Fasl-03 :
Fazilate Sunan Aur Nawaafil Ka Bayan
21/139. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Farmata Hai : Jo Mere Kisi Wali Se Dushmani Rakkhe Mein Us Se E’lane Jang Karta Hoo’n Aur Mera Banda Aysi Kisi Chiz Ke Zari’e Mera Qurb Nahin Paata Jo Mujhe Fara’iz Se Ziyaada Mahboob Ho Aur Mera Banda Nafli Ibadat Ke Zari’e Barabar Mera Qurb Haasil Karta Rehta Hai Yaha Tak Ki Mein Us Se Mahabbat Karne Lagta Hoo’n Aur Jab Mein Us Se Mahabbat Karta Hoo’n To Mein Us Ke Kaan Ban Jaata Hoo’n Jis Se Woh Sunta Hai Aur Us Kee Aankh Ban Jaata Hoo’n Jis Se Woh Dekhta Hai Aur Us Ka Haath Ban Jaata Hoo’n Jis Se Woh Pakadta Hai Aur Us Ka Paaun Ban Jaata Hoo’n Jis Se Woh Chalta Hai Agar Woh Mujh Se Sawaal Karta Hai To Mein Use Zaroor ‘Ata Karta Hoo’n Aur Agar Woh Meri Panaah Maangta Hai To Mein Zaroor UsePanaah Deta Hoo’n. Mein Ne Jo Kaam Karna Hota Hai Us Me Kabhi Is Tarah Fikrmand Nahin Hota Jaise Banda-e Momin Kee Jaan Lene Me Hota Hoo’n. Use Maut Pasand Nahin Aur Mujhe Us Kee Taklif Pasand Nahin.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2384, Raqm-6137,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/58, Raqm-347,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/219,
Bayhaqi Fi Kitab-uz-Zuhd Al-Kabir, 02/269, Raqm-696,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-212, 213, Raqm-139.]
22/140. “Hazrat Rabi’ Bin Ka’b Aslami RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Raat Ko Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Raha Karta Tha Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Istinja’ Aur Wuzoo Ke Liye Paani Laata. Ek Martaba Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Maang Kya Mangta Hai” Mein Ne ‘Arz Kiya : Mein Aap Se Jannat Kee Rafaaqat Maangta Hoo’n, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Is Ke Ilaawah “Aur Kuchh” Mein Ne Kaha Mujhe Yahi Kaafi Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : To Phir Kasrate Sujud Se Apne Ma’amle Me Meri Madad Karo.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 01/353, Raqm-489,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/35, Raqm-1320,
Nasa’i Fi As-Sunan, 02/227, Raqm-1138,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/242, Raqm-724,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/59,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/56, Raqm-4570,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/486, Raqm-4344,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/152, Raqm-564,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-213, Raqm-140.]
23/141. “Umm-ul-Mu’minin Hazrat Ummi Habiba RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Riwayat Karti Hain Ki Mein Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Jo Bhi Musalman Allah Ta’ala Ke Liye Har Roz Baarah Rak’at Nafl Fara’iz Ke Ilaawah Ada Karta Hai, Allah Ta’ala Us Ka Ghar Jannat Me Bana Deta Hai Ya Jannat Me Us Ka Ghar Bana Diya Jaata Hai.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 01/503, Raqm-728,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/18, Raqm-1250,
Nasa’i Fi As-Sunan, 03/264, Raqm-1808,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/361, Raqm-1141,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/202, Raqm-1185,
Darami Fi As-Sunan, 01/397, Raqm-1438,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/327, Raqm-26818,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-213, 214, Raqm-141.]
24/142. “Umm-ul-Mu’minin Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Farmati Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Shakhs Ne Din Aur Raat Me (Fara’iz Ke Ilaawah) Baarah Rak’at Sunntein Ada Kee To Allah Ta’ala Us Ke Liye Jannat Me Makaan Banaayega. (In Sunnato’n Kee Tafsil Yeh Hai) Chaar⁴ Rak’atein Zohar Se Pehle Aur Do² Rak’aein Zohar Ke Baa’d, Do² Rak’atein Maghrib Ke Baa’d, Do² Rak’atein Isha Ke Baa’d Aur Do² Rak’atein Fajr Se Pehle.”
رواه الترمذي وأبوداود والنسائي وابن ماجه.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/274,Raqm-415, Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/18, Raqm-1251,
Nasa’i Fi As-Sunan, 02/119, Raqm-873,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/361, Raqm-1140,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/51, Raqm-5127,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih,02/204, Raqm-1188,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/456, Raqm-1173,
وقال : الإسنادين صحيحان.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-214, 215, Raqm-142.]
25/143. “Hazrat Zayd Bin Saabit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Logo’n! Apne Gharo’n Me Namaz Padha Karo Kyun Ki Siwaaye Farz Namaz Ke Aadami Ki Afzal Namaz Woh Hai Jo Woh Apne Ghar Mein Padhe.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/256, Raqm-798,
Muslim Fi As-Sahih,01/539, Raqm-781,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/274, Raqm-1044,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/211, Raqm-1203,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 06/238, Raqm-2491,
Darami Fi As-Sunan, 01/366, Raqm-1366,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-215, Raqm-143.]
