Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-01 : ﴾Iman, Islam Aur Ehsan﴿

Kufr Aur Nifaaq Kee ‘Alaamaat Ka Bayaan

Fasl-09 :

Kufr Aur Nifaaq Kee ‘Alaamaat Ka Bayaan

54/54.       “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Musalman Ko Gaali Dena Fisq Hai Aur Us Ke Saath Qitaal Karna Kufr Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/27, Raqm-48,

Muslim Fi As-Sahih, 01/81, Raqm-64,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/353, Raqm-1983,

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/121, Raqm-4105,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/27, Raqm-Raqm-69,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/411, Raqm-3903,

Bazzar Fi Al-Musnad, 04/13, Raqm-1172,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-132, Raqm-54.]

55/55.       “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmate Hain Ki Qiyaamat Ke Roz Qafir Ko Pesh Kiya Jaa’ega To Us Se Kaha Jaa’ega Ki Agar Tere Paas Itna Sona Ho Ki Us Se Zameen Bhar Jaa’e To Kya Tum Use Apni Rihaa’i Ke Badale Me Fidya Dene Ko Taiyaar Jo Jaate? Woh Kahega : Ha’n! To Us Se Kaha Jaa’ega Ki Tujh Se Us Kee Nisbat Bohat Aasaan Cheez Maamgi Ga’i Thi (Aur Toone Inkaar Kar Diya Tha).“

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2395, Raqm-6173,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2161, Raqm-2805,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/291, Raqm-14139,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/348, Raqm-7351,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/118, Raqm-7026,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/304, Raqm-2926,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-132, 133, Raqm-55.]

56/56.       “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Ko’i Shakhs Apne (Musalman) Bhaai Ko Kafir Kehta Hai To Dono’n Me Se Ko’i Ek Shakhs Us Kufr Ke Saath Lauta (Ya’ni Agar Jise Kaha Gaya Woh Kafir Na Hua To Kehne Waala Khud Kafir Ho Jaa’ega).”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2264, Raqm-5753,

Muslim Fi As-Sahih, 01/79, Raqm-60,

Malik Fi Al-Muwatta’, 02/984, Raqm-1777,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad,  02/18, Raqm-4687,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/32, Raqm-54,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/157, Raqm-439,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-133, Raqm-56.]

57/57.       “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Dunya Momin Ke Liye Qaidkhaana Aur Kafir Ke Liye Jannat Hai.”

رواه مسلم والترمذي.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2272, Raqm-2956,

Tirmidhi Fi As-Sunan,  04/526, Raqm-2324,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1378, Raqm-4113,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/323, Raqm-8272,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/462, Raqm-687,

Hakim An Salman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Al-Mustadrak,

هذا حديث صحيح الإسناد.

03/699, Raqm-6545,

Bazzar An Salman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Fi Al-Musnad, 06/461, Raqm-2498,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-133, 134, Raqm-57.]

58/58.       “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Yaha’n Ek Kafir Mehman Hua. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Ke Liye Ek Bakri Ka Doodh Doohne Ka Hukm Diya To Woh Doohi Ga’i To Woh Tamam Doodh Pee Gaya, Doosri Bakri Ka Hukm Diya Woh Doohi Ga’i To Use Bhi Pee Gaya. Phir Ek Aur Doohi Ga’i To Use Bhi Pee Gaya Yaha’n Tak Ki Saat Bakriyo’n Ka Doodh Pee Gaya. Doosri Sub’h Woh Islam Le Aaya. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Ke Liye Bakri Doohne Ka Hukm Diya To Us Ne Doodh Pee Liya Phir Doosri Bakri Doohne Ka Hukm Diya GayaWoh Doohi Ga’i To Woh Us Ka Saara Doodh Na Pee Saka. Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Momin Ek Aant Me Peeta Hai Aur Kafir Saat Aanto’n Se Peeta Hai.”

رواه مسلم والترمذي واللفظ له.

[Muslim Fi As-Sahih, 03/1632, Raqm-2063,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/267, Raqm-1819,

Malik Fi Al-Muwatta’, 02/964, Raqm-1648,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/200, Raqm-6893,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/375, Raqm-8866,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/379, Raqm-162,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-134, Raqm-58.]

59/59.       “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Allah Ta’ala Neki Ke Hawale Se Momin Par Zulm Nahin Farmata. Dunya Me Bhi Us (Momin) Ko Us (Neki) Ka Ajr Diya Jaata Hai Aur Aakhirat Me Bhi Us Ka Ajr Diya Jaata Hai. Raha Kafir, To Us Ne Dunya Me Jo Allah Ta’ala Ke Liye Nekiya’n Kee Hain Un Ka Ajr Use Dunya Me Hee De Diya Jaa’ega Aur Jab Woh Aakhirat Me Pahonchega To Us Ke Paas Ko’i Neki Nahin Hogi Jis Kee Use Jaza Dee Jaa’e.”

رواه مسلم وأحمد.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2126, Raqm-2808,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/283, Raqm-14050,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/101, Raqm-377,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/269, Raqm-2011,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/357, Raqm-7028,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-135, Raqm-59.]

60/60.       “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Mere Baaad Kufr Kee Taraf Na Laut Jaana Ki Tum Me Se Ba’z, Ba’z Kee Gardane Udaane Lage.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2594, Raqm-6668,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/269, Raqm-4166,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 06/283,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-135, Raqm-60.]

61/61.       “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Un Fitno’n Ke Waake’a Hone Se Pehle Nek Aamaal Kar Lo Jo Andheri Raat Kee Tarah Chha Jayege, Ek Shakhs Sub’h Momin Hoga Aur Shaam Ko Kafir Ho Jaa’ega Ya Shaam Ko Momin Hoga Aur Sub’h Kafir Ho Jaa’ega Aur Maamooli See Duniyawi Faayde Ke Ewaz Apni Mata-e Iman (Iman Kee Poonjee) Farokht Kar Daalega.”

رواه مسلم والترمذي.

[Muslim Fi As-Sahih, 01/110, Raqm-118,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/487, Raqm-2195,

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/96, Raqm-6704,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/303, Raqm-8017,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-136, Raqm-61.]

62/62.       “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Qur’an Majeed Me (Manmaani Tahreefaat-Wa-Taawilaat Kar Ke) Jhagada Karna Kufr Hai.”

رواه أبوداود والنساءي وأحمد.

إسناده حسن.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/199, Raqm-4603,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/33, Raqm-8093,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/300, Raqm-7976,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 04/324, Raqm-1464,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/61, Raqm-2478,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/157,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-136, Raqm-62.]

63/63.       “Hazrat Ubaada Bin Saamit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kafir Kee Maut Aati Hai To Use Allah Ta’ala Ke ‘Azaab Aur Us Kee Narazagi Kee Khabar Dee Jaati Hai. Pas Jo Cheez Bhi Us Ke Saamne Hoti Hai Woh Use Sakht Napasand Ho Jaati Hai So Woh Allah Ta’ala Se Milna Bhi Napasand Karta Hai Aur Allah Ta’ala Us Se Milna Napasand Karta Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2386, Raqm-6142,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/107, Raqm-12066,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/279, Raqm-3009,

Darami Fi As-Sunan, 02/402, Raqm-2756,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/171, Raqm-5298,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-137, Raqm-63.]

64/64.       “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Munafiq Kee Teen³ Nishaniya’n Hoti Hai Jab Baat Kare To Jhuth Bole, Waada Kare To Khilaafwarzi Kare Aur Us Ke Paas Amaanat Rakhi Jaa’e To Khayaanat Kare.”

Muttafaque ‘Alayh

“Aur Muslim Ne Apni Riwayat Me “آية المنافق ثﻻث“ Ke Baa’d In Alfaaz Ka Izaafa Kiya Hai : Agarche Roza Rakkhe, Namaz Padhe Aur Apne Aap Ko Musalman Khayaal Kare.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/21, Raqm-33,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/952, Raqm-2536,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1010, Raqm-2598,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2262, Raqm-5744,

Muslim Fi As-Sahih, 01/78, Raqm-59,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/19, Raqm-2631, وحسنه ،

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/116, Raqm-5021,

Nasa’i Fi As-Sunan, As-Sunan-ul-Kubra, 06/329, Raqm-11127,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/357, Raqm-8670,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-137, 138, Raqm-64.]

65/65.       “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Chaar⁴ Baate’n Jis Me Ho Woh Khaalis Munafiq Hai Aur Jis Ke Andar Un Me Se Ko’i Ek Ho To Us Me Us Me Nifaq Kee Ek Khaslat Hai Yaha’n Tak Ki Use Chhod De (Woh Khaslate Yeh Hain) : Jab Amaanat Us Ke Supurd Kee Jaye To Khayaanat Kare, Jab Baat Kare To Jhoot Bole, Jab Waada Kare To Khilaafwarzi Kare Aur Jhagde To Behoodaago’i (Gaali Galouch) Kare.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/21, Raqm-34,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/868, Raqm-2327,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1160, Raqm-3007,

Muslim Fi As-Sahih, 01/78, Raqm-58,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/19, Raqm-2632,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/221, Raqm-4688,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/16, Raqm-5020,

Nasa’i F As-Sunan-ul-Kubra, 05/224, Raqm-8734,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/189, Raqm-6768,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/488, Raqm-254,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/230,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-138, Raqm-65.]

66/66.       “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ansaar Se Mahabbat Iman Kee Nishaani Hai,  Aur Ansaar Se Bughz Munafiqat Kee Alaamat Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/14, Raqm-17,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1379, Raqm-3573,

Muslim Fi As-Sahih, 01/85, Raqm-74,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/116, Raqm-5019,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/534, Raqm-8331,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/70, Raqm-11686, 12338, 12392, 13632,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad,  07/190, Raqm-4175, 4308,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-139, Raqm-66.]

67/67.       “Hazrat Ummi Salmah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmaya Karte They : Ko’i Munafiq , Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Mahabbat Nahin Karta Aur Ko’i Momin Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Bughz Nahin Rakhta.”

رواه الترمذي وأبو يعلى.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/635, Raqm-3717,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/362, Raqm-6931,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 23/375, Raqm-886,

Aboo Mahasin Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 02/247,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-139, Raqm-67.]

68/68.       “Hazrat Zirr Bin Hubaish RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya : Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ne Daana Cheera Aur Jis Ne Jaandaaro’n Ko Paida Kiya! Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mujh Se Ahad Farmaya Tha Ki Mujh Se Sirf Momin Mahabbat Rakhega Aur Sirf Munafiq Hee Mujh Se Bughz Rakhega.”

رواه مسلم والنساءي.

“Aur Ek Riwayat Me Inhin (Hazrat Zirr Bin Hubaish RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu) Se Marwi Hai Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mujh Se Ahad Farmaya : (Aye Ali!) Tujh Se Momin Hee Mahabbat Rakhega Aur Tujh Se Munafiq Hee Bughz Rakhega.”(1)

رواه الترمزي والنساءي وابن ماجه.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Muslim Fi As-Sahih, 01/86, Raqm-78,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/47, Raqm-32064,

Bazzar Fi Al-Musnad, 02/182, Raqm-560,

وقال : إسناده أحسن،

Saydawi Fi Mu’jam Al-Shuyookh, 01/237, Raqm-192,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/250, Raqm-291,

Ibn Mandah Fi Al-Iman, 02/607, Raqm-532,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/598,

Bayhaqi Fi Al-I’tiqad,01/354,

(01) Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/643, Raqm-3736,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/115, Raqm-5018,

Nasa’i Fi As-Sunan, 06/117, Raqm-5022,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/137, Raqm-8486, 11753,

Ibn Majah As-Sunan Al-Muqaddiamh, 01/42, Raqm-114,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/347, Raqm-445,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-140, Raqm-68.]