Posted in 2 Doosra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Ahle Koofah Kee Be Wafaa’i

                   Hani Bin Urwah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Chun Ki Koofah Ke Ra’is They Is Liye Un Ke Qabeele Ke Hazaro’n Afraad Nangi Talwaarein Le Kar Nikal Aaye, Is Khayaal Se Ki Haani Qatl Kar Diye Gaye Hain Yaka Yak Koofah Kee Galiyo’n Me Aik Ma’rakah Bapa Ho Gaya, Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Numa’inde Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bhi Talwaar Le Kar Maidaane Kaarzaar Me Aa Gaye Baa’z Riwayat Me Chaar Hazar-4.000 Ta’daad Aati Hai Lekin Baa’zo’n Ne Chawdah Hazar-14.000 Kee Ta’daad Bayaan Kee Hai, Yeh Hazrat Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Qiyaadat Me Ibn Ziyad Ke Qal’ah Par Hamla Aawar Ho Gaye, Shaam Tak Ibn Ziyaad Ne Tero’n Kee Baarish Kee, Itna Pathraao Kiya Itna Zulm-o-Sitam Kiya Ki Chawdah Hazar-14.000 Hazar Afraad Me Se Maghrib Ke Waqt Tak Kam-o-Besh Paanch Sau-500 Koofi Hazaraat Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Saath Rah Gaye Aur Baaqi Sab Log Buzdili Ke Sabab Un Ka Saath Chhod Gaye, Aap Ne Namaze Maghrib Kee Niyyat Baandhi Paanch Sau-500 Koofi Aap Ke Muqtadi They Jab Aap Ne Salaam Phera Aur Palat Kar Dekha To Un Paanch Sau-500 Koofiyo’n Me Se Aik Shakhs Bhi Na Tha Andheri Raat Me Zaalim Wa Be-Wafa Log Hazrat Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Tanha Chhod Kar Gharo’n Ko Waapas Chale Gaye They, Ab Koofe Kee Haulnaak Galiyon’n Me Raat Ka Haibat Naak Maahol Hai, Yazeed Aur Ibn Ziyad Ke Zalimana Aur Baimanah Mansoobe Hain Aur Woh Jo Hazaro’n Kee Ta’dad Me Aa Ke Daste Aqdas Par Bay’at Kar Ke Aap Se Ghair Mashroot Wafadari Ka Wa’dah Kar Chuke They Un Me Se Aik Shakhs Bhi Us Waqt Hazrat Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ka Sahaara Ban Ne Ke Liye Tayyar Nahin Aap Un Be-Hayaa’on Kee Be-Ghairati Par Ta’jjub Karte Rahe, Aakhir Thak Haar Kar Aik Darwaze Par Chupke Se Baith Gaye Ki Chalo Diwaar Se Tek Laga Kar Raat Kee Kuchh Gadiya’n Basar Karte Hain, Achaanak Darwazah Khula Aur Ghar Kee Maalika Ne Jhaanka Aur Kaha : Aye Bhaai Too Koun Hai ? Aur Is Waqt Mere Darwaze Par Kyun Baytha Hai ? Fitne Ka Zamana Hai, Sarkari Pahredaar Phir Rahe Hain Koi Sipaahi Tumehin Giriftaar Kar Ke Le Jaaega. Farmane Lage : Mein Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Hoo’n Saara Din Sub’h Se Shaam Tak Jihaad Karta Raha Hoo’n Aur Bhooka Pyaasa Hoo’n Aur Jism Thak Kar Choor-Choor Ho Chuka Hai Mujhe Sirf Raat Kee Chand Gadiya’n Aaraam Kar Lene De. Woh Nek Bakht Khaatoon Bhi Ahl-E-Bayt Se Muhabbat Karne Waali Thi, Aur Dil Me Muhabbat Chhupaaye Huwe Thi Us Ne Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Apne Ghar Jagah De Dee, Lekin Use Kya Khabar Ki Us Ka Beta Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Talaash Me Sargardaa’n Hai, Woh Jab Raat Ko Ghar Pahuncha, Us Maa Ne Apne Kaam Ko Kaare Khayr Samajhte Huwe Apne Bete Se Kaha Ki Aaj Hamaare Ghar Me Gulistane Muhammadi Ka Mahakta Huwa Phool Hai. Us Bete Ne Khunkhaar Aankho’n Se Dekha Aur Ibn Ziyad Ko Khabar Kar Dee. Us Ke Sipaahi Aaye Aur Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Par Hamla Aawar Ho Gaye, Der Tak Aap Ne Wafaa’i Jang Ladi, Lekin Tanha They Giriftar Kar Ke Ibn Ziyad Ke Paas Pahucnha Diye Gaye, Ibn Ziyad Ne Aap Ko Haani Bin Urwah Ke Saath Qayd  Me Rakkha, Yeh Khabar Phir Koofe Me Aag Kee Tarah Phail Gayi Aur Kam-o-Besh Aththarah Hazar-18.000 Afraad Phir Hazrat Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Rihaa’i Ke Liye Aa Gaye.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-28_29.]