Fasl-04 :
Ramzan-ul-Mubarak Ke Rozo’n Ka Bayan
33/151. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Ba Haalate Imaan Sawaab Kee Niyyat Se Ramadaan Ke Roze Rakhta Hai Us Ke Saabiqa Gunaah Bakhsh Di’e Jaate Hain.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/22, Raqm-38,
Muslim Fi As-Sahih,01/523, Raqm-760,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/49, Raqm-1372,
Nasa’i Fi As-Sunan, 04/157, Raqm-2203, 220,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/526, Raqm-1641,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-220, Raqm-151.]
34/152. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Ramadaan Shuru Hota Hai To Aasmaan Ke Darwaaze Khol Di’e Jaate Hain. (Aur Ek Riwaya Me Hai Ki) Jannat Ke Darwaje Khol Di’e Jaate Hain Aur Jahannam Ke Darwaaze Band Kar Di’e Jaate Hain Aur Shaytan (Zanjiro’n Me) Jakad Di’e Jaate Hain”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1194, Raqm-3103,
Muslim Fi As-Sahih, 02/758, Raqm-1079,
Nasa’i Fi As-Sunan, 04/126, 128, Raqm-2097, 2101,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/281, Raqm-7768,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-220, 221, Raqm-152.]
35/153. “Hazrat Aboo Huraira RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Farmaya : Bani Aadam Ka Har Amal Usi Ke Liye Hai Siwaaye Roze Ke. Roza Sirf Mere Liye Hai Aur Mein Hee Is Ka Badala Deta Hoo’n. Aur Roza Dhaal Hai Aur Jis Roz Tum Me Se Ko’i Roze Se Ho To Na Fahash Kalami Kare Aur Na Jhaghde Aur Agar Use (Rozaedaar Ko) Ko’i Gaali De Ya Lade To Yeh Woh Keh De Ki Mein Roze Se Hoo’n. Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ke Qabza-e Qudrat Me Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Jaan Hai! Rozedaar Ke Moo’nh Kee Boo Allah ‘Azza Wa Jalla Ko Mushk Se Ziyaada Pyari Hai. Rozedaar Ke Liye Do Khushiyan Hain, Jin Se Use Farhat Hoti Hai : Ek (Farhate Iftar) Jab Woh Roza Iftar Karta Hai, Aur Doosri (Farhate Deedar Kee) Jab Woh Apne Rabb Se Milega To Apne Roze Ke Ba’is Khush Hoga.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/673, Raqm-1805,
Muslim Fi As-Sahih, 02/807, Raqm-1151,
Nasa’i Fi As-Sunan, 04/2217, Raqm-2213, 2218,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/270, Raqm-8094,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-221, Raqm-153.]
36/154. “Hazrat Sahal Bin Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Kee Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jannat Me Ek Darwaaza Hai Jise Rayyan Kaha Jaata Hai. Qiyaamat Ke Din Roza Daar Us Me Se Daakhil Honge Aur Un Ke Siwa Us Darwaaze Se Ko’i Daakhil Nahin Hoga. Kaha Jaa’ega : Kaha’n Hain Roze Daar? Pas Woh Khade Honge, Un Ke Alawa Us Me Se Ko’i Aur Daakhil Nahin Ho Sakega. Jab Woh Daakhil Ho Jaa’ege To Use Band Kar Diya Jaa’ega, Phir Ko’i Aur Us Se Daakhil Nahin Ho Sakega.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/671, Raqm-1797,
Muslim Fi As-Sahih, 02/808, Raqm-1152,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/199,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/305, Raqm-8294,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/192, Raqm-5970,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-222, Raqm-154.]
37/155. “Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Riwayat Kee Ki Mein Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mujhe Ko’i (Aysa) Amal Bataayein (Jis Se Mein Jannat Me Daakhil Ho Jaaun) Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Roza Rakho, Us Ke Barabar Ko’i Amal Nahin Hai. Mein Ne ( Phir) ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mujhe Ko’i (Aur) Amal (Bhi) Bataaye Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Roza Rakho, Us Ke Barabar Ko’i Amal Nahin Hai.”
