- “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaze Tarawih Padhne Kee Raghbat Dilaya Karte They Lekin Hukman Nahin Farmate They Chunanche Farmate Ki Jis Ne Ramadaan-ul-Mubarak Me Husoole Sawab Kee Niyyat Se Aur Halate Iman Ke Saath Qiyaam Kiya To Us Ke Saabiqa (Tamaam) Gunaah Bakhsh Diye Jaate Hain.
Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Wisaal Mubarak Tak Namaze Tarawih Kee Yahi Surat Barqaraar Rahi Aur Khilafat E Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Me Aur Phir Khilafat E Umar Farooque RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Shuroo’ Tak Yahi Surat Barqaraar Rahi.”
متفق عليه و هذا لفظ مسلم.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/707, Raqam-1905,
Muslim Fi As-Sahih, 01/523, Raqam-759,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/171, Raqam-808,
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح،
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/49, Raqam-1371,
Nasa’i Fi As-Sunan, 04/154, Raqam-2192,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/113, Raqam-249,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musmad, 02/281, Raqam-7774,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/338, Raqam-2207,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/353, Raqam-141,
Abd-ur-Razzaque Fi Al-Musannaf, 04/258, Raqam-7719,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/493, Raqam-4378,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/120, Raqam-9299,
At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-10, 11, Raqam-03.]