakhshish Ka Taalib Hai Ki Mein Us Ko Bakhsh Doo’n?  Kya Ko’i Rizq Maangne Waala Hai Ki Mein Use Rizq Doo’n?  Kya Ko’i Bimaar Hai Ki Mein Use Shifa Doo’n? Kya Ko’i Ayse Hai? Ayse Hai?  Yaha’n Tak Ki Fajr Tulooa Ho Jaati Hai.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/44, Raqm-1388,

Kinani Fi Misbah Al-Zujajah Fi Zawa’id Ibn Majah, 02/10, Raqm-491,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/74, Raqm-1550,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-230, Raqm-166.]

49/167.    “Hazrat Aboo Qatadah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se ‘Aashura  Ke Roze Ke Mut’aliq Poochha Gaya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yeh Roza Guzishta Saal Ke Gunaaho’n Ko Mita Deta Hai.”

[Muslim Fi As-Sahih, 02/819, Raqm-1162, Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/126, Raqm-752, Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/321, Raqm-2425,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/553, Raqm-1738,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/150, Raqm-2796,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/308, Raqm-22674,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-231, Raqm-167.]

50/168.    “Hazrat Aboo Qatadah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Peer Ke Roze Ke Muta’alliq Poochha Gaya To Aaap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yeh Woh Din Hai Jis Me Meri Wiladate Ba Sa’adat Hu’i Aur Isi Din Mein Mab’oos Hua Ya Isi Din Mujh Par Qur’an Naazil Hua.”

[Muslim Fi As-Sahih, 02/819, Raqm-1162, Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/146, Raqm-2777,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/297, Raqm-22594,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/403, Raqm-3642,

‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 04/295, Raqm-7865,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/133, Raqm-144,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/300, Raqm-8259,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-231, Raqm-168.]

51/169.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Peer Aur Jumeraat Ko Aamaal (Baargaahe Ilahi Me) Pesh Ki’e Jaate Hain. Mein Chaahta Hoo’n Ki Mera Aamaal Roze Kee Haalat Me Pesh Ho.”

رواه الترمذي وابدالرزاق.

وقال الترمذي : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/122, Raqm-747,

‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 04/314, Raqm-7917,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/78, Raqm-1569,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-232, Raqm-169.]

52/170.    “Hazrat Aboo Qatadah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Yawme Arafa (Now-09 Zilhaja Ke Roze) Ke Muta’alliq Poochha Gaya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Yawme Arafa Ka Roza) Guzishta Aur Aainda Saal Ke Gunaaho’n Ka Kaffara Hai. (Tirmidhi Ke Alfaz Yeh Hain) Ki Yawme Arafa Ke Roza Ke Muta’alliq Mujhe Allah Ta’ala Se Ummid Hai Ki Woh Use Guzishta Aur Aainda Saal Ka Kaffara Bana Deta Hai.”

رواه مسلموالترمذي.

وقال أبوعيسى : حديث أبي قتادة حديث حسن.

[Muslim Fi As-Sahih, 02/819, Raqm-1162, Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/124, Raqm-749, Abo Dawud As-Sunan, 02/321, Raqm-2425,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/551, Raqm-1730,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/308, Raqm-22674,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-232, 233, Raqm-170.]

53/171.    “Hazrat Asma Bin Zayd RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne ‘Arz Kiya : Ya RasooAllah ﷺ!  Jis Qadar Aap Maahe Sha’baan Me (Nafli) Roze Rakhte Hain Us Qadar Mein Ne Aap Ko Kisi Aur Mahine Me (Nafli) Roze Rakhte Hu’e Nahin Dekha? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yeh Ek Aysa Mahina Hai Jo Rajab Aur Ramadaan Ke Darmiyan Me (Aata) Hai Aur Log Us Se Gaflat Barat’te Hain Haala’n Ki Is Mahine Me (Poore Saal Ke) Amal Allah Ta’ala Kee Taraf Uthaa’e Jaate Hain. Lehaaza Mein Chhahta Hoo’n Ki Mere Amal Roza Daar Hone Kee Haalat Me Uthaa’e Jaye.”

[Nasa’i Fi As-Sunan, 04/201, Raqm-2357, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/201, Raqm-21801,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 02/82,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/346, Raqm-9765,

Al-Bazzar Fi Al-Musnad, 07/69, Raqm-2617,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,04/108, Raqm-1319,

وقال : إسناده حسن.

Baghawi Fi Musnad Usamah, 01/123, Raqm-48,

Mahamili Fi Amali,li Amali, 01/416, Raqm-485,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-233, Raqm-171.]