رواه النساءي وأحمد وابن خزيمة وابن حبان والحاكم.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
–
[Nasa’i Fi As-Sunan, -04/165, Raqm-2223,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/92, Raqm-2533,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/248, 249, Raqm-22194, 22195,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/194, Raqm-1893,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/213, Raqm-3426,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/582, Raqm-1533,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/297, Raqm-3587,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-222, 223, Raqm-155.]
38/156. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhare Paas Maahe Ramadaan Aaya. Yeh Mubarak Mahina Hai. Allah Ta’ala Ne Tum Par Is Ke Roze Farz Ki’e Hain. Is Me Aasmaano’n Ke Darwaaze Khol Di’e Jaate Hain Aur Jahannam Ke Darwaaze Band Kar Di’e Jaate Hain Aur Bade Shayaatin Jakad Di’e Jaate Hain. Is (Mahine) Me Allah Ta’ala Kee Ek Aysi Raat (Bhi) Hai Jo Hazaaro’n Mahino’n Se Afzal Hai Jo Is Ke Sawaab Se Mehroom Ho Gaya So Woh Mahrom Ho Gaya.”
“Aur Tabarani Ki Ek Riwayat Me Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Unhone Farmaya Ki Mein Ne Rsoolullah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Ramadaan-ul-Mubarak Ka Muqaddas Mahina Aa Gaya Hai. Is Me Jannat Ke Darwaaze Khol Di’e Jaate Hain Aur Dozakh Ke Darwaze Band Kar Di’e Jaate Hain. Is Me Se Shayaatin Ko (Zanjiro’n Me) Jakad Diya Jaata Hai. Woh Shakhs Bada Hee Bad Nasib Hai Jis Ne Ramadaan Ka Mahina Paaya Lekin Us Kee Bakhshish Na Hu’i. Agar Us Kee Is (Maghfirat Ke) Mahine Me Bhi Bakhshish Na Hu’i To (Phir) Kab Hogi?”
–
[Nasa’i Fi As-Sunan, 04/142, Raqm-2106,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/66, Raqm-2416,
Ibn Abi Shayba Al-Musannaf, 02/270, Raqm-8867,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat,07/323,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/60, Raqm-1492,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 03/143,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-223, 224, Raqm-156.]
39/157. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Roza Dhaal Hai Aur Dozakh Kee Aag Se Bachaaw Ke Liye Mahfooz Qil’a Hai.”
رواه أحمد بإسناد حسن والبيهقي.
“Aur Ek Riwayat Me Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Kiya Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Roza Dhaal Hai Us Ke Saath Banda Khud Ko Dozakh Kee Aag Se Bachaata Hai.” (1)
رواه أحمد بإسناد حسن والبزار والطبراني والبيهقي.
–
[Ahmad Bin Al-Musnad, 02/402, Raqm-9214,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/289, Raqm-3571,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/50, Raqm-1451,
وقال : إسناده حسن،
Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/271,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 03/180,
وقال : إسناده حسن.
(1) Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/396, Raqm-15299,
Bazzar An Ibn Abi Waqqas , 06/309, Raqm-2321,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 09/58, Raqm-8386,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/294, Raqm-3582,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhib, 02/50, Raqm-1452,
وقال : إسناد حسن.
Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/271,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 03/180,
وقال : رواه أحمد وإسناده حسن.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-224, Raqm-157.]
