Barhwi’n Fasl
Imam ‘Alayh-is-Salam Roo’e Zameen Par Baarahwe’n Aur Aakhiri Khalifatullah Honge
١. عن جابر بن سمرة رضي الله عنه قال : سمعت رسول اﷲ يقول : لايزال هذا الدين قائماً حتي يکون عليکم اثنا عشر خليفة کلهم تجتمع عليه الامة. فسمعت کلاماً من النبي صلي الله عليه وآله وسلم لم افهمه، قلتُ لأبي : ما يقول؟ قال : کلهم من قريش.
01. Hazrat Jabir Bin Samurah RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Unhone Farmaya Mein Ne RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Irshaad Farmate Hu’e Suna “Yeh Deen Qaa’im Rahega Yaha’n Tak Ki Tum Par Baarah Khulafa’ Honge. Un Tamam Par Ummat Mujtama’ Hogi Phir Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se (Kuchh) Guftagu Suni Jise Mein Samajh Na Saka. To Mein Ne Apne Baap Se Arz Kiya. Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kya Irshaad Farma Rahe Hain Mere Baap Ne Bataaya Ki Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshaad Farmaaya Hai “Woh Tamaam (Baarah Khulafa’) Quraysh Se Honge”.
–
[Aboo Dawud, Al-Sunan, 04 : 106, Raqm : 4289,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 64.]
٢. عن جابر بن سمرة رضي الله عنه قال : سمعت رسول اﷲ يقول : لايزال هذا الدين عزيزا الي اثني عشر خليفة قال : فکبر الناس و ضجوا، ثم قال کلمة خفية قلت لابي : يا ابت ما قال؟ قال : کلهم من قريش.
02. Hazrat Jabir Bin Samurah RadiyAllahu ‘Anhu Se Marwi Hai Unhone Farmaya: Mein Ne RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Irshaad Farmate Hu’e Suna: Yeh Deen Baarah Khulafa’ Ke Aane Tak Ghaalib Rahega. Hazrat Jabir RadiyAllahu ‘Anhu Ne Farmaya: (Is Par) Logo’n Ne (Buland Aawaaz) Se “AllahuAkbar” Kaha Aur Shor Barpa Ho Gaya Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Aahista Aawaaz Me Ek Kalima Farmaya. Mein Ne Apne Baap Se Arz Kiya: Abba Jaan! Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Kya Irshaad Farmaya Hai? (Unhone Bataaya) Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Hai “Woh Sab (Baarah Khulafa’) Quraysh Me Se Honge”. (01)
تنبيه : عقد أبو داود في سننه بابا في المهدي و أورد في صدره حديث جابر بن سمرة عن رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم : ’’لا يزال هذا الدين قائماً حتي يکون اثنا عشر خليفة کلهم تجتمع عليه الأمة‘‘ و في رواية ’’لا يزال هذا الدين عزيزًا إلي اثني عشر خليفة کلهم من قريش‘‘، فأشار بذلک إلي ماقاله العلماء إن المهدي أحد الاثني عشر.
Imam Aboo Dawud Ne Apni Kitab Sunan Abi Dawud Me Imam Mahdi Par Ek Baab Baandha Hai Jis Ke Shuroo’ Me RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Hazrat Jabir Bin Samurah Kee Riwaayat Darj Farmaa’i Hai Ki Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshaad Farmaya Yeh Deen Qaa’im Rahega Yaha’n Tak Ki Baarah Khulafa’ Honge Jin Par Yeh Ummat Mujtama’ Hogi. Aur Ek Doosri Riwaayat Me Hai “Yeh Deen Baarah Khulafa’ Tak Ghaalib Rahega. Aur Woh Tamam Khulafa’ Quraysh Se Honge”. (02)
Imam Aboo Dawud Ne Goya Yeh Baab Baandh Kar Ulama’ Ke Is Qaul Kee Taraf Ishaara Farmaaya Hai Ki Imam Mahdi Un Baarah Khulafa’ Me Se Ek Hain.
Imam Suyooti Ne Is Se Waazeh Taur Par Yeh Istinbaat Farmaaya Hai Ki Imam Mahdi Roo’e Zameen Par Baarahwe’n Iman Honge Kyoo’n Ki Aboo Dawud, Imam Mahdi Ke Baare Me Baab Ka Aaghaaz Un Do Ahaadith Se Kar Ke Phir Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu ‘Anha Se Marwi Yeh Hadith Laa’e Hain.
عن ام سلمة رضي اﷲ عنها قالت : سمعت رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم يقول : المهدي من عترتي من ولد فاطمة.
Ki “Imam Mahdi Meri Itrat Aur Aulaade Fatimah Se Honge” Aur Is Se Pehle Woh Hadith Bhi Laa’e Hain Jis Me Irshaad Hai Ki Qiyaamat Me Se Khaah Ek Hee Din Kyoo’n Na Bach Jaa’e Allah Rabb-ul-Izzat Meri Ahle Bayt Me Se Ek Shakhs (Mahdi) Ko Bhejega Jo Zameen Ko Adal Se Bhar Dega Jaise Woh Zulm Se Bhar Dee Ga’i Thi. (03)
–
[(01) Aboo Dawud, Al-Sunan, 04 : 106, Raqm : 4280 : 4281,
(02) Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 85,
Aboo Dawud, Al-Sunan, 04 : 106, Raqm : 4279,
(03) Aboo Dawud, Al-Sunan, 04 : 106, Raqm : 8284,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 64_66.]
٣. عن أبي سعيد رضی الله عنه قال : قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم : يکون عند انقطاع من الزمان و ظهور من الفتن رجل يقال له المهدي، يکون عطاؤه هنيئا.
03. Hazrat Aboo Sa’id RadiyAllahu ‘Anhu Se Marwi Hai Aap Ne Farmaya Ki Huzoor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshaad Farmaaya Aakhiri Zamaane Me Jab Bohat-Se Fitne Zaahir Honge To Us Waqt Ek Aadami Hoga Jis Ko “Al-Mahdi” Kaha Jaa’ega. Un Kee Ataa’e’n (Badi) Khushgawaar Hongi.
–
[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 63,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 65_66.]
٤. عن الزهري قال : (اذا) التقي السفياني والمهدي للقتال يومئذ يسمع صوت من السماء : ألا إن أولياء اﷲ أصحاب فلان. يعني المهدي. وقالت أسماء بنت عميس : إن أمارة ذلک اليوم أن کفا من السماء مدلاة ينظر إليها الناس.
Imam Al-Zuhri Se Riwayat Hai Aap Ne Farmaaya Jab Sufyan (Ka Lashkar) Aur Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ka Lashkar Qitaal Ke Li’e Aamne Saamne Honge. To Us Din Aasmaan Se Ek Aawaaz Sunaa’i Degi.
Khabardaar! (Aagaah Raho) Be-Shak (Imam) Mahdi Ke Ahbaab Hee Allah Ke Wali Aur Dost Hain. Aur Asma’ Bint Umays RadiyAllahu ‘Anha Ne Farmaya Us Din Kee Alaamat Yeh Hogi Ki Aasmaan Se Latka Hu’a Haath Nazar Aa’ega Jis Ko (Tamaam) Log Dekhenge.
–
[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 76,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 66_67.]
٥. عن علي رضي الله عنه قال : قلت : يا رسول اﷲ أمنا آل محمد المهدي أم من غيرنا؟ فقال : لا، بل منا، يختم اﷲ به الدين کما فتح بنا، و بنا ينقذون من الفتنة کما أنقذوا من الشرک، وبنا يؤلف اﷲ بين قلوبهم بعد عداوة الفتنة کما ألف بين قلوبهم بعد عداوة الشرک، و بنا يصبحون بعد عداوة الفتنة إخوانا کما أصبحوا بعد عداوة الشرک إخواناً في دينهم.
05. Hazrat Ali RadiyAllahu ‘Anhu Se Marwi Hai Aap Ne Farmaya: Mein Ne (Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me) Arz Kee: Ya RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam! Kya (Imam) Mahdi Ham Aale Muhammad Me Se Honge Ya Hamaare Ilaawa Kisi Aur Se? To Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshaad Farmaya: Nahin, Balki Woh Ham Me Se Honge. Allah Rabb-ul-Izzat Un Par (Saltanate) Deen Isi Tarh Khatm Farma’ega Jaise Ham Se Aaghaaz Farmaaya Tha. Aur Hamaare Zari’e Hee Logo’n Ko Fitna Se Bachaaya Jaa’ega Jis Tarh Unhe’n Shirk Se Nijaat Ata’ Farmaa’i Ga’i Hai Aur Hamaare Zari’e Hee Allah Un Ke Dilo’n Me Fitna Kee Adaawat Ke Ba’d Un Ke Dilo’n Me (Mahabbat Aur) Ulfat Paida Farma’ega. Jis Tarh Allah Ne Shirk Kee Adaawat Ke Ba’d Un Ke Dilo’n Me (Hamaare Zari’e) Ulfat Paid Farmaa’i Aur Hamaare Zari’e Hee Fitna (Wa Fasaad) Kee Adaawat Ke Ba’d Log Aapas Me Bhaai-Bhaai Ho Jaa’enge, Jis Tarh Woh Shirk Kee Adaawat Ke Ba’d Is Deen Me Bhaai-Bhaai Ban Ga’e Hain.
–
[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 72,
Tabarani, Al-Mu’jam Al-Awsat, 01 : 56, Raqm : 157,
Nu’aym Bin Hammad, Al-Fitan, 01 : 370, Raqm-1089,
Nu’aym Bin Hammad, Al-Fitan, 01 : 370, Raqm : 1089,
Haythami, Majma’ Al-Zawa’id, 01 : 371, Raqm : 1090,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 67_68.]
٦. عن أرطاة قال : ثم يخرج رجل من أهل بيت النبي صلی الله عليه وآله وسلم مهدي حسن السيرة، يغزو مدينة قيصر، وهو آخر أمير من أمة محمد صلی الله علیه وآله وسلم ، ثم يخرج في زمانه الدجالُ و ينزل في زمانه عيسي ابن مريم.
06. Hazrat Artah Se Marwi Hai Phir Ahle Bayte Nabi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Hasan Sirat Ke Paikar Ek Shakhs (Imam) Mahdi Ka Zahoor Hoga Jo Qaysare Room Ke Shehr Me Jang Karenge Aur Woh Ummate Muhammadi ‘Ala Sahibiha Al-Salatu Wa-Al-Salam Ke Aakhiri Amir Honge. Phir Un Ke Zamaana Me Dajjaal Zaahir Hoga Aur Un Ke Zamaana Me Hee Hazrat Isa Bin Maryam ‘Alayhima Al-Salam (Aasmaan Se) Naazil Honge. (01)
Imam Suyooti Rahmat Allahi ‘Alayh Ne “Al-Hawi Lil-Fatawi” Me Imam Muntazar (ImamMahdi) Ke Zahoor Ke Waqt Ke Aasaar-o Alaamaar Darj Farmaane Ke Ba’d Irshaad Farmaya Hai Ki:
هذه الآثار کلها لخصتها من کتاب ’’الفتن‘‘ لنعيم بن حماد، وهو أحد الائمة الحفاظ، و أحد شيوخ البخاري.
Yeh Tamaam Aasaar-o Alaamaat Me Jin Kee Talkhis Mein Ne Nu’aym Bin Hammad Kee Kitab “Al-Fitan” Se Kee Hai Aur Woh (Nu’aym Bin Hammad) A’imma-e Huffaz Me Se Hain Aur (Imam) Bukhari Ke Shuyookh (Asaateza) Me Se Ek Hain. (02)
–
[(01) Nu’aym Bin Hammad, Al-Fitan, 01 : 402, 408, Raqm : 1214, 1234,
Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 80,
(02) Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 80,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 68_69.]
٧. عن جابر رضي الله عنه قال قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم يکون في آخر امتي خليفة يحثي المال حثيا ولا يعده عدا.
07. Hazrat Jabir RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Unhone Farmaya Ki Huzoor SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshaad Farmaya Meri Ummat Ke Aakhiri Daur Me Ek Khalifa Hoga Jo Maal Labaalab Bhar-Bhar Ke Dega Aur Use Shumaar Nahin Karega.
–
[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 60_61,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 69.]
٨. و عن جابر رضي الله عنه عن النبي صلي الله عليه وآله وسلم قال يکون في امتي خليفة يحثي المال في الناس حثيا لا يعده عدا ثم قال والذي نفسي بيده ليعودن.
رواه البزار و رجاله رجال الصحيح
08. Hazrat Jabir RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya. Meri Ummat Me Ek Khalifa Hoga Jo Logo’n Ko Maal Labaalab Bhar-Bhar Ke Taqsim Karega. Aur Use Shumaar Nahin Karega. Aur Qasam Hai Us Zaate Paak Kee Jis Kee Qudrat Me Meri Jaan Hai, Bit-Tehqiq (Galaba-e Islam Ka Daur) Zaroor Lautega (Ya’ni Amre Islam Muzmahil Ho Jaane Ke Ba’d Un Ke Zamaana Me Phir Se Farogh Haasil Kar Lega).
–
[Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 501, Raqm : 8400,
Haythami, Majma’ Al-Zawa’id, 07 : 316,
Nu’aym Bin Hammad, Al-Fitan, 01 : 326, Raqm : 1055,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 69_70.]
٩. عن ابن مسعود رضی الله عنه قال : قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم : لو لم يبق من الدنيا إلا ليلة لطول اﷲ تلک ليلة حتي يملک رجل من أهل بيتي يواطي، اسمه اسمي وا سم أبيه اسم أبي، يملؤها قسطا وعدلا کما ملئت ظلماً و جوراً، ويقسم المال بالسوية، ويجعل اﷲ الغني في قلوب هذه الأمة، فيمکث سبعا أو تسعا، ثم لا خير في عيش الحياة بعد المهدي.
09. Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshaad Farmaaya “Agar Dunya (Ke Zamaana) Me Sirf Ek Raat Hee Baaqi Reh Ga’i To Bhi Allah Rabb-ul-Izzat Us Raat Ko Lamba Farma Dega Yaha’n Tak Ki Meri Ahle Bayt Me Se Ek Shakhs Baadshaah Banega Jis Ka Naam Mere Naam Aur Jis Ke Waalid Ka Naam Mere Waalid Ke Naam Jaisa Hoga. Woh Zameen Ko Insaaf Aur Adal Se Labrez Kar Denge Jis Tarh Woh Zulm-o Ziyaadati Se Bhari Hoti Thi Aur Woh Maal Ko Baraabar Taqsim Karenge Aur Allah Rabb-ul-Izzat Is Ummat Ke Dilo’n Me Ghina Paida Farma Dega. Woh Saat Ya Nau Saal Rahenge. Phir (Imam) Mahdi Ke (Zamaane Ke) Ba’d Zindagi Me Ko’i Khair (Ya’ni Lutfe Zindagi Baaqi) Nahin (Rahega).
–
[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 64,
Tabarani, Al-Mu’jam Al-Kabir, 10 : 133, Raqm : 10216,
Tabarani, Al-Mu’jam Al-Kabir, 10 : 135, Raqm : 10224,
Aboo Amr Al-Dani, Al-Sunan Al-Waridah Fi Al-Fitan, 05 : 1055, Raqm : 572,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 70.]