- “Hazrat ‘Ubadah Bin Samit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Aik Din Farmaya Jab Ki Ramadaan-ul-Mubarak Shuroo’ Ho Chuka Tha :
Tumhare Paas Barkato’n Waala Mahina Aa Gaya Hai Is Mahine Me Allah Ta’ala Tumhein Apni Rahmat Se Dhaanp Leta Hai.
Rahmat Naazil Farmata Hai, Gunaaho’n Ko Mitaata Hai Aur Duaaen Qubool Farmata Hai.
Is Mahine Me Allah Ta’ala Tumhare Dilo’n Par Nazar Farmata Hai Aur Tumhari Wajah Se Apne Firishto’n Ke Saaamne Fakhr Farmaata Hai.
Lihaaza Tum Apne Qalb Wa Baatin Se Allah Ta’ala Kee Bargah Me Neki Pesh Karo Kyun Ki Badbakht Hai Woh Shakhs Jo Is Maah Me Bhi Allah Ta’ala Kee Rahmat Se Mahroom Raha.”
رواه الطبراني ورواته ثقات كما قال المنذري والهيثمي.
–
[Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/60, Raqam-1490,
وقال : رواه الطبراني ورواته ثقات،
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 03/142,
وقال : رواه التبراني في الكبير.
At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-15, 16, Raqam-10.]