Ibn Ziyad Ahle Koofah Kee Nafsiyaat Aur Kameena Fitrat Se Bakhoobi Aagaah Tha, Use Ilm Tha Yeh Log Intiha’i Buzdil, Darpok Aur Kam Himmat Hain Sher Kee Tarah Aage Aate Hain, Magar Madde Muqaabil Ke Bigde Tewar Dekh Kar Fauran Hee Sahm Jaate Hain, Us Ne Un Kee Is Buzdili, Kam Himmati Aur Be-Ghairati Se Poora Poora Faa’idah Uthaaya Aur Hazrat Imam Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Aur Hazrat Hani RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Shaheed Karne Ka Faisalah Kar Liya Ki In Hazaraat Ke Sar Ko Koofiyo’n Kee Bheeed Me Phaink Diye Jaaein, Un Ke Kate Huwe Sar Dekhte Hee Un Kee Yeh Sab Na’rah-Baazi Khatm Ho Jaaegi Aur Yeh Josh-o-Kharosh Bhul Kar Dum Daba Kar Bhaag Jaaeinge.
Chunanche Aisa He Huwa. Un Dono’n Ko Shaheed Kar Ke Jab Un Ke Sar Koofiyo’n Me Phainke Gaye To Un Ke Haath Pair Phool Gaye Khauf Se Kaanp Utthey, Aur Khisakna Shuru’ Ho Gaye, Aahista Aahista Naubat Yaha’n Tak Pahunchi Ki Aththarah Hazar-18.000 Afraad Me Se Aik Bhi Na Bacha, Aur Sab Dum Daba Kar Aur Jaan Bacha Kar Bhaag Gaye.
–
[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-29_30.]