Posted in 01 : Fazilate Qiyame Ramadaan Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 01

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ

Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Logo’n Ko Do-02 Raatein 20 Rak’at Namaz Taraweeh Padhaayi, Jab Teesri Raat Log Phir Jam’a’ Ho Gaye To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Un Kee Taraf (Hujra-E-Mubarak Se Baahar) Tashrif Nahin Laaye. Phir Subah Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujhe Andesha Huwa Ki (Namaze Taraweeh) Tum Par Farz Kar Dee Jaegi Lekin Tum Is Kee Taqat Na Rakkhoge.﴿

 [Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Talkhis-ul-Habir, 02/21.]

Fazilate Qiyame Ramadaan Ka Bayan

 

  1. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
    Jis Ne Ramadaan Me Ba Haalate Iman Sawaab Kee Niyyat Se Qiyaam Kiya To Us Ke Saabiqa Tamam Gunaah Mu’aaf Kar Diye Gaye.”

متفق عليه.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/22, Raqam-37,

Muslim Fi As-Sahih, 01/523, Raqam-759,

Nasa’i Fi As-Sunan, 03/201, Raqam-1602, 1603,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/408, Raqam-9277,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/336, Raqam-2203,

Darami Fi As-Sunan, 02/42, Raqam-1776,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-09, Raqam-01.]

Posted in 01 : Fazilate Qiyame Ramadaan Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 02

  1. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
    Jis Shakhs Ne Halate Iman Mein Aur Sawaab Kee Niyyat Se Ramadaan Ke Roze Rakhe To Us Ke Saabiqa Gunaah Mu’aaf Kar Diye Jaate Hain Aur Jo Ramadaan Me Iman Kee Haalat Aur Sawaab Kee Niyyat Se Qiyaam Karta Hai To Us Ke (Bhi) Saabiqa Gunaah Mu’aaf Kar Diye Jaate Hain Aur Jo Laylat-ul-Qadr Me Iman Kee Haalat Aur Sawaab Kee Niyyat Se Qiyaam Kare Us Ke Guzishta Gunaah Bakhsh Diye Jaate Hain.”

متفق عليه.

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/709, Raqam-1910, 37, 38, 1801, 1905,

Muslim Fi As-Sahih, 01/523, Raqam-740,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/171, Raqam-808,

Aboo Dawud As-Sunan, 02/49, Raqam-1371,

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/156, Raqam-02, 22,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/526, Raqam-1641,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-09, 10, Raqam-02.]

Posted in 01 : Fazilate Qiyame Ramadaan Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 03

  1. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaze Tarawih Padhne Kee Raghbat Dilaya Karte They Lekin Hukman Nahin Farmate They Chunanche Farmate Ki Jis Ne Ramadaan-ul-Mubarak Me Husoole Sawab Kee Niyyat Se Aur Halate Iman Ke Saath Qiyaam Kiya To Us Ke Saabiqa (Tamaam) Gunaah Bakhsh Diye  Jaate Hain.
    Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Wisaal Mubarak Tak Namaze Tarawih Kee Yahi Surat Barqaraar Rahi Aur Khilafat E Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Me Aur Phir Khilafat E Umar Farooque RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Shuroo’  Tak Yahi Surat Barqaraar Rahi.”

متفق عليه و هذا لفظ مسلم.

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/707, Raqam-1905,

Muslim Fi As-Sahih, 01/523, Raqam-759,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/171, Raqam-808,

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح،

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/49, Raqam-1371,

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/154, Raqam-2192,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/113, Raqam-249,

Ahmad Bin Hanbal Al-Musmad, 02/281, Raqam-7774,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/338, Raqam-2207,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/353, Raqam-141,

Abd-ur-Razzaque Fi Al-Musannaf, 04/258, Raqam-7719,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/493, Raqam-4378,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/120, Raqam-9299,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-10, 11, Raqam-03.]

Posted in 01 : Fazilate Qiyame Ramadaan Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 04

  1. “Hazrat Imam Maalik Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Se Riwayat Hai Ki Unhone Thiqa (Ya’ni Qabile E’temad) Ahl-E-Ilm Ko Yah Kahte Huwe Suna Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Saabiqa Ummato’n Kee Umrein Dikhaayi Gayi Ya Us Baare Me Jo Allah Ta’ala Ne Chaaha Dikhaaya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apni Ummat Kee Kam Umro’n Ka Khayaal Karte Huwe Socha Ki Kya Meri Ummat Is Qadar Aamaal Kar Sakegi Jis Qadar Doosari Ummato’n Ke Logo’n Ne Tawaalate Umr Ke Baa’is Kiye.
    To Allah Ta’ala Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Shabe Qadar Ata Farma Dee Jo Hazaar Mahino’n Se Bhi Afzal Hai.”

رواه مالك و البيهقي.

[Malik Fi Al-Muwatta’, 01/321, Raqam-698,

Bayhaqui Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/323, Raqam-3667,

Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/65, Raqam-1508,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-11, 12, Raqam-04.]

Posted in 01 : Fazilate Qiyame Ramadaan Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 05

  1. “Hazrat Ubaadah Bin Saamit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone Arz Kiya :
    Ya RasoolAllah ﷺ !
    Hamein Shabe Qadr Ke Baare Me Bataaye To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
    Yah (Raat) Mahe Ramadaan Ke Aakhri Ashre Me Ikkisawi-21, Teiswi-23, Pachchiswi-25, Sattaiswi-27, Untisawi-29 Ya Ramadaan Kee Aakhiri  Raat Hoti Hai.
    Jo Banda Is Me Imano Sawaab Ke Iraade Se Qiyaam Kare Us Ke Agle Pichhle (Tamaam) Gunaah Bakhsh Diye Jaate Hain.”

رواه أحمد و الطبراني.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/318, 321, 324, Raqam-22765, 22793, 22815,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/71, Raqam-1284,

Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/65, Raqam-1507,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 03/175, 176,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-12, 13, Raqam-05.]

Posted in 01 : Fazilate Qiyame Ramadaan Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 06

  1. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mimbar Par Tashreef Farma Huwe To Teen³ Baar Aameen, Aameen, Aameen Farmya.
    Arz Kiya Gaya :
    Ya RasoolAllah ﷺ !
    Aap Mimbar Par Jalwa Afroz Huwe To Aap Ne Aameen, Aameen, Aameen Farmaya (Is Kee Kya Wajah Hai ?).
    Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
    Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Mere Paas Haazir Huwe Aur Kahne Lage :
    Jis Shakhs Ne Mahe Ramadaan Paaya Aur Us Kee Maghfirat Na Ho Saki To Woh Aag Me Gaya, Use Allah Ta’ala Apni Rahmat Se Door Kar De.
    (Aye Habibe Khuda !) Aap Aameen Kahein.
    Us Par Mein Ne Aameen Kaha Aur Jis Shakhs Ne Maa Baap Dono’n Ko Paaya Ya Un Me Se Kisi Aik Ko Paaya Aur Un Ke Saath Neki Na Kee Aur Mar Gaya To Woh Aag Me Gaya.
    Allah Ta’ala Use Apni Rahmat Se Dur Kar De :
    (Aye Habibe Khuda !) Aap Aameen Kahein .
    To Mein Ne Aameen Kaha Aur Woh Shakhs Jis Ke  Paas Aap Ka Zikr Kiya Gaya Aur Us Ne Aap Par Durood Na Padha Aur Usi Haalat Me Mar Gaya To Woh Bhi Aag Me Gaya.
    Allah Ta’ala Use Apni Rahmat Se Dur Kar De (Aye Habibe Khuda !) Aap Aameen Kahein To Mein Ne Aameen Kaha.”

رواه ابن خزيمة و ابن حبان و اللفظ له.

[Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/192, Raqam-1888,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/188, Raqam-907,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/225, Raqam-646,

Bazzar Fi Al-Musnad, 04/240, Raqam-1405,

Bazzar Fi Al-Musnad,  09/247, Raqam-3790,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 10/328, Raqam-5922,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/304, Raqam-8287,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/17, Raqam-8994,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/243, Raqam-2022,

Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/57, Raqam-1481,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-13, 14, Raqam-06.]

Posted in 01 : Fazilate Qiyame Ramadaan Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 07

  1. “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Unhone Farmaya :
    Jab Mahe Ramadaan Shuroo’ Ho Jaata To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Apna Kamar Band Kas Lete Phir Aaap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Apne Bistar Par Tashrif Nahin Laate They Yaha’n Tak Ki Ramadaan Guzar Jaata.”

رواه ابن خزيمة و أحمد و البيهقي.

[Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/342, Raqam-2216,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/66, Raqam-24422,

Bayhaqui Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/310, Raqqm-3624,

Siyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/143, Raqam-211,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-14, Raqam-07.]

Posted in 01 : Fazilate Qiyame Ramadaan Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 08

  1. “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Unhone Farmaya Ki Jab Mahe Ramadaan Shuroo’ Hota To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Rang Mubarak Tabdeel Ho Jaata Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namazo’n Kee (Mazid) Kasarat Kar Dete Aur Allah Ta’ala Se Aajizi Wa Gidgida Kar Duaa Kar Te Aur Is Maah Me Nihaayat Mohtaat Rahte.”

رواه البيهقي.

[Bayhaqui Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/310, Raqam-3625,

Siyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/143, Raqam-212,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-14, 15, Raqam-08.]

Posted in 01 : Fazilate Qiyame Ramadaan Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 09

  1. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Bayan Kee Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
    BeShak Ramadaan-ul-Mubarak Me Raat Ke Pahle, Tisre Pahar Ke Baad Ya Aakhiri Tisre Pahar Ke Baad Aik Nida Kar Ne Waala Nida Karta Hai :
    Hai Koi Sawaal Karne Waala Ki Woh Sawaal Kare To Use Ata Kiya Jaaye ?
    Kya Hai Koi Maghfirat Ka Talabgaar Ki Woh Maghfirat Talab Kare To Use Bakhsh Diya Jaaye ?
    Kya Hai Koi Tawba Karne Waala Ki Woh Tawba Kare To Allah Ta’ala Us Kee Tawbah Qubool Kare?”

رواه البيهقي.

[Bayhaqui Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/311, Raqam-3628,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-15, Raqam-09.]

Posted in 01 : Fazilate Qiyame Ramadaan Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 10

  1. “Hazrat ‘Ubadah Bin Samit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Aik Din Farmaya Jab Ki Ramadaan-ul-Mubarak Shuroo’ Ho Chuka Tha :
    Tumhare Paas Barkato’n Waala Mahina Aa Gaya Hai Is Mahine Me Allah Ta’ala Tumhein Apni Rahmat Se Dhaanp Leta Hai.
    Rahmat Naazil Farmata Hai, Gunaaho’n Ko Mitaata Hai Aur Duaaen Qubool Farmata Hai.
    Is Mahine Me Allah Ta’ala Tumhare Dilo’n Par Nazar Farmata Hai Aur Tumhari Wajah Se Apne Firishto’n Ke Saaamne Fakhr Farmaata Hai.
    Lihaaza Tum Apne Qalb Wa Baatin Se Allah Ta’ala Kee Bargah Me Neki Pesh Karo Kyun Ki Badbakht Hai Woh Shakhs Jo Is Maah Me Bhi Allah Ta’ala Kee Rahmat Se Mahroom Raha.”

رواه الطبراني ورواته ثقات كما قال المنذري والهيثمي.

[Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/60, Raqam-1490,

وقال : رواه الطبراني ورواته ثقات،

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 03/142,

وقال : رواه التبراني في الكبير.

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-15, 16, Raqam-10.]