40/158. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Farmaya : Aadami Ka Har Amal Us Ke Liye Hai Aur Har Neki Ka Sawaab Das-10 Guna Se La Kar Saat Sau-700 Guna Tak Hai. Siwaaye Roze Ke Ki Woh Mere Liye Hai Aur Mein Hee Us Kee Jaza ‘Ata Karta Hoo’n, Yaqinan Woh (Roze Daar) Khaana Aur Shahwate Nafsani Ko Meri Wajah Se Tark Karta Hai Aur Apna Pina Aur Shahwat Meri Wajah Se Tark Karta Hai, Pas Woh (Roza) Mere Liye Hai Aur Mein Hee Us Kee Jaza ‘Ata Karta Hoo’n.”
–
[Darami Fi As-Sunan, 02/40, Raqm-1770,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/443, Raqm-9712,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/197, Raqm-1898,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhib, 02/47, Raqm-1442,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-225, Raqm-158.]
41/159. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Me Se Ko’i Shakhs Bhool Jaa’e Aur Khaa-Pee Le To Use Chaahiye Ki Woh Apna Roza Poora Kare Kyun Ki Use Allah Ta’ala Ne Hee To Khilaaya Aur Pilaaya Hai.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/682, Raqm-1831,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2455, Raqm-6292,
Muslim Fi As-Sahih, 02/809, Raqm-1155,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/535, Raqm-1673,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/425, Raqm-9485,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/244, Raqm-3275,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-225, 226, Raqm-159.]
42/160. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Har Ek Chiz Kee Zakaat Hai Aur Jism Kee Zakaat Roza Hai Aur Roza Aadha Sabr Hai.”
“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Namaz Padho, Najaat Paa Jaaoge Aur Zakaat Ada Karo Falaah Paa Jaa’oge Aur Roze Rakho, Shehat Wa Tandurasti Pawoge Aur Safar Karo Ghani Ho Jawoge.” (1)
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/555, Raqm-1745,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/193, Raqm-5973,
Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/162, Raqm-229,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/292, Raqm-3577,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/331, Raqm-4996,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhib, 02/51, Raqm-1459,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 03/182,
(1)Rabi’ Al-Musnad, 01/122, Raqm-291,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-226, Raqm-160.]
43/161. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs (Ba Haalate Roza) Jhoot Bolna Aur Us Par (Bure) Amal Karna Tark Na Kare To Allah Ta’ala Ko Us Kee Ko’i Zaroorat Nahin Ki Woh Khaana Peena Chhod De.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/673, Raqm-1804,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2251, Raqm-5710,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/87, Raqm-707,
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح،
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/307, Raqm-2362,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/539, Raqm-1689,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/238, Raqm-3247,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/452, Raqm-9838,
Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/414, Raqm-2831,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-226, 227, Raqm-161.]
44/162. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-SallamNe Farmaya : Roza Aur Qur’an Qiyamat Ke Roz Banda-e Momin Ke Liye Shafa’at Karenge. Roza ‘Arz Karega : Aye Mere Allah! Din Ke Waqt Mein Ne Is Ko Khaane Aur Shawat Se Roke Rakkha Pas Is Ke Haqq Me Meri Shafa’at Qabool Farma Aur Qur’an Kahega Mein Ne Raat Ko Ise Jagaaye Rakkha Pas Is Ke Haqq Me Meri Shafa’at Qabool Farma, Pas Dono’n Kee Shafa’at Qabool Kar Li Jaa’egi.”
رواه أحمد والحاكم.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/174, Raqm-6626,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/740, Raqm-2036,
Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/114, Raqm-385,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/346, Raqm-1994,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhib, 02/50, Raqm-1455,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 03/181,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-227, 228, Raqm-162.]
45/163. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Bayan Kee Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Sahri Ke Khaane Ke Zari’e Din Ka Roza (Poora Karne) Ke Liye Madad Lo Aur Qayloola (Do Pahar Ko Kuchh Deri Kee Nind) Ke Zari’e Raat Ke Qiyam Ke Liye Madad Lo.”
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/540, Raqm-1693,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/214, Raqm-1939,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/588, Raqm-1551,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhib, 02/89, Raqm-1620,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-228, Raqm-163.]