Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 33

          “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwaayat Hai Ki Sayyidah Aaminah Bint Wahb عَلَيْهِمَا السَلَام Bayaan Farmaati Hain : Jab Mein Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Giraa’n Baar Hu’i, To Mujhe Aisi Koi Diqqat Pesh Na Aa’i (Jo ‘Aam Taur Par ‘Aurto’n Ko Hamal Ke Dauraan Pesh Aati Hai) Yaha’n Tak Ki Mein Ne Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Janm Diya. Pas Jab Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Mere Jism Se Juda Hu’e To Un Ke Saath Ek Aisa Noor Namoodaar Huwa Jis Se Mashriq-o Maghrib Raushan Ho Ga’e.”
Ek Dusri Riwaayat Me Hai : Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadat Ke Saath Hee Ek Aisa Noor Namoodaar Huwa Jis Se Shaam Ke Mahallaat Aur Baazaar Raushan Ho Ga’e Hatta Ki Busra Me (Chalne Waale) Oonto’n Kee Gardanein Bhi (Mere Saamne) Namoodaar Ho Ga’i’n.”

Ise Imam Ibn Sa’d, Ibn Asakir Aur Ibn Kathir Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 01/98, 102,

Ibn Asakir Fi Tarikh Madinat Dimashq, 03/79,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 02/264,

Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 01/52,

Suyooti Fi Al-Khasa’is Al-Kubra,  01/72, 79,

Halabi Fi Insan-ul-‘Uyoon Fi Sirat-il-Amin-il-Ma’moon Aw As-Sirat-ul-Halabiyyah, 01/80,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/73_74, Raqm-33.]