Fasl-06 :
Musalman Ke Musalman Par Huqooq Ka Bayan
40/40. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ek Musalman Ke Doosre Musalman Par Paanch-05 Haqq Hain : Salam Ka Jawab Dena, Beemar Kee Iyaadat Karna, Us Ke Janaaze Ke Saath Jaana, Us Kee Da’wat Qubool Karna Aur Chheenk Ka Jawaab Dena.”
Muttafaque ‘Alayh.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/418, Raqm-1183,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1704, Raqm-2162,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/476, Raqm-241,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/550, Raqm-1292,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/64, Raqm-10049,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/461, Raqm-6435,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/540, Raqm-10979,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-120, Raqm-40.]
41/41. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ek Musalman Ke Doosre Musalman Par Chhe-06 Haqq Hain : ‘Arz Kiya Gaya Ya RasoolAllah ﷺ! Woh Koun Se Haqq Hain? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Too Musalmqn Se Mile To Use Salam Kar Jab Woh Tujhe Da’wat De To Qubool Kar, Aur Jab Woh Tujh Se Mashwira Chaahe To Use Achchha Mashwira De, Aur Jab Woh Chheenke Aur Al-Hamdu Lillah Kahe To Too Bhi Jawaab Me (YarhamukAllah) Keh, Aur Jab Beemar Ho To Us Kee Teemardari Kar, Aur Jab Woh Fout Ho Jaa’e To Us Ke Janaaze Ke Saath Shaamil Ho.”
رواهمسلم والدارمي.
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/1705, Raqm-2162,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/477, Raqm-242,
Darami Fi As-Sunan, 02/357, Raqm-2633,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/372, Raqm-8832,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 05/347, Raqm-10691,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-120, 121, Raqm-41.]
42/42. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Apne Bhai Kee Madad Karo Chaahe Woh Zaalim Ho Ya Mazloom. Ek Shakhs Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Agar Woh Mazloom Ho Tab To Mein Us Kes Madad Karoo’n Lekin Mujhe Yeh Bata’iye Ki Jab Woh Zaalim Ho Tab Mein Us Kee Madad Kaise Karoo’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Use Zulm Se Baa’z Rakho, Ya Farmaya : Use (Is Zulm Se) Roko, Kyon Ki Yeh Bhi Us Kee Madad Hai.”
رواه البخاري ونحوه مسلم والترمذي.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2550, Raqm-6552,
Bukhari Fi As-Sahih, 02/863, Rqam-2311, 2312,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1998, Raqm-2584,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/523, Raqm-2255,
Darami Fi As-Sunan, 02/401, Raqm-2753,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 11:580, Raqm-5166, 5168,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/99, Raqm-11967, 13101, 13507,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/202, Raqm-649, 779,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/94, Raqm-11289, 11290,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-121, 122, Raqm-42.]
43/43. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Qiyaamat Ke Din Allah Ta’ala Farma’ega : Aye Ibn Aadam! Mein Beemar Hua Aur Too Ne Meri Mizaaj Pursee Nahin Ked. Banda ‘Arz Karega : Aye Parwardigaar! Mein Teri Beemar Pursee Kaise Karta Jab Ki Too Khud Saare Jahaano’n Ka Paalne Waala Hai? Irshad Hoga : Kya Tujhe Maaloom Nahin Ki Mera Fula’n Banda Beemar Hua Aur Too Ne Us Kee Mizaaj Pursee Nahin Kee. Kya Too Nahin Jaanta Ki Agar Too Us Kee Beemar Pursee Karta To Mujhe Us Ke Paas Maujood Paata? Aye Ibn Aadam! Mein Ne Tujh Se Khaana Talab Kiya Aur Too Ne Mujhe Khaana Na Khilaaya. Banda ‘Arz Karega : Aye Parwardigaar! Mein Tujhe Khaana Kaise Khilaata Jab Ki Too Khud Tamaam Jahaano’n Ka Palanhar Hai? Irshad Hoga : Kya Tujhe Maaloom Nahin Ki Mere Fula’n Bande Ne Tujh Se Khaana Maanga Aur Too Ne Use Khaana Nahin Khilaaya? Kya Too Nahin Jaanta Ki Agar Too Use Khaana Khilaata To Us Ka Sawaab Meri Bargah Se Paata? Aye Ibn Aadam! Mein Ne Tujh Se Paani Maanga Aur Too Ne Mujhe Paani Nahin Pilaaya. Banda ‘Arz Karega : Parwardigaar! Mein Tujhe Paani Kaise Pilaata Jab Ki Too Rabbul Aalameen Hai? Irshad Hoga : Mere Fula’n Bande Ne Tujh Se Paani Maanga Aur Too Ne Use Paani Nahin Pilaaya. Kya Tujhe Maaloom Nahin Ki Agar Too Use Paani Pilaata To Us Ka Sawaab Tujhe Meri Bargah Se Milta.”
رواه مسلم والبخاري في الأدب.
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/1990, Raqm-2569,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01:182, Raqm-518,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/503, Raqm-269, 944, 7366,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/534, Raqm-9182,
Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 01/115, Raqm-28,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/37, Raqm-1406,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-122, 123, Raqm-43.]