فَضْلُ صَلَاةِ التَّهَجُّدِ
26/144. “Hazrat Aboo Salamah Bin ‘Abd-ir-Rahman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Unhone Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Daryaaft Kiya : Ramadaan-ul-Mubarak Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Namaz Kaysi Hoti Thi? To Unhone Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ramadaan-ul-Mubarak Me Aur Us Ke Ilaawah Bhi (Namaaze Tahajjud) Gyaarah Rak’at Se Ziyadahh Nahin Padhte They Chaar⁴ Rak’atein Padhte. To Un Ke Ada Karne Kee Khoobsoorati Aur Tawaalate (Qiyam) Ke Muta’alliq Kuchh Na Puchho. Phir Teen³ Rak’atein Padhte Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Farmaya : Mein Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Kya Aap Witr Padhne Se Pehle So Jaate Hain? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Aaishah! Be Shak Meri Aankhein Soti Hain Lekin Mera Dil Nahin Sota.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari As-Sahiih, 01/358, Raqm-1096,
Muslim Fi As-Sahih, 01/509, Raqm-738,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/302, Raqm-439, Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/40, Raqm-1341,
Nasa’i Fi As-Sunan, 03/234, Raqm-1697,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/159, Raqm-393,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/120, Raqm-263,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/36, Raqm-24119,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 01/30, Raqm-49,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/217,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 06/186,Raqm-2430,
‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 03/38, Raqm-4711,
Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 01/282,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-215, 216, Raqm-144.]
27/145. “Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Raat Ka Qiyam Apne Oopar Laazim Kar Lo Ki Woh Tum Se Pehle Ke Nek Logo Ka Tariqa Hai Aur Tumhare Liye Qurbe Khudawandi Ka Ba’is Hai Aur Bura’iyo’n Ko Mita Ne Waala Aur Gunaaho’n Se Rokne Waala Hai.”
رواه الترمذي والحاكم.
وقال أبو عيسى : هذا حديث أصح، وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/552, Raqm-3549,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/451, Raqm-1156,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/502, Raqm-4423,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/92, Raqm-7766,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-216, 217, Raqm-145.]
28/146. “Hazrat ‘Amr Bin ‘Abasah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna : Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah ‘Azza Wa Jalla Apne Bande Ke Sab Se Ziyaada Nazdeek Raat Ke Aakhiri Hisse Me Hota Hai Agar Tum Us Waqt Allah Ta’ala Ka Zikr Karne Waalo’n Me Shaamil Ho Sakte Ho To Zaroor Ho Jaao.”
رواه الترمذي والنساءي.
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/569, Raqm-3579,
Nasa’i Fi As-Sunan, 01/279, Raqm-572,
Nasa’i Fi As-Sunan, 02/226, Raqm-1137,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/182, Raqm-1147,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/453, Raqm-1162,
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح،
Bayhqi As-Sunan-ul-Kubra, 03/04, Raqm-4439,
Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 01/349, Raqm-605,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/245, Raqm-933,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-217, Raqm-146.]
29/147. “Hazrat Asma’ Bint Yazeed RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Log Qiyaamat Ke Din Ek Maydan Me Ikat’the Ki’e Jaa’ege Aur Ek Munaadi Elan Karega, Jin Logo’n Kee Karwatein (Apne Rabb Kee Yaad Me) Bistaro’n Par Na Lagti Thi, Woh Kaha’n Hain? Woh Khade Ho Jaa’enge, Un Kee Ta’daad Bohat Kam Hogi Aur Woh Jannat Me Baghayr Hisaabo Kitaab Ke Daakhil Ho Jaa’ege Phir Baaqi (Bach Jaane Waale) Logo’n Ke Hisaab-o Kitaab Ka Hukm Jaari Kar Diya Jaa’ega.”
–
[Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/169, Raqm-3244, 693, 3246,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/433, Raqm-3508,
Ibn Mubarak Fi Kitab-uz-Zuhd, 01/101, Raqm-353,
Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 14/102,
Tabari Fi Jaame’-ul-Bayani ‘An Ta’wili Aayi-‘l-Qur’an Tafsir-ut-Tabari, 30/186,
Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 03/461,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-217, 218, Raqm-147.]
فَضْلُ صَلَاةِ الإِشْرَاقِ
30/148. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Sub’h Kee Namaz Ba Jam’a’at Padh Tuloo-e Aaftab Tak Baitha Allah Ta’ala Ka Zikr Karta Raha Phir Do² Rak’at Namaz (Isharaaq) Ada Kee Us Ke Liye Kaamil (Wa Maqbool) Hajj Aur Umrah Ka Sawaab Hai. Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Lafz ‘Taammah’ Ya’ni ‘Kaamil’ Teen³ Baar Farmaya.”
رواه الترمذي والطبراني والبيهقي.
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/481, Raqm-586,
Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/42, Raqm-885,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 07/138, Raqm-9762,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/178, Raqm-667,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-218, Raqm-148.]
فَضْلُ صَلَاةِ الضُّحَى
31/149. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Chaasht Kee Do² Rak’at Kee Paabandi Karta Hai, Us Ke Gunaah Bakhsh Di’e Jaate Hain Chaahe Samandar Ke Jhaag Ke Baraabar Ho’n.”
رواه الترمذي وابن ماجه.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/341, Raqm-476,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/440, Raqm-1382,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/443, Raqm-9714,
Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 01/338, Raqm-329,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/264, Raqm-996,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-218, 219, Raqm-149.]
فَضْلُ صَلَاةِ الْاَّوَّابِيْنَ
32/150. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Bayan Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Maghrib Kee Namaz Ke Baa’d 06 Nafl Is Tarah Padhe Ki Un Ke Darmiyan Ko’i Buri Baat Naa Kare Us Ke Liye Yeh Nafl Baarah Saal Kee Ibadat Ke Barabar Shumaar Honge.”
رواه الترمذي وابن ماجه.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/298, Raqm-435,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/369, Raqm-1167,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/227, Raqm-862,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-219, Raqm-150.]