“Hazrat Khuraym Bin Aws Bin Harithah Bin Lam رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayaan Karte Hain Ki Hum Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Khidmate Aqdas Me Maujood They, Hazrat ‘Abbas Bin Abd-ul-Muttalib رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Ne Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Khidmat Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Mein Aap Kee Mad’h-o Na’t Padhna Chaahta Hoo’n. To Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Laa’o Mujhe Sunaa’o, Allah Ta’ala Tumhaare Daant Sahih-o Saalim Rakkhe (Ya’ni Tum Is Tarah Ka ‘Umda Kalaam Padhte Raho). So Hazrat ‘Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Yeh Padhna Shuroo’ Kiya :
وَأَنْتَ لَمَّا وُلِدْتَ أَشْرَقَتِ
الْأَرْضُ وَضَاءَتْ بِنُوْرِكَ الْأُفُقُ
فَنَحْنُفِي الضِّيَاءِ وَفِي
النُّوْرِ وَسُبُلُ الرَّشَادِ نَخْتَرِقُ
“Aap Woh Zaat Hain Ki Jab Aap Kee Wilaadate Baa Sa’aadat Hu’i To (Aap Ke Noor Se) Saari Zameen Chamak Utthi Aur Aap Ke Noor Se Ufuqe ‘Aalam Raushan Ho Gaya. Pas Hum Aap Kee ‘Ata Karda Raushni Aur Aap Hee Ke Noor Me In Hidaayat Kee Raaho’n Par Gaamzan Hain.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani, Hakim Aur Aboo Nu’aym Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/213, Raqm-4167,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/369, Raqm-5417,
Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 01/364,
Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/102,
Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 01/53,
Ibn Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab Fi Ma’rifat Al-As’hab, 02/447, Raqm-663,
Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 02/274, Raqm-2247,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/217,
Khattabi Fi Islah Ghalat Al-Muhaddithin, 01/101, Raqm-57,
Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 10/176,
Suyooti Fi Al-Khasa’is Al-Kubra, 01/66,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah(Al-Sirah), 02/258,
Qurtubi Fi Al-Jami’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 13/146,
Halabi Fi Insan-ul-‘Uyoon Fi Sirat-il-Amin-il-Ma’moon Aw As-Sirat-ul-Halabiyyah, 01/92,
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/64_66, Raqm-27.]