Gyarhwi’n Fasl
Imame Aakhir-uz-Zamaan ‘Alayh-is-Salam, Mahdi Al-Ardi Wa-Al-Sama’ Honge Aur Un Ke Li’e Aasmaani Wa Zameeni Alaamaat Ka Zahoor Hoga
١. عن سلمان بن عيسي قال : بلغني أنه علی يدي المهدي يظهر تابوت السکينة من بحيرة طبرية حتي يحمل فيوضع بين يديه ببيت مقدس، فإذ نظرت إليه اليهود أسلمت إلا قليلا منهم.
01. Hazrat Salman Bin Isa Se Marwi Hai Ki Unhone Farmaya. Mujh Tak Yeh Baat Pahonchi Hai Ki Buhayrah Tabariyyah Se (Imam) Mahdi Ke Zari’e Taaboote Sakinah Zaahir Hoga. Yaha’n Tak Ki Bayt-il-Maqdis Me Aap Ke Saamne Use Utha Kar Rakh Diya Jaa’ega. Jab Yahood Us (Taaboot) Ko Dekhenge To Chand Logo’n Ke Siwa Tamam Islam Qubool Kar Lenge.
–
[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 83,
Nu’aym Bin Hammad, Al-Fitan, 01 : 360, Raqm : 1050,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 60.]
.٢. عن کعب رضي الله عنه قال : يطلع نجم من المشرق قبل خروج المهدي، له ذنب يضيء
02. Hazrat Ka’b RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Aap Ne Farmaya. Imam Mahdi Ke Khurooj (Zahoor) Se Pehle Jaanibe Mashriq Se Ek Sitaara Tuloo’ Hoga Jis Kee Chamakti Hu’i Dum Hogi.
–
[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 82,
Nu’aym Bin Hammad, Al-Fitan, 01 : 229, Raqm : 642,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 60.]
.٣. عن شريک رضي الله عنه قال : بلغني أنه قبل خروج المهدي ينکسف القمر في شهر رمضان مرتين
03. Hazrat Sharik RadiyAllahu ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Aap Ne Farmaya Mujh Tak Yeh Baat Pahonchi Hai Ki (Imam) Mahdi Ke Khurooj (Zahoor) Se Pehle Ramadan-ul-Mubarak Ke Mahine Me Do Martaba Chaand Grahn Hoga.
–
[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 82,
Nu’aym Bin Hammad, Al-Fitan, 01 : 229, Raqm : 642,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 61.]
٤. عن علي رضي الله عنه ، قال : إذا نادي مناد من السماء إن الحق في آل محمد فعند ذلک يظهر المهدي علي أفواه الناس، و يشربون حبه، ولا يکون لهم ذکر غيره.
04. Hazrat Aliyy-ul-Murtada RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Aap Ne Farmaya “Jab Aasmaan Se Aawaaz Dene Waala Aawaaz Dega Ki Haqq Aale Muhammad Me Hai To Us Waqt Logo’n Kee Zabaano’n Par (Imam) Mahdi Ka Zahoor Hoga. Aur Logo’n Ko Un Kee Mahabbat (Is Tarh) Pila Dee Jaa’egi Ki Woh Un Ke Siwa Kisi (Aur) Ka Tazkira Nahin Karenge.
–
[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 68,
Nu’aym Bin Hammad, Al-Fitan, 01 : 334, Raqm : 965,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 61.]
٥. عن ثوبان رضی الله عنه قال : قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم : ’’إذا رأيتم الرايات السود قد أقبلت من خراسان فأتوها ولو حبوا علي الثلج، فإن فيها خليفة اﷲالمهدي‘‘
05. Hazrat Thawban RadiyAllahu ‘Anhu Se Marwi Hai Unhone Farmaya Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshaad Farmaya Ki Jab Tum Khuraasaan Kee Taraf Se Siyaah Parchamo’n (Ka Qaafila) Aate Hu’e Dekho To Us Me Zaroor Shaamil Ho Jaana Agarche Barf Ghisat Ka Aana Pade Kyoo’n Ki Us Me Allah Ta’ala Ke Khalifa Mahdi Honge.
–
[Ibn Majah, Al-Sunan, 02 : 1367, Raqm : 4084,
Ahmad Bin Hanbal, Al-Musnad, 05 : 277, Raqm : 22441,
Nu’aym Bin Hammad, Al-Fitan, 01 : 311, Raqm : 896,
Daylami, Al-Firdaws, 02 : 323, Raqm : 3470,
Aboo Amr Al-Dani, Al-Sunan Al-Waridah Fi Al-Fitan, 05 : 1032, Raqm : 548,
Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 63,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 61_62.]
