DOOSRA
KHITAAB
Mu’azzaz Khawateen-o-Hazarat ! Guzishta Jum’at-ul-Mubarak Ke Khitab Me Hum Ne Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Mawzoo’ Par Guftagu Ka Aaghaaz Kiya Tha Aur Yeh Silsila Waar Guftagu Bayan Kar Ke Is Marhale Par Khatm Huwi Thi Ki Jab Haalaat Yazeed Ke Qaabu Se Baahir Hone Lage To Yazeed Ne Nu’man Bin Bashir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Ma’zool Kar Ke Ibn Ziyad Ko Koofah Ka Governor Muqarrar Kar Diya Aur Woh Raat Ke Dhundalke Me Koofah Pahuncha Aur Us Ne Apne Mansab Ko Sambhaal Liya.
Ibn Ziyaad Kee Makrooh Saazishein
Agle Roz Ibn Ziyad Ne Koofah Me Aik Jalsa-E-Aam Ka Intizaam Kiya Us Me Hazaro’n Afraad Jam’a Kar Ke Us Ne Barmala E’laan Kar Diya Ki Tum Log Jaante Ho Ki Mere Baap Ziyaad Baap Jallad Tha, Saffaak Tha, Khoon Rez Tha Aur Mein Bhi Khoon Rez Aur Saffaak Hoo’n Mujhe Ma’loom Huwa Hai Ki Tum Yazeed Kee Bay’at Aur Us Kee Hukoomat Se Inkaari Ho Pas Mein Tumhein Sakhti Ke Saath Is Baat Se Man’a Karta Hoo’n Aur Yeh E’laan Karta Hoo’n Ki Jo Shakhs Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Liye Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Haath Par Bay’at Karega Mein Us Kaa Naam Safha-E-Hasti Se Mita Dunga. Mein Tum Sab Logo’n Ke Naam Bhi Jaanta Hoo’n Aur Tumhari Shaklein Bhi Pahchaanta Hoo’n Aur Tumhare Khandano’n Se Bhi Waqif Hoo’n.
Us Kee Is Haybat Naak Guftagu Ke Nateeje Me Woh Hazaro’n Koofi Jo Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aur Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Himayat Aur Ghair Mashroot Wafadaari Ke Alambardaar They. Woh Apni Buzdili Ke Baa’is Unhin Qadmo’n Par Pichhe Hat Gaye, Aur Bahut Se Log Khauf Ke Maare Chhup Gaye.
Baa’d Aza’n Hazrat Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Riha’ish Kee Sahih Khabar Ma’loom Karne Ke Liye Aik Ghulaam Ko Teen Hazar-3.000 Dirham De Kar Bheja, Us Ko Ittila’ Ho Gayi Thi Ki Hazrat Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Us Waqt Koofah Ke Aik Ra’is, Aik Amir Kabir Shakhs Ke Ghar Me Maujood Hain Jis Ka Naam Haani Bin Urwah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hai, Aur Ahl-E-Bayt ‘Alayhim-us-Salatu Was-Salam Ke Saath Muhabbat Karne Waala Hai, Us Ghulam Se Kaha Ki Tum Haani Ke Ghar Jaao Aur Yeh Zaahir Karo Ki Tumhein Basrah Waalo’n Ne Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ke Haque Me Hazrat Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Haath Par Bay’at Karne Ke Liye Bataur Numa’indah Bheja Hai Aur Yeh Teen Hazar-3.000 Dirham Unhone Bataur Hadiya Bheje Hain, Is Bahaane Sahih Soorate Haal Se Aagaah Ho Kar Mujhe Khabar Karo! Chunache Woh Ghulaam Haani Bin Urwah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Ghar Pahuncha, Darwazah Khatkhataya Aur Kaha Ki Mujhe Basrah Walao’n Ne Hazrat Muslim Bin Aqil Ke Haath Par Bay’at Karne Bataur Numa’indah Bheja Hai To Woh Us Kee Chikni Chupdi Baato’n Me Aa Gaye Aur Andar Hazrat Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Paas Le Gaye, Us Ne Un Ke Saath Bhi Woh Baat Halafan Kahi, Aur Un Ke Daste Aqdas Par Bay’at Karte Huwe Teen Hazar-3.000 Dirham Hadiya Ke Taur Par Pesh Kiye.
Wapas Aa Kar Us Ne Ibn Ziyad Ko Khabar Kee, Ibn Ziyad Ne Agle Roz Haani Bin Urwah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Bulaya Aur Kaha Ki Haani! Tum Jaante Ho Ki Mere Baap Ziyad Bin Sufyan Ne Koofah Me Aik Shakhs Ko Bhi Khandane Nubuwwat Se Muhabbat Karne Waala Nahin Chhoda Tha Tere Siwa Sab Ko Khatm Kar Diya Tha Aur Tujh Par Ihsaan Karte Huwe Mere Waalid Ne Tujhe Mu’aaf Kar Diya Tha Lekin Aaj Isi Ahl-E-Bayt Kee Muhabbat Me Banu Umayya Kee Dushmani Kar Rahe Ho Aur Banu Umayya Aur Yazeed Ke Dushman Ko Apne Ghar Panah De Rahe Ho, Hazrat Haani RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Inkaar Kar Diya, Lekin Jab Us Ne Ghaddaar Ghulaam Ko Pesh Kiya To Aap Samajh Gaye Ki Saazish Ka Shikaar Ho Gaye Hain Aur Ibn Ziyad Ko Ilm Ho Gaya Hai.
Ibn Ziyad Bola ! Ab Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Mere Supurd Kar Do! Haani RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kehne Lage Ki Mein Yeh Zulm Nahin Kar Sakta Ki Khanwada-E-Rasool Ke Chashm-o-Chiraag Ko Mein Apne Haatho’n Se Gul Hota Huwa Dekho’n. Us Ne Aik Gurz Haani Bin Urwah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Peshaani Par Maari Aur Un Ka Sar Phat Gaya.
–
[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-27_28.]