Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-01 : ﴾Iman, Islam Aur Ehsan﴿

Musalman Kee ‘Alaamaat Aur Sifaat Ka Bayan

Fasl-05 :

Musalman Kee ‘Alaamaat Aur Sifaat Ka Bayan

34/34.       “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Ek Aadami Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se ‘Arz Kiya : Koun Sa Musalman Afzal Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Kee Zubaan Aur Haath Se Doosre Musalman Mahfooz Ho’n.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2379, Raqm-6119,

Muslim Fi As-Sahih, 01/65, Raqm-39,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/124, Raqm-399,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-116, Raqm-34.]

35/35 .      “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-SallamNe Farmaya : Musalman Woh Hai Jis Kee Zubaan Aur Haath Se Doosre Musalman Mahfooz Ho’n, Aur Haqeeqi Muhaazir Woh Hai Jis Ne In Kaamo’n Ko Chhod Diya Jin Se Allah Ta’ala Ne Mana Farmaya Hai.”

رواه البخاري.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/13, Raqm-10,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/04, Raqm-2481,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/105, Raqm-4996,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/467, Raqm-230,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/163, Raqm-6515,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-116, 117, Raqm-35.]

36/36 .      “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Musalman Woh Hai Jis Kee Zubaan Aur Haath Se Musalman Mahfooz Rahe’n, Aur Momin Woh Hai Jis Se Logo’n Kee Jaanein Aur Maal Mahfooz Ho’n.”

رواه الترمذي والنساءي.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/17, Raqm-2627,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/104, Raqm-4995,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/406, Raqm-180,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/379, Raqm-8918,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-117, Raqm-36.]

37/37.       “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ek Musalman Doosre Musalman Ka Bhai Hai, Woh Na To Us Par Zulm Karta Hai Na (Mushkil Halat Me) Use Be Yaaro Madadgaar Chhodta Hai. Jo Shakhs Apne (Musalman) Bhai Ke Kaam Aata Rehta Hai Allah Ta’ala Us Ke Kaam Me (Madad Karta) Rehta Hai Aur Jo Shakhs Kisee Musalman Ko Duniyawi Mushkil Hal Karta Hai, Allah Ta’ala Us Kee Ukharawee (Aakhirat Kee) Mushkilaat Me Se Ko’i Mushkil Hal Farma’ega Aur Jo Shakhs Kisi Musalman Kee Pardaposhi Karta Hai Allah Ta’ala Qiyaamat Ke Din Us Kee Pardaposhi Farma’ega.”

 رواه البخاري ومسلم والترمذي وحسنه.

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/862, Raqm-2310,

Muslim Fi As-Sahih, 04/1996, Raqm-2580,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/34, Raqm-1425,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/273, Raqm-4893,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/309, Raqm-7291,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/91, Raqm-5646,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-117, 118, Raqm-37.]

38/38 .      “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ek Doosre Se Hasad Naa Karo Aur Ek Doosre Ko Dhoka Na Do Aur Ek Doosre Se Bughz Na Rakho Aur Ek Doosasre Se Rookh Na Modo, Aur Tum Me Se Ko’i Shakhs Doosre Ke Saude Par Apna Sauda Na Kare. Aye Allah Ta’ala Ke Bando! Baaham Bhai Bhai Ho Jawo. Musalman Musalman Ka Bhai Hai, Woh Us Par Na To Zulm Karta Hai Aur Na Use Jaleel Karta Hai, Aur Na Hee Use Haqeer Samajhta Hai. Taqwa Aur Parhezgaari Yaha’n Hai ( Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Teen Martaba Apne Seenae Aqdas Kee Taraf Ishara Kiya) Kisi Musalman Ke Liye Itni Bura’i Kafi Hai Ki Woh Apne Kisi Musalman Bhai Ko Haqeer Samjhe. Ek Musalman Par Doosre Ka Khoon, Us Ka Maal Aur Us Kee ‘Izzat (Wa Aabaroo Paamaal Karna) Haram Hai.”

رواه مسلم وأحمد.

[Muslim Fi As-Sahih, 04/1986, Raqm-2564,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/277, Raqm-7713,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/420, Raqm-1442,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/92, Raqm-11276,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/280, Raqm-6660,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/470, Raqm-4006,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam, 01/326,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,10/483,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-118, 119, Raqm-38.]

39/39.       “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Musalman, Musalman Ka Bhai Hai Woh Na Us Se Khayanat Karta Hai Aur Na Us Se Jhooth Bolta Hai Aur Na Use Zaleel Karta Hai. Har Musalman Par Doosre Musalman Kee ‘Izzat (Keee Paamaali) Us Ka Maal Aur Us Ka Khoon Haraam Hai. (Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Qalbe At’har Kee Taraf Ishaara Karte Hu’e Farmaya: ) Taqwa Yaha’n Hai, Kisi Musalman Ke Liye Itni Bura’i Hee Kaafi Hai Kie Woh Apne Kisi Musalman Bhai Ko Haqeer Samjhe.”

رواه الترمذي وحسنه.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/325, Raqm-1927,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/326,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-119, Raqm-39.]