Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 32

          “Hazrat ‘Uthman Bin Abi Al-‘Aas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Hai, Woh Farmaate Hain Ki Un Kee Waalida Mohtarma Ne Un Se Bayaan Kiya : Jab Wilaadate Nabawi Ka Waqt Aaya To Mein Sayyidah Aaminah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ke Haa’n Haazir Thi, Mein Dekh Rahi Thi Ki Sitaare Aasmaan Se Neeche Kee Taraf Dhalak Ke Qareeb Ho Rahe Hain, Yaha’n Tak Ki Mein Ne Mehisoos Kiya Ki Mere Oopar Aa Gire‘nge Aur Sayyidah Aaminah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ke Jisme At’har Se Aisa Noor Nikla Jis Se Poora Ghar Aur Haweli Jagmag Kar Ne Lagi Aur Mujhe Har Ek Shai Me Noor Hee Noor Nazar Aaya.”

Ise Imam Tabarani, Ibn Abi Aasim Aur Aboo Nu’aym Ne Riwayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 25/147, 186, Raqm-355, 457,

Ibn Abi ‘Asim Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 06/29, Raqm-3210,

Aboo Nu’aym Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 01/93,

Bayhaqi Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 01/111,

Mawardi Fi A’lam Al-Nubuwwah, 01/273,

Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 07/117, Raqm-270,

Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 08/259, Raqm-12163,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 19/408,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/220,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/72_73, Raqm-32.]