Posted in 01 : Fazilate Qiyame Ramadaan Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 04

  1. “Hazrat Imam Maalik Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Se Riwayat Hai Ki Unhone Thiqa (Ya’ni Qabile E’temad) Ahl-E-Ilm Ko Yah Kahte Huwe Suna Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Saabiqa Ummato’n Kee Umrein Dikhaayi Gayi Ya Us Baare Me Jo Allah Ta’ala Ne Chaaha Dikhaaya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apni Ummat Kee Kam Umro’n Ka Khayaal Karte Huwe Socha Ki Kya Meri Ummat Is Qadar Aamaal Kar Sakegi Jis Qadar Doosari Ummato’n Ke Logo’n Ne Tawaalate Umr Ke Baa’is Kiye.
    To Allah Ta’ala Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Shabe Qadar Ata Farma Dee Jo Hazaar Mahino’n Se Bhi Afzal Hai.”

رواه مالك و البيهقي.

[Malik Fi Al-Muwatta’, 01/321, Raqam-698,

Bayhaqui Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/323, Raqam-3667,

Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/65, Raqam-1508,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-11, 12, Raqam-04.]