٦. عن أبي الجلد قال : تکون فتنة بعدها فتنة، الأولي في الآخرة کثمرة السوط يتبعها ذباب السيف، ثم يکون بعد ذلک فتنة استحل فيها المحارم کلها، ثم تأتي الخلافة خير أهل الأرض وهو قاعد في بيته.
06. Hazrat Aboo Al-Jald Se Riwaayat Hai Unhone Farmaya Ek Fitna (Barpa) Hoga Jis Ke Ba’d Ek (Aur) Fitna Hoga. Pehla (Fitna) Doosre (Fitna) Ke Saath Bikul Waise Hee Hoga Jaise Kode Ka Tasma. Phir Us Ke Ba’d Talwaaro’n Kee Dhaare’n Hongi. Is Ke Ba’d Phir Ek (Aur) Fitna Hoga Jis Me Tamaam Mahaarim (Allah Kee Harram Karda Chizo’n) Ko Halaal Kar Diya Jaa’ega. Phir Tamaam Zameen Waalo’n Me Sab Se Behtar Shakhs Ke Zari’e Khilaafat Aa’egi Jab Ki Woh (Khalifa) Apne Ghar Me Baithe Hu’e Honge.
–
[Ibn Abi Shaybah, Al-Musannaf, 07 : 531, Raqm : 37754,
Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 65,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 62.]
٧. عن عبداﷲ بن عمرو رضي اﷲ عنهما قال : يحج الناس معا، و يعرفون معا، علي غير إمام، فبينا هم نزول بمني إذ أخذهم کالکلب، فثأرت القبائل بعضهم إلي بعض، فاقتتلوا حتي تسيل العقبة دماً، فيفزعون إلي خيرهم فيأتونه وهو ملصق وجهه إلي الکعبة، يبکي کأني أنظر إلي دموعه، فيقولون : هلم إلينا، فلنبايعک، فيقول : ويحکم کم من عهد نقضتموه، وکم من دم سفکتموه! فيبايع کرها؛ فإن أدرکتموه فبايعوه؛ فإنه المهدي في الأرض والمهدي في السماء.
07. Hazrat Abd Allah Bin Amr RadiyAllahu ‘Anhuma Se Riwaayat Hai Unhone Farmaya Ki Log Ikaththe Hajj (Ada) Karenge Aur Baghair Imam Ke Araafat Me Ikaththe Honge. Pas Mina Me Un Ke Nuzool Ke Dauraan Ek Fitna Unhe’n Kutte Kee Tarah Daboch Lega (Jis Kee Waj’h Se Mukhtalif) Qabaa’il Ek Doosre Par Chadhaa’i Kar Denge. Pas Woh Ek Doosre Ko Qatl Karenge Yaha’n Tak Ki Ghaati Khoon Se Behne Lagegi (Us Ghabraahat Ke Aalam Me) Woh Sab Se Behtar Hasti Kee Panaah Lene Ke Li’e Un Kee Baargaah Me Haazir Honge Jab Ki Woh Ka’batullah Se Apna Chehra Lagaa’e Ro Rahe Honge Goya Mein Un Ke Aansoo’o’n Ko Dekh Raha Ho’n. Pas Woh Un Kee Khidmat Me Arz Karenge. Aap Hamaare Paas Tashrif Laa’e’n Taa Ki Ham Aap Kee Bay’at Kare’n Woh Farma’enge Tum Par Afsos Tum Ne Kitne Hee Ahd Tode Hain Aur Kitne Hee Khoon Bahaa’e Hain! Pas Woh Majbooran Un Kee Bay’at Qubool Farma’enge. Agar Tum Us Hasti Ko Paa Lo To Un Kee Bay’at Karna Kyoo’n Ki Woh Zameen Me Mahdi Honge Aur Aasmaan Me Bhi Mahdi Honge.
–
[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 76,
Nu’aym Bin Hammad, Al-Fitan, 01 : 227, Raqm : 632,
Nu’aym Bin Hammad, Al-Fitan, 01 : 341, Raqm : 987,
Aboo Amr Al-Dani, Al-Sunan Al-Waridah Fi Al-Fitan, 05 : 1044, Raqm : 560,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 63.]