Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-01 : ﴾Iman, Islam Aur Ehsan﴿

Mohsin Kee ‘Alaamaat Aur Sifaat Ka Bayaan

Fasl-08 :

Mohsin Kee ‘Alaamaat Aur Sifaat Ka Bayaan

49/49.       “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hame’n Sadqa Karne Ka Hukm Diya. Ittefaaq Se Us Waqt Mere Paas Maal Tha, Mein Ne Kaha : Agar Mein Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Sabqat Le Ja Sakta Hoo’n To Aaj Le Jaoo’nga. Farmate Hain Ki Phir Mein Nisf (Aadha) Maal Le Kar Haazir Hua. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Apne Ghar Waalo’n Ke Liye Kya Chhoda Hai? Mein Ne ‘Arz Kiya : Is (Maal) Ke Barabar Hee, Itne Me Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Saara Maal Le Kar Haazir Hu’e. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aboo Bakr! Ghar Waalo’n Ke Liye Kya Chhoda Hai? ‘Arz Kiya Un Ke Liye Allah ‘Azza Wa Jalla Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Chhod Aaya Hoo’n. Mein Ne (Dil Me) Kaha : BaKhuda! Mein Kabhi Un Se Kisi (Nek) Baat Me Aage Nahin Badh Sakunga.”

رواه الترمذي وأبو داود.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 06/52, Raqm-3675,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/129, Raqm-1678,

Darami Fi As-Sunan, 01/480, Raqm-1660,

Bazzar Fi Al-Musnad, 01/263, Raqm-159,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,01/173, Raqm-81,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/33, Raqm-14,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/579, Raqm-1240,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-128, Raqm-49.]

50/50.       “Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mujhe Farmaya : Tum Jaha’n Bhi Ho Allah Ta’ala Se Darte Raho, Gunaah Ke Baa’d Neki Kiya Karo Woh Use Mita Degi Aur Logo’n Se Achchhe Akhlaqe Hasna (Achchhe Akhlaaq) Ke Saath Pesh Aaya Karo.”

رواه الترمذي والدارمي وأحمد.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi As-Sunam, 04/355, Raqm-1987,

Darami Fi As-Sunan, 02/415, Raqm-2791,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/153, Raqm-21392,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/144, Raqm-296,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/211, Raqm-25324,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/416, Raqm-4022,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-129, Raqm-50.]

51/51.       “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala (Firishto’n Se) Farmata Hai : Jab Mera Banda Bure Kaam Ka Iraada Kare To Us Kee Ko’i Buraa’i Na Likho, Jab Tak Kie Woh Us Buraa’i Ko Na Kar Le Aur Jab Woh Buraa’i Kar Le To Us Ke Barabar Hee (Gunaah) Likho, Aur Agar Meri Wajeh Se Tark Kar De To Us (Tarke Gunaah) Ko Us Ke Liye Ek Neki Likh Do, Aur Jab Us Ne Neki Ka Iraada Kiya Magar Neki Na Kar Saka To Us Ke Liye Ek Neki Likh Do Aur Agar Woh Use Kar Le To Us Neki Ko Us Ke Liye Das-10 Guna Se Saat Sau-700 Guna Tak Likho.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2724, Raqm-7062,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2380, Raqm-6126,

Muslim Fi As-Sahih, 01/117, Raqm-128, 131,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/261, Raqm-3073,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/103, 105, Raqm-379, 382,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/315, Raqm-8151,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/265, Raqm-865,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/300, Raqm-336,

Bayhaqi Fi  Shu’ab-u-Iman, 05/389, Raqm-7043, 7046,

Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/81, Raqm-239, 242,

Aboo Nu’aym Fi Al-Musnad Al-Mustakhraj, 01/27, Raqm-235,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/27, Raqm-21, 24,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 03/182,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-129, 130, Raqm-51.]

52/52.       “Hazrat ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Ek Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mein Mohseen Kab Banuga? Farmaya : Jab Tera Padausi Tujh Se Kahe Ki Too Mohseen Hai To Too Mohseen Hai, Aur Jab Woh Tujhe Kahe Ki Too Bura Hai To Bura Hai.”

رواه ابن ماجه وابن حبان واللفظ له.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1411, Raqm-4222, 4223,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/284, Raqm-525,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/534, Raqm-1399,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 07/75, Raqm-1399,

Husayni Al-Bayan Wal-Ta’reef, 01/48, Raqm-97,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 01/244,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-130, 131, Raqm-52.]

53/53.       “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Jab Awwalin Wa Aakhireen Ke Logo’n Ko Jam’a Farma’ega To Ek Pukarne Waala Arsh Ke Paayo’n Tale Ek Maidan Se Sada Dega : Kaha’n Hain Allah Ta’ala Kee Ma’refat Rakhne Waale? Kaha’n Hai Saahibane Ehsan? Farmaya : Logo’n Me Se Ek Giroh Allah Ta’ala Ke Saamne Aa Khada Hoga. Phir Woh (Ya’ni Allah Ta’ala) Farma’ega, Hala’n Ki Woh Behtar Jaan’ne Waala Hai : Tum Koun Ho? Phir Woh Log Kahege : Hum Ahle Ma’refat Hain, Jinhe’n Too Ne Apni Ma’refat ‘Ata Kee Aur Hame’n Is Ma’refat Ka Ahal Banaya, To Allah Ta’ala Farma’ega : Toom Ne Sach Kaha, Phir Doosre Giroh Se Poochhega : Toom Koun Ho? Woh ‘Arz Karenge : Hum Saahibane Ehsan Hain. Allah Ta’ala Farma’ega : Tum Ne Sach Kaha, Mein Ne Apne Nabi Se Farmaya Tha : ‘Saahibane Ehsan Par Ilzaam Kee Ko’i Raah Nahin.’  Lihaza Tum Par Bhi (Ta’nazani Kee) Ko’i Raah Nahin. Meri Rahmat Ke Saath Seedhe Jannat Me Daakhil Ho Jaao. Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Tabassum Farmaya Aur Irshad Farmaya : Yaqeenan Allah Ta’ala Inhe’n Qiyaamat Ke Ahwaal Aur Sakhtiyo’n Se Nijaat De Dega.”

رواه أبونعيم في كتاب الأربعين.

[Aboo Nu’aym Fi Kitab-ul-Arba’iyn ‘Ala Madh’hab Al-Mutahaqqiqin Min As-Sufiyyah, Yalihi Al-Juz’ Al-Khamis Min Kitab Al-Du’a’ Wa Al-Da’iyn, 01/100, Raqm-51,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 01/420, Raqm-04,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-131, Raqm-53.]