بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ
﴾Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Logo’n Ko Do-02 Raatein 20 Rak’at Namaz Taraweeh Padhaayi, Jab Teesri Raat Log Phir Jam’a’ Ho Gaye To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Un Kee Taraf (Hujra-E-Mubarak Se Baahar) Tashrif Nahin Laaye. Phir Subah Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujhe Andesha Huwa Ki (Namaze Taraweeh) Tum Par Farz Kar Dee Jaegi Lekin Tum Is Kee Taqat Na Rakkhoge.﴿
[Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Talkhis-ul-Habir, 02/21.]
Fazilate Qiyame Ramadaan Ka Bayan
- “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
Jis Ne Ramadaan Me Ba Haalate Iman Sawaab Kee Niyyat Se Qiyaam Kiya To Us Ke Saabiqa Tamam Gunaah Mu’aaf Kar Diye Gaye.”
متفق عليه.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/22, Raqam-37,
Muslim Fi As-Sahih, 01/523, Raqam-759,
Nasa’i Fi As-Sunan, 03/201, Raqam-1602, 1603,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/408, Raqam-9277,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/336, Raqam-2203,
Darami Fi As-Sunan, 02/42, Raqam-1776,
At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-09, Raqam-01.]