Posted in 02 : Namaze Taraweeh Kee Ta'dade Rak'at Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 40

  1. “Shaykh Ibn Taymiyyah Ne ‘Apne Fatawa’ (Majmoo’a Fatawa) Me Kaha Ki Saabit Huwa Ki Hazrat Ubay Bin Ka’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ramadaan-ul-Mubarak Me Logo’n Ko Bees-20 Rak’at Tarawih Aur Teen³ Witr Padhaate They To Aksar Ahl-E-Ilm Ne Ise Sunnat Maana Hai.
    Is Liye Ki Woh Muhaajireen Aur Ansaar (Tamaam) Sahaba-E-Kiram (Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn) Ke Darmiyan (Un Kee Maujoodagi Me) Qiyam Karte (Bees-20 Rak’at Padhaate) Aur Un Sahaba Me Se Kabhi Bhi Kisi Ne Unhein Nahin Roka.”

    [Ibn Taymiyyah Fi Majmoo’ Fatawa, 01/191,

Isma’il Bin Muhammad Al-Ansari Fi Tas’hih Hadith Salat-ul-Tarawih ‘Ishrin Rak’ah, 01/35,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-34, Raqam-40.]