- “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Bayan Kee Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
BeShak Ramadaan-ul-Mubarak Me Raat Ke Pahle, Tisre Pahar Ke Baad Ya Aakhiri Tisre Pahar Ke Baad Aik Nida Kar Ne Waala Nida Karta Hai :
Hai Koi Sawaal Karne Waala Ki Woh Sawaal Kare To Use Ata Kiya Jaaye ?
Kya Hai Koi Maghfirat Ka Talabgaar Ki Woh Maghfirat Talab Kare To Use Bakhsh Diya Jaaye ?
Kya Hai Koi Tawba Karne Waala Ki Woh Tawba Kare To Allah Ta’ala Us Kee Tawbah Qubool Kare?”
رواه البيهقي.
–
[Bayhaqui Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/311, Raqam-3628,
At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-15, Raqam